mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum
aisa kyu.n ho raha hai yeh hum samajh nahi.n paa rahe hai.n.aisa pehli baar hamaare saath ho raha hai.baraaye meherbaani aap is post ko delete karde.n.
hum misro.n ko durust karke bahut jald post karne ki koshish kar.nge.insha allah
iltemaase dua
aapka mukhlis
haamidbaaqri
"dua maangt hai.n"tarhi ghazal peshe khidmat hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"dua maangt hai.n"tarhi ghazal peshe khidmat hai
Last edited by haamidbaaqri on Sun Jan 29, 2006 12:36 pm, edited 2 times in total.
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
achchi fikr hei
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki is TaraHi ghazal ke saare ashAaar mafhoom ke liHaaz se bahut achche heiN jinke liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Albattah beHr meiN aap se chook hougaie hei.
TaraHi miSraA hei"hum bhi jeene ki dua maangte hai.n"
Jiski beHr hei:
Faa'ilaa'tun...fa'i'laa'tun...fa'i'lun
=/0//0/0.....///0/0.........///0
=2122.........1122............112.
Is beHr meiN ijaazut hei ke aap ghair qaafiyah band miSraAoN meiN pahle rukn ko faa'i'laa'tun kii bajaye (fa'i'laa'tun) aur aakhiri rukn ko fa'i'lun ki bajaaye (fe'lun) isteAmaal karsakte heiN.
Aapke mandarja-e-zeil miSreAe doosri beHr meiN hougaye heiN:
fikre farda hame.n sataati hai
faa'ilaa'tun.....mufaa'i'lun.....fe'lun
=/0//0/0.....//0//0...../0/0
=2122.........1212........22 (yehi vazn aane waale miSraAoN meiN bhi hei)
bakhshte hi nahi.n jo auro.n ko
zindagi ek haseen tohfa hai
buzdilo.n ki yehi nishaani hai
log kuch hai.n jahaa.n mei.n aise bhi
daamane sabr thaam aye haamid
Ummeed ke aap taSHeeH farmaalenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: achchi fikr hei
salaamun alaikumWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aapki is TaraHi ghazal ke saare ashAaar mafhoom ke liHaaz se bahut achche heiN jinke liye meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Albattah beHr meiN aap se chook hougaie hei.
TaraHi miSraA hei"hum bhi jeene ki dua maangte hai.n"
Jiski beHr hei:
Faa'ilaa'tun...fa'i'laa'tun...fa'i'lun
=/0//0/0.....///0/0.........///0
=2122.........1122............112.
Is beHr meiN ijaazut hei ke aap ghair qaafiyah band miSraAoN meiN pahle rukn ko faa'i'laa'tun kii bajaye (fa'i'laa'tun) aur aakhiri rukn ko fa'i'lun ki bajaaye (fe'lun) isteAmaal karsakte heiN.
Aapke mandarja-e-zeil miSreAe doosri beHr meiN hougaye heiN:
fikre farda hame.n sataati hai
faa'ilaa'tun.....mufaa'i'lun.....fe'lun
=/0//0/0.....//0//0...../0/0
=2122.........1212........22 (yehi vazn aane waale miSraAoN meiN bhi hei)
bakhshte hi nahi.n jo auro.n ko
zindagi ek haseen tohfa hai
buzdilo.n ki yehi nishaani hai
log kuch hai.n jahaa.n mei.n aise bhi
daamane sabr thaam aye haamid
Ummeed ke aap taSHeeH farmaalenge.
Aapka MukhliS,
Nazir.
mohtaram abdullah nazir saahib
bahr mei.n hum se chook hoti nahi.n hai.yeh kaise hogaya hum khud hairaan hai.n.
bahrkaif ghalati ki nishandahi ke liye phir aik baar hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.aaindah istarah ki ghalati hum se nahi.n hogi iska hum aapko yaqeen dilaate hai.n.insha allah.
ghazal ki nayee shakl baraaye mehrbaani aik baar dekhle.n.aapki qeemti aara ka hame.n intezaar rahega.
allah(sbhnwt)aapko salaamat rakkhe.aameen
aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
mas'alah Hal nah housakaa
MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,
PurkhulooS tasleemaat,
Aap se mas'alah Hal nah housakaa. aap ne miSreAe tou badal diye lekin vazn waisaa hii hei. 2 beHraoN meiN aap farq nahiN kar paarahe heiN. Ba'z auqaat aisaa houtaa hei. Is Soorat meiN chaahiye ke doosre miSreA ko pahle paRhkar pahle miSreA ko paRheN aur dounoN miSraAoN ki muqaarinat kareN. Shukriyah.
[color = brown]
Aapka MukhliS,
Nazir.
[/color]