Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte

Post by Anmol »

:)
Attachments
image_guzarish9.gif
image_guzarish9.gif (85.55 KiB) Viewed 700 times
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Anmol Ratan,

tumhaarii Ghazal nazar guzaar huii aur paRh kar be_saaKhta daad muNh se nikal paRii..har ek she'r achchhe nikaale haiN tum ne. lagtaa hai kaafii aamd thii. merii to aamad se pahle hii jaamad ho jaatii hai :lol:

bahot Khoob Anno, bahot Khoob. Allah kare zor e raqam aur ziyaada!

Hashmat
Image
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »


Wah dearest sis, bohat Khoob, aap kee yeh saada see ghazal mujhe tu bohat pasand aayee. Aasaan lafzooN meN jazbooN kee khoobsoorat akaasi kee hai aap nay meree jaanib se dilee daad aur mubarakbaad qubool keejiye :)

Khair andesh

Raji
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »


A N M O L

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad Haazir hei.

Aapka mandarja-e-zail misreA meiN aap ne lafz "kaanch" ko muzakkar baandhaa hei jisko ham her soorat meiN mo'annac isteAmaal karte heiN.

"Use bhaati thii TooTe kaanch kii aawaaz kyaa karte"

YahaaN "TooTi kaanch" kii bajaye "TooTe kaanch" kaa kyaa javaaz hei, maiN jaanne kii koushish meiN hooN.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

Anmol SaaHibah: aadaab!

aap kee Ghazal dekh`ee aur dil Khush huwaa. albattah yeh dekh` kar Hairat huyee keh aap ne :aawaaz, andaaz: ke saath` :naaraaZ^: kaa saut^ee qaafiyah baaNdh`aa hai. yeh qaabil-e-qubool naheeN samjh`aa jaataa hai aur is se parhez laazimee hai.

Nazir SaaHeb ne likh`aa hai keh:

{Aapka mandarja-e-zail misreA meiN aap ne lafz "kaanch" ko muzakkar baandhaa hei jisko ham her soorat meiN mo'annac isteAmaal karte heiN.

"Use bhaati thii TooTe kaanch kii aawaaz kyaa karte"

YahaaN "TooTi kaanch" kii bajaye "TooTe kaanch" kaa kyaa javaaz hei, maiN jaanne kii koushish meiN hooN.}

mujh` ko yeh dekh` kar qadre Hairat huyee. ho saktaa hai keh maqaamee acaraat ke teHt kaheeN :kaaNch: ko mu,annac kahaa jaataa ho. lekin jahaaN tak meraa i'lm hai lafz^ :kaaNch: muZakkar hai. u'mooman is ko kisee aur lafz^ ke saath Urdu iZ^aafat (kaa, kee, ke) se munsalik karte haiN. yeh iZ^aafat us munsalikah lafz^ kee paaband hotee hai lekin is se Khud :kaaNch: kee taZkeer/taaneec kaa tai,yyun naheeN hotaa hai. micaal ke t^aur se ham kehte haiN:

kaaNch kee chooRiyaaN
kaaNch kaa gilaas
kaaNch ke bartan

yahaaN :kee, kaa, ke: b.iltarteeb :chooRiyaaN, gilaas, bartan: kee taZkeer-o-taaneec ke t^aabe' haiN. isee t^araH ham kehte haiN keh:

is saamaan meN naaqiS kaaNch ista'maal huwaa hai.

nah keh :ista'maal huyee hai:. mumkin hai keh Nazir SaaHeb koyee sanad de kar hamaare is iltibaas ko door kar sakeN. maiN ne talaash kiyaa lekin mujh ko koyee micaal naheeN mil sakee.

Sarwar A. Raz :sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Sarwar Saahib ne phir mujhe kehne per majboor kiyaa hei

Post by Abdullah Nazir »


A N M O L


Aapke mandarja-e-zail misreA per maiN ne apni raaye paish kii thii:

Use bhaati thii TooTe kaanch kii aavaaz kyaa karte

MaiN ne kahaa thaa ke "TooTe kaanch" kii bajaaye "TooTi kaanch" kahaa jaanaa chaahiye kiyoonke lafz kaanch "mo'annac" hei.

Sarwar Saahib ne aik nayi baat paidaa kii hei:
(((mujh` ko yeh dekh` kar qadre Hairat huyee. ho saktaa hai keh maqaamee acaraat ke teHt kaheeN :kaaNch: ko mu,annac kahaa jaataa ho. lekin jahaaN tak meraa i'lm hai lafz^ :kaaNch: muZakkar hai. u'mooman is ko kisee aur lafz^ ke saath Urdu iZ^aafat (kaa, kee, ke) se munsalik karte haiN. yeh iZ^aafat us munsalikah lafz^ kee paaband hotee hai lekin is se Khud :kaaNch: kee taZkeer/taaneec kaa tai,yyun naheeN hotaa hai. micaal ke t^aur se ham kehte haiN:

kaaNch kee chooRiyaaN
kaaNch kaa gilaas
kaaNch ke bartan )))

Mazkoora-e-baalaa micaataoN meiN yeh kahiN caabit nahiN houtaa ke lafz kaanch "moa'nnac" nahiN hei:
In micaalaoN meiN sirf yeh zaahir houtaa hei:
a) kaanch kii chooRiyaaN (kiyoonke chooRiyaaN mo'annac hei)
b) kaanch kaa glaas (kiyoonke glaas muzakkar hei)
c)kaanch ke bartan (kiyoonke bartan muzakkar hei aur kaa kii bajaye ke se muraad jamA kaa saighah hei). In baataoN se khud Sarwar Saahib muttafiq heiN.

In micaalaoN se lafz "kaanch" ke moa'nnac houne meiN koii shak o shubha nahin paidaa houtaa.

Rahaa sawaal maqaamee acaarat ke teHt kaanch ko mo'annac kahaa jaanaa to yeh aik ghalaTfehmi hei jo Feroz-ul-llughaat se paidaa housakti hei jisko urdu ke muhaqqiqqen ghair moA'tabar samajhte heiN. MuHtarami Sarwar Saahib ko poori koushish ke ba'd "kaanch" ke lafz kaa kaheeN bhii "moa'nnac" nazar nah aanaa Hairat anges hei.

Dekhiye Farhang-e-Aasafiyah jild No.3 SafHa No. 452
Dekhiye Standard Twentieth Century Dictionary / Urdu into English SafHa No. 477.

Agar Sarwar Saahib kaa ishaarah US ke magaamee acaraat kii taraf hei tou yeh aur baat hei.

Baharhaal maiN ne souchaa ke is baat ko vaazeH kardooN taakeh kisi khushfehmi kii vajah se doust aHbaab ko ghalaTfehmi na hou. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: Sarwar Saahib ne phir mujhe kehne per majboor kiyaa hei

Post by Sarwar A. Raz »

Abdullah Nazir wrote:
A N M O L


Aapke mandarja-e-zail misreA per maiN ne apni raaye paish kii thii:

Use bhaati thii TooTe kaanch kii aavaaz kyaa karte

MaiN ne kahaa thaa ke "TooTe kaanch" kii bajaaye "TooTi kaanch" kahaa jaanaa chaahiye kiyoonke lafz kaanch "mo'annac" hei.

Sarwar Saahib ne aik nayi baat paidaa kii hei:
(((mujh` ko yeh dekh` kar qadre Hairat huyee. ho saktaa hai keh maqaamee acaraat ke teHt kaheeN :kaaNch: ko mu,annac kahaa jaataa ho. lekin jahaaN tak meraa i'lm hai lafz^ :kaaNch: muZakkar hai. u'mooman is ko kisee aur lafz^ ke saath Urdu iZ^aafat (kaa, kee, ke) se munsalik karte haiN. yeh iZ^aafat us munsalikah lafz^ kee paaband hotee hai lekin is se Khud :kaaNch: kee taZkeer/taaneec kaa tai,yyun naheeN hotaa hai. micaal ke t^aur se ham kehte haiN:

kaaNch kee chooRiyaaN
kaaNch kaa gilaas
kaaNch ke bartan )))

Mazkoora-e-baalaa micaataoN meiN yeh kahiN caabit nahiN houtaa ke lafz kaanch "moa'nnac" nahiN hei:
In micaalaoN meiN sirf yeh zaahir houtaa hei:
a) kaanch kii chooRiyaaN (kiyoonke chooRiyaaN mo'annac hei)
b) kaanch kaa glaas (kiyoonke glaas muzakkar hei)
c)kaanch ke bartan (kiyoonke bartan muzakkar hei aur kaa kii bajaye ke se muraad jamA kaa saighah hei)

In micaalaoN se lafz "kaanch" ke moa'nnac houne meiN koii shak o shubha nahin paidaa houtaa.

Rahaa sawaal maqaamee acaarat ke teHt kaanch ko mo'annac kahaa jaanaa to yeh aik ghalaTfehmi hei jo Feroz-ul-llughaat se paidaa housakti hei jisko urdu ke muhaqqiqqen ghair moA'tabar samajhte heiN.

Dekhiye Farhang-e-Aasafiyah jild No.3 SafHa No. 452
Dekhiye Standard Twentieth Century Dictionary / Urdu into English SafHa No. 477.

Agar Sarwar Saahib kaa ishaarah US ke magaamee acaraat kii taraf hei tou yeh aur baat hei.

Baharhaal maiN ne yeh baat ko vaazeH kardooN. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

===============================
mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

woh baat saare fasaane meN jis kaa Zikr naheeN
woh baat un ko bohat naa-gawaar guZree hai!

qiblah! mere Khat^ ko ph`ir paRhiYe aur us ke ba'd apnee teHreer ko dekh`iYe! maiN ne bh`ee to yehee kahaa hai keh meree dee huyee micaaloN se kaaNch kaa muZakkar yaa mu,annac honaa naheeN z^aahir hotaa hai bal.k in meN :kaa, kee , ke: kaa ista'maal us lafz^ kaa t^abe' hai jis se kaaNch ko munsalik kiyaa gayaa hai, ya'nee :chooRiyaan, gilaas, bartan:

is tashreeH ke baa-vujood aap kehte haiN keh maiN ne "nayee baat paidaa kee hai"! ba-eeN aql-o-daanish be-baayad gireest! kam se kam aap doosroN kee baateN tavjjuh se dekh` to liyaa kareN. us ke ba'd jaa,iz, munaasib aur sanjeedah e'tiraaZ^ kareN!

yeh Soorat-e-istidlaa is se qabl bh`ee aap baarhaa ista'maal kar chuke haiN aur har martabah aap kee baat Ghalat^ caabit ho chukee hai. aap se dast-bastah iltimaas hai keh eHitiyaat^ se kaam liyaa kareN. ham :baRoN: ko har dam yeh Zehn meN rakh`naa chaahiYe keh bazm meN bohat se :ch`oTe: aate haiN aur ham se sanjeedagee se seekh`ne ke muta,mannee haiN. ham agar aisee Ghair-Zimmedaaraanah micaal un ke liYe qaa,im kareN ge to yeh koyee mustaHsin fe'l naheeN ho gaa.

aap ne farmaayaa hai keh:

"Dekhiye Farhang-e-Aasafiyah jild No.3 SafHa No. 452
Dekhiye Standard Twentieth Century Dictionary / Urdu into English SafHa No. 477."

har shaKhS ke paas yeh luGhaat naheeN haiN. kam se kam mere paas to naheeN haiN. agar aap in luGhaat se dekh kar :kaaNch: ke mu,annac hone kee sanda de dete to baat Khatm ho jaatee aur ham sab ke i'lm meN iZ^aafah hotaa. ab bh`ee der naheeN huyee hai. az-raah-e-karam yeh kitaabeN dekh` kar apnee baat waaZ^iH keejiYe aur kaaNch ke mu,annac hone kee sanda deejiYe. us ke ba'd maiN to kyaa koyee bh`ee kisee iltibaas kaa shikaar naheeN ho sake gaa.

ummeed hai keh aap hameN in kitaaboN se dee huyee sanad se mustafeed farmaaYeN ge. ek iltijaa aur hai keh Khwaah-maKhwaah baat ko t^ool dene kee chandaaN Haajat naheeN hai. agar aap luGhaat se sanad de sakeN to nawaazish ho gee. agar nah de sakeN to is mas,aleh par mazeed beHc kee koyee gunjaa,ish naheeN hai aur meree jaanib se Khaamoshee hee iKhtiyaar kee jaaYe gee.

shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Patah nahiN ke kaun ghalaT hei

Post by Abdullah Nazir »


Muhtarami
SARWAR A. RAZ SARWAR Saahib,


Aadaab o Tasleemaat,

Aap ne likhkhaa hei:
((is tashreeH ke baa-vujood aap kehte haiN keh maiN ne "nayee baat paidaa kee hai"! ba-eeN aql-o-daanish be-baayad gireest! kam se kam aap doosroN kee baateN tavjjuh se dekh` to liyaa kareN. us ke ba'd jaa,iz, munaasib aur sanjeedah e'tiraaZ^ kareN! )))

Aap dobarah meri Ibaarat ghaur se paRheN tou maloom hougaa ke aap ne mere tabsireh ko naaqis taur per naql kiyaa hei.

Mazkoorah micaalaoN ki vazaahat karne ke fauran bad hii maiN ne likhkhaa thaa (In baataoN se khud Sarwar Saahib muttafiq heiN.)

Naiee baat paidaa karnaa koiee aisi ibaarat nahiN jisko sunkar yaa paRhkar koiee barham houjaye. Meraa kehne kaa maqsad to yehi thaa ke un micaalaoN se aap ne aik nayi baat paidaa kii jo pahle se zer-e-beHc nahiN thii. Kyaa aap yeh chaahte heiN ke meri zubaan o qalam per mohr lagaadeN aur mujhe izhaar-e-khayaal ka Haq hii na hou? Agar aisi baat hei Huzoor tou aayindah aap mujhe aapka farmaaNbardaar aur MuTeeA payenge aur maiN aapki haaN meiN haaN milaataa rahungaa.

Aapka yeh kehnaa:
(((yeh Soorat-e-istidlaa is se qabl bh`ee aap baarhaa ista'maal kar chuke haiN aur har martabah aap kee baat Ghalat^ caabit ho chukee hai. aap se dast-bastah iltimaas hai keh eHitiyaat^ se kaam liyaa kareN. )))

Aapki mandarja-e-baalaa ibaarat ke baare meiN sirf itnaa Arz karungaa ke her aadamii se ghalaTi houti hei. GhalaTi ko ghalaTi maan lenaa hii saHeeH tareeq-e-kaar hei. Lekin aik to ghalaTi karnaa aur usper muSir hounaa ke wo ghalaTi nahiN hei, aik mazHakah khaiz baat hei:

Lady Burton kaa English meiN aur Ibn-ul-Arabi kaa Arabi meiN aik hii qual hei jiskaa tarjimah yooN hei:

"Wo jou nahiN jaantaa, aur jaantaa hei ke wo nahiN jaantaa, wo seedhaa aadami hei use sikhaaou.
Wo jou jaantaa hei, lekin yeh nahiN jaantaa ke wo jaantaa hei, use jagaaou kiyooNke wo ghaflat kii neend meiN hei.
Wo jou nahiN jaantaa, aur yeh nahiN jaantaa ke wo nahiN jaantaa, wo aik bewaqoof hei us se door rahou.
Wo jou jaantaa hei, aur jaantaa hei ke wo jaantaa hei, uski ittibaaA karu kiyoonkeh wo Aqlmand aadami hei.


Agar aapko meraa tareeqa-e-istidlaal is liye ghair marghoob nazar aataa hei ke maiN baghair istidlaal ke koiee baat nahiN karnaa chaahtaa, tou maiN bhii usi taraH kii ibaarat isteAmal kiyaa karungaa (mere khayaal meiN yeh baat saHeeH hei, mere khayaal meiN wo baat ghalaT hei) waghairah.

Aap ne mazeed likhkhaa hei:

(((ham :baRoN: ko har dam yeh Zehn meN rakh`naa chaahiYe keh bazm meN bohat se :ch`oTe: aate haiN aur ham se sanjeedagee se seekh`ne ke muta,mannee haiN. ham agar aisee Ghair-Zimmedaaraanah micaal un ke liYe qaa,im kareN ge to yeh koyee mustaHsin fe'l naheeN ho gaa.)))

Khudaa ke liye mujhe baRaoN meiN nah shaamil keejiye. MaiN aik Taalib-e-ilm thaa, Taalib-e-ilm hooN, aur Taalib-e-ilm rahungaa aur aap jaisi shakhsiyataoN se ilmi istifaadah Haasil kartaa rahungaa.

Ab sanad ke ta'alluq se maiN ne jild number aur safHah number bhi darj kardiyaa hei. Mere khayaal meiN aap jaisi Aalim shakhsiyat ke liye itnaa Hawaalah kaafi hei.

Is maqaam per maiN saare doust aHbaab se iltimaas kartaa hooN ke wo mujhe samjhayeN ke maiN ne kyaa be adabi kii hei. Agar waaqaAi unjaane meiN mujh se koiee be-adabi sarzad houi hei tou maiN sirf Sarwar Saahib se hii nahiN balke saare likhne paRhne waalaoN se haath jouRkar maAzirat chaahtaa hooN.

Iske ilaawa agar meri baataoN se zarrah baraabar bhii gharoor o takabbur ayaaN houraa hei tou maiN her TaraH se qaabil-e-muaa'khizah hooN. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Raj Kumar
-
-
Posts: 3
Joined: Mon Feb 07, 2005 3:04 am
Location: San Diego, California, USA
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by Raj Kumar »

Abdullah Nazir wrote:
A N M O L

Aapka mandarja-e-zail misreA meiN aap ne lafz "kaanch" ko muzakkar baandhaa hei jisko ham her soorat meiN mo'annac isteAmaal karte heiN.

"Use bhaati thii TooTe kaanch kii aawaaz kyaa karte"

YahaaN "TooTi kaanch" kii bajaye "TooTe kaanch" kaa kyaa javaaz hei, maiN jaanne kii koushish meiN hooN.


janaab-e-Naazir saahib:

aap ke hukm ki ta'ameel meiN, Khaaksaar haazir-e-Khidmat hai aur, idhar aate hi, Anmol saahiba ke aek misre par aap ka eiteraaz aur, us eiteraaz par, Sarwar saahib ka javaab nazar se guzraa! chooN-k aap dono hazraat laa-mehdood ilm ke maalik haiN, is liye aap saahibaan ke aage mujh gaNvaar ki zarra bhar bisaat naheeN hai! phir bhi, jo nataa'ij meri haaliya tehqeeq se bar-aamad huye haiN, voh naazireen-e-mehfil ki nazr haiN!

--------

1. mere paas sirf aek luGhat hai --- Platts ki --- jo k halqa-e-suKhanvaraaN meiN mustanad maani jaati hai. us luGhat ke mutaabiq, lafz kaaNch muzakkar hai!

2.albatta, apni tashaffi ke liye, maiN ne apni aek azeeza ko phone kiyaa k voh, is baare meiN, meri madad farmaayeN. unhooN ne fauran FarhaNg-e-kaarvaaN dekhi to yeh lafz moannas niklaa! :roll:

phir unhoN ne Maulavi Abdul Haq ki farhaNg dekhi to us meiN, Khudaa sadqe, lafz kaaNch hai hi naheeN! :roll:

tab unhoN ne farmaaya k kisi Hindi movie meiN ko'i gaana hai jis meiN kahaa gayaa hai: "hare kaaNch ki chuuRiyaaN" --- goyaa, vahaaN is lafz ko muzakkar baaNdhaa gayaa hai!

3. phir maiN ne yeh savaal RMIM par post kiyaa to vahaaN ko'i 7-8 javaab aaye, jin se vaazeh hu'aa k beshtar log is lafz ko muzakkar maante haiN --- jin do-aek saahiban ne is lafz ko muannas kahaa, yaa to un ki daleel mustahkam naheeN thi yaa phir un ke javaab ka javaaz Ghaa'ib tha!

4. saath hi, maiN ne apne mo'atabar dost janaab-e-S.S. ko phone kiyaa --- kyooN-k eeN-hazrat Hindi par uboor rakhne ka saath saath thora bahut Urdu se bhi aagaah haiN ---
unhoN ne mujhe bataaya k Feeroz-ul-luGhaat meiN yeh lafz ---ba-maa'ni sheesha --- muzakkar hai; albatta, is lafz ke maa'ni aek beemaari ke bhi haiN --- some intestinal disease --- us soorat meiN, yeh lafz muannas hai!

phir unhoN ne Hindi ki aek mustanad luGhat dekhi --- compiled by Hardev Bahri --- jis meiN yeh lafz sareehan muzakkar nikla!

phir unheN ne tasdeeq ki k "hare kaaNch ki chooRiyaaN" asl meiN aek movie ka naam hai jis ki direction Kishor Sahu ne ki thi aur jis ke naGhme Shailendra ne likhe the. us movie meiN aek gaana hai, jis meiN aek line teen baar dohraa'ii jaati hai aur voh line hai:

baj uTheN gii "hare kaaNch ki chooRiyaaN"!

goyaa, yeh lafz jo k Hindi ka hai, kam-az-kam Hindi vaaloN ki nazar meiN to muzakkar hai!

--------

qissa kotaa-h, yeh rahe Khaaksaar ki tehqeeq ke nitaa'ij --- ab aap hi bataaiye k kyaa Anmol saahiba ko apna misra badalna laazim hai yaa k naheeN --- mera apna Khayaal to yeh hai k unheN aisa karna laazim naheeN hai!

Khair-aNdesh, Raj Kumar
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Haqeeqat kyaa hei?

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
RAJ KUMAAR Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat o Ihtiraam,


Sab se pahle maiN aapka aur Sarwar Saahib kaa shukriyaa adaa kartaa hooN ke aap dounon ne mujhe kisi nateejeh per pahonchne meiN madad farmaayi.

Dar asl maiN ne Anmol se yeh hargiz nahiN kahaa ke wo apnaa misraA badal de. Jou kuch maiN ne likhkha thaa wo yeh hei:

(((YahaaN "TooTi kaanch" kii bajaye "TooTe kaanch" kaa kyaa javaaz hei, maiN jaanne kii koushish meiN hooN. )))

Iske ba'd mere muHtaram ustaad Sarwar Saahib ne ,jo nah jaane kiyooN hamaishah mujh se naaraaz rehte heiN, farmaayaa:

((mujh` ko yeh dekh` kar qadre Hairat huyee. ho saktaa hai keh maqaamee acaraat ke teHt kaheeN :kaaNch: ko mu,annac kahaa jaataa ho. lekin jahaaN tak meraa i'lm hai lafz^ :kaaNch: muZakkar hai. u'mooman is ko kisee aur lafz^ ke saath Urdu iZ^aafat (kaa, kee, ke) se munsalik karte haiN. yeh iZ^aafat us munsalikah lafz^ kee paaband hotee hai lekin is se Khud :kaaNch: kee taZkeer/taaneec kaa tai,yyun naheeN hotaa hai. micaal ke t^aur se ham kehte haiN:

kaaNch kee chooRiyaaN
kaaNch kaa gilaas
kaaNch ke bartan

yahaaN :kee, kaa, ke: b.iltarteeb :chooRiyaaN, gilaas, bartan: kee taZkeer-o-taaneec ke t^aabe' haiN. isee t^araH ham kehte haiN keh:

is saamaan meN naaqiS kaaNch ista'maal huwaa hai.

nah keh :ista'maal huyee hai:. mumkin hai keh Nazir SaaHeb koyee sanad de kar hamaare is iltibaas ko door kar sakeN. maiN ne talaash kiyaa lekin mujh ko koyee micaal naheeN mil sakee. )))

Hasb-e-Talab meraa kaam thaa ke koiee daleel paish karuN, is liye maiN ne likhkhaa:

(((Sarwar Saahib ne aik nayi baat paidaa kii hei:
(((mujh` ko yeh dekh` kar qadre Hairat huyee. ho saktaa hai keh maqaamee acaraat ke teHt kaheeN :kaaNch: ko mu,annac kahaa jaataa ho. lekin jahaaN tak meraa i'lm hai lafz^ :kaaNch: muZakkar hai. u'mooman is ko kisee aur lafz^ ke saath Urdu iZ^aafat (kaa, kee, ke) se munsalik karte haiN. yeh iZ^aafat us munsalikah lafz^ kee paaband hotee hai lekin is se Khud :kaaNch: kee taZkeer/taaneec kaa tai,yyun naheeN hotaa hai. micaal ke t^aur se ham kehte haiN:

kaaNch kee chooRiyaaN
kaaNch kaa gilaas
kaaNch ke bartan )))

Mazkoora-e-baalaa micaataoN meiN yeh kahiN caabit nahiN houtaa ke lafz kaanch "moa'nnac" nahiN hei:
In micaalaoN meiN sirf yeh zaahir houtaa hei:
a) kaanch kii chooRiyaaN (kiyoonke chooRiyaaN mo'annac hei)
b) kaanch kaa glaas (kiyoonke glaas muzakkar hei)
c)kaanch ke bartan (kiyoonke bartan muzakkar hei aur kaa kii bajaye ke se muraad jamA kaa saighah hei). In baataoN se khud Sarwar Saahib muttafiq heiN.

In micaalaoN se lafz "kaanch" ke moa'nnac houne meiN koii shak o shubha nahin paidaa houtaa.

Rahaa sawaal maqaamee acaarat ke teHt kaanch ko mo'annac kahaa jaanaa to yeh aik ghalaTfehmi hei jo Feroz-ul-llughaat se paidaa housakti hei jisko urdu ke muhaqqiqqen ghair moA'tabar samajhte heiN. MuHtarami Sarwar Saahib ko poori koushish ke ba'd "kaanch" ke lafz kaa kaheeN bhii "moa'nnac" nazar nah aanaa Hairat angez hei.

Dekhiye Farhang-e-Aasafiyah jild No.3 SafHa No. 452
Dekhiye Standard Twentieth Century Dictionary / Urdu into English SafHa No. 477.

Agar Sarwar Saahib kaa ishaarah US ke magaamee acaraat kii taraf hei tou yeh aur baat hei.

Baharhaal maiN ne souchaa ke is baat ko vaazeH kardooN taakeh kisi khushfehmi kii vajah se doust aHbaab ko ghalaTfehmi na hou. Shukriyah.

)))

YahaN aik sawaal uThtaa hei ke kiyaa maiN ne mere ustaad-e-muhtaram Sarwar Saahib se koiee be adabi kii yaa unke hii sawaalaat kaa javaab diyaa?

Khair, uske ba'd Sarwar Saahib ne likhkhaa:



--------------------------------------------------------------------------------

Abdullah Nazir wrote:

A N M O L


Aapke mandarja-e-zail misreA per maiN ne apni raaye paish kii thii:

Use bhaati thii TooTe kaanch kii aavaaz kyaa karte

MaiN ne kahaa thaa ke "TooTe kaanch" kii bajaaye "TooTi kaanch" kahaa jaanaa chaahiye kiyoonke lafz kaanch "mo'annac" hei.

Sarwar Saahib ne aik nayi baat paidaa kii hei:
(((mujh` ko yeh dekh` kar qadre Hairat huyee. ho saktaa hai keh maqaamee acaraat ke teHt kaheeN :kaaNch: ko mu,annac kahaa jaataa ho. lekin jahaaN tak meraa i'lm hai lafz^ :kaaNch: muZakkar hai. u'mooman is ko kisee aur lafz^ ke saath Urdu iZ^aafat (kaa, kee, ke) se munsalik karte haiN. yeh iZ^aafat us munsalikah lafz^ kee paaband hotee hai lekin is se Khud :kaaNch: kee taZkeer/taaneec kaa tai,yyun naheeN hotaa hai. micaal ke t^aur se ham kehte haiN:

kaaNch kee chooRiyaaN
kaaNch kaa gilaas
kaaNch ke bartan )))

Mazkoora-e-baalaa micaataoN meiN yeh kahiN caabit nahiN houtaa ke lafz kaanch "moa'nnac" nahiN hei:
In micaalaoN meiN sirf yeh zaahir houtaa hei:
a) kaanch kii chooRiyaaN (kiyoonke chooRiyaaN mo'annac hei)
b) kaanch kaa glaas (kiyoonke glaas muzakkar hei)
c)kaanch ke bartan (kiyoonke bartan muzakkar hei aur kaa kii bajaye ke se muraad jamA kaa saighah hei)

In micaalaoN se lafz "kaanch" ke moa'nnac houne meiN koii shak o shubha nahin paidaa houtaa.

Rahaa sawaal maqaamee acaarat ke teHt kaanch ko mo'annac kahaa jaanaa to yeh aik ghalaTfehmi hei jo Feroz-ul-llughaat se paidaa housakti hei jisko urdu ke muhaqqiqqen ghair moA'tabar samajhte heiN.

Dekhiye Farhang-e-Aasafiyah jild No.3 SafHa No. 452
Dekhiye Standard Twentieth Century Dictionary / Urdu into English SafHa No. 477.

Agar Sarwar Saahib kaa ishaarah US ke magaamee acaraat kii taraf hei tou yeh aur baat hei.

Baharhaal maiN ne yeh baat ko vaazeH kardooN. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


===============================
Sarwar Saahib ne likhkha:
(((
mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

woh baat saare fasaane meN jis kaa Zikr naheeN
woh baat un ko bohat naa-gawaar guZree hai!

qiblah! mere Khat^ ko ph`ir paRhiYe aur us ke ba'd apnee teHreer ko dekh`iYe! maiN ne bh`ee to yehee kahaa hai keh meree dee huyee micaaloN se kaaNch kaa muZakkar yaa mu,annac honaa naheeN z^aahir hotaa hai bal.k in meN :kaa, kee , ke: kaa ista'maal us lafz^ kaa t^abe' hai jis se kaaNch ko munsalik kiyaa gayaa hai, ya'nee :chooRiyaan, gilaas, bartan:

is tashreeH ke baa-vujood aap kehte haiN keh maiN ne "nayee baat paidaa kee hai"! ba-eeN aql-o-daanish be-baayad gireest! kam se kam aap doosroN kee baateN tavjjuh se dekh` to liyaa kareN. us ke ba'd jaa,iz, munaasib aur sanjeedah e'tiraaZ^ kareN!

yeh Soorat-e-istidlaa is se qabl bh`ee aap baarhaa ista'maal kar chuke haiN aur har martabah aap kee baat Ghalat^ caabit ho chukee hai. aap se dast-bastah iltimaas hai keh eHitiyaat^ se kaam liyaa kareN. ham :baRoN: ko har dam yeh Zehn meN rakh`naa chaahiYe keh bazm meN bohat se :ch`oTe: aate haiN aur ham se sanjeedagee se seekh`ne ke muta,mannee haiN. ham agar aisee Ghair-Zimmedaaraanah micaal un ke liYe qaa,im kareN ge to yeh koyee mustaHsin fe'l naheeN ho gaa.

aap ne farmaayaa hai keh:

"Dekhiye Farhang-e-Aasafiyah jild No.3 SafHa No. 452
Dekhiye Standard Twentieth Century Dictionary / Urdu into English SafHa No. 477."

har shaKhS ke paas yeh luGhaat naheeN haiN. kam se kam mere paas to naheeN haiN. agar aap in luGhaat se dekh kar :kaaNch: ke mu,annac hone kee sanda de dete to baat Khatm ho jaatee aur ham sab ke i'lm meN iZ^aafah hotaa. ab bh`ee der naheeN huyee hai. az-raah-e-karam yeh kitaabeN dekh` kar apnee baat waaZ^iH keejiYe aur kaaNch ke mu,annac hone kee sanda deejiYe. us ke ba'd maiN to kyaa koyee bh`ee kisee iltibaas kaa shikaar naheeN ho sake gaa.

ummeed hai keh aap hameN in kitaaboN se dee huyee sanad se mustafeed farmaaYeN ge. ek iltijaa aur hai keh Khwaah-maKhwaah baat ko t^ool dene kee chandaaN Haajat naheeN hai. agar aap luGhaat se sanad de sakeN to nawaazish ho gee. agar nah de sakeN to is mas,aleh par mazeed beHc kee koyee gunjaa,ish naheeN hai aur meree jaanib se Khaamoshee hee iKhtiyaar kee jaaYe gee.

shukriyah!

Sarwar A. Raz :Sarwar: )))
===================

Iske ba'd meraa aakhiri javaab tou aap dekh hii chuke heiN.

==============

Ab in baataoN se haTkar ham asl mauzooA kii Taraf lauTte heiN wo hei ke lafz "kaanch" muzakkar hei yaa mua'nnac?

1) Abdullah Nazir ne uske muzakkar houne ko mashkook gardaanaa.
2) Sarwar Saahib ne is baat ko rad kardiyaa aur baghair kisi daleel ke yeh kahaa ke lafz "kaanch" muzakkar hei aur uske mu'annac houne kii daleel Talab kii.
3) Abdullah Nazir ne daleel paish kii ke Farhandg-e-Aasafiyah kii jild suvvam sahHa No.452 aur
Standard Twentieth Century Dictionary /urdu to English ke saHa No.477 per is lafz ko mua'nnac dikhaayaa gayaa hei.
Albattah Feroz-ul-lughaat kii vajah se ghalaTfehmi housakti hii jis meiN isko muzakkar dikhaayaa gayaa hei lekin urdu ke muHaqqiqqen kii nazar meiN yeh dictionary qaabil-e-iAtimaad nahiN.
4)Raj Kumar Saahib ne "kaanch" ke muzakkar houne kii taa'yeed kii aur yeh bhii kahaa ke Anmol ko uskaa misraA nahiN badlnaa chaahiye. MaiN bhii is baat per unki taayeed kartaa hooN kiyoonkeh "kaanch" ke muzakkar houne kii daleel maujood hei.
5) Is saari beHc ke ba'd aik sawaal uThtaa hei. Kyaa FarHang-e-Aasafiyah aur Standard Twentieth Century Dictionary dounoN naaqaabil-e-iAtibaar heiN?
6) kyaa is lafz ko muzakkar aur mua'nnac dounoN soorataoN meiN isteAmaal kyaa jaasaktaa hei?
7) kyaa ham Farhang-e-Aasafiya aur Standard Twentieth Century Dictionary, dounoN ko naaqaabil-e-iAtibaar samjheN.

MaiN tou Aajiz aagayaa ke is masaleh meiN apni zubaan hilaaooN.
Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Note: Agar koiee typing mistakes reh jaayeN tou muAaf farmaayiye kiyooNkeh jaldi meiN online hii likhrahaa thaa.

Nazir.

Post Reply