tarhi ghazal guzarish #15 by haamidbaaqri

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

tarhi ghazal guzarish #15 by haamidbaaqri

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

aapke diye hue misre per hamaari adna kaavish haazir hai

gar qubool uftad zahe.....

arz kiya hai....

khuda ka hokay bhi mai.n bandaye khuda nah hua
yeh dil haqeeqate yazdaa.n se aashna nah hua

jo bandah hota tau hota mai.n pairawe ahmed
phansaaya jaal mei.n shaitaa.n ne paarsa nah hua

wujood tha mira aamaadah bandagi keliye
hareef nafs ne behkaaya haq ada nah hua

kiya tha ^ahad keh banjaaoonga mai.n nek magar
hoo.n sharmsaar keh waadah mira wafa nah hua

khudaara sunlo hai faryaad shaaf^i-e mahshar
"tumhaare hijr mei.n kya kuch nah beeti kya nah hua"

badhaale nekiyaa.n khaate mei.n apne aye haamid
hai kya yaqee.n keh yeh lamha tira hua nah hua

nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Azeezi Haamid SaHab,
Aadaab

Bohat Khub. Mukammal Ghazal aapke apne rung meN hai. Wohee tableeghee andaaz, wohee haq ki aawaaz. Aaj ke daur meN achchee aur sachchee baat kahne waloN ka akaal hai aur aise meN aap ke zaat maal-e Ganeemat hai. Khoosh raheN aur aise hi likhte raheN.

MuKhliS
Jawaid
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:

azeez bhai jawaid saahab

aapki daad hamaare liye sanad hai.aap hamesha hamaari hauslah afzaayee karte aaye hai.n.aapki belaus mohabbat aur purkhuloos duao.n keliye hum behad mamnoono mashkoor hai.n.

allah(sbhnwt)hum jaise gunahgaar insaan se yeh kaam leraha hai yeh hamaare liye ek azeem nemat hai aur uski meherbaani hai jiska shukriya ada karna is haqeer se mumkin nahi.n hai.

har lamha apne saath saath apni qaum ki fikr hame.n sataati hai.

jo kuch hame.n us paak parwardigaar se mila hai uska sahi istemaal karna hum hamaara farz samajhte hai.n.

phir aik baar shukriya aapki mohabbato.n ka.

aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtaram
Haamid Baaqri SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

khuda ka hokay bhi mai.n bandaye khuda nah hua
yeh dil haqeeqate yazdaa.n se aashna nah hua

MaTlaA bahut achchaa hei. Waah waah. Aap kehnaa chaahte heiN ke dil is Haqeeqat se waaqif nah housakaa jo hei "wa maa khalaqt-ul-jinna-wal-insa-illa-le-yaAbudoon" Sadaq allahul-Azeem. Yeh aapka makhSooS rang hei.

jo bandah hota tau hota mai.n pairawe ahmed
phansaaya jaal mei.n shaitaa.n ne paarsa nah hua

Yeh sheAr bhi aapke makhSooS rang meiN hei aur bahut khoob hei.

wujood tha mira aamaadah bandagi keliye
hareef nafs ne behkaaya haq ada nah hua

Aapki ghazal meiN aap sirf apnaa Haal nahiN bayaan karrahe heiN balkeh Aam musalmaanaoN kii Haalat ke baare meiN bayaan karrahe heiN. Bahut khoob.

kiya tha ^ahad keh banjaaoonga mai.n nek magar
hoo.n sharmsaar keh waadah mira wafa nah hua

Bahut khoob.

khudaara sunlo hai faryaad shaaf^i-e mahshar
"tumhaare hijr mei.n kya kuch nah beeti kya nah hua"

Waah waah, bahut khoob. Yeh tou naAt kaa sheAr hougayaa.

badhaale nekiyaa.n khaate mei.n apne aye haamid
hai kya yaqee.n keh yeh lamha tira hua nah hua

MaqtaA bhii khoob hei. Waah waah.

Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:

mohtaram abdullah nazir saahib

hum behad mamnoono mashkoor hai.n aapki purkhuloos daad ke.

allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n.ki baarish kare.aameen

aapka mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Salam Haamid jee kaise hain aap?

MashaAllah hasb-e-maa'mool bahut umda ghazal hai.....!

Daad pesh hai!

Duaoon mein yaad rkahiyega,
Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Shummu wrote:Salam Haamid jee kaise hain aap?

MashaAllah hasb-e-maa'mool bahut umda ghazal hai.....!

Daad pesh hai!

Duaoon mein yaad rkahiyega,
Shumaila
wa alaikumussalaam
shumaila saahebah

al hamdulillah hum khairiyat se hai.n.

aur aap kaisee hai.n?

bahut bahut shukriya aapki purkhuloos daad ka.

allah(sbhnwt)aapki har pareshaani ko door kare.aameen

hum to yaad rakhte hai.n. aapko duao.n mei.n.

aap bhi hame.n duao.n mei.n yaad rakhiyega

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: tarhi ghazal guzarish #15 by haamidbaaqri

Post by haamidbaaqri »

sara_j wrote:
haamidbaaqri wrote:arz kiya hai....

khuda ka hokay bhi mai.n bandaye khuda nah hua
yeh dil haqeeqate yazdaa.n se aashna nah hua

jo bandah hota tau hota mai.n pairawe ahmed
phansaaya jaal mei.n shaitaa.n ne paarsa nah hua

wujood tha mira aamaadah bandagi keliye
hareef nafs ne behkaaya haq ada nah hua

kiya tha ^ahad keh banjaaoonga mai.n nek magar
hoo.n sharmsaar keh waadah mira wafa nah hua

khudaara sunlo hai faryaad shaaf^i-e mahshar
"tumhaare hijr mei.n kya kuch nah beeti kya nah hua"

badhaale nekiyaa.n khaate mei.n apne aye haamid
hai kya yaqee.n keh yeh lamha tira hua nah hua

nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
haamid sahib,

adaab arz hei.

aapke apne makhsoos andaaz mien ye ghazal bhi bohat pasand aayi.

bohat umda ashaar likhe hain poori ghazal pasand aayi.

daad o mubarakbaad qubool keejiye.

sara
salaamun alaikum
azeez behan saara saahibah

aapne ghazal ko bahut pasand farmaaya hame.n badi khushee huee.

aapki mukhlissanah daad o mubaarakbaad keliye hum aapke behad shukrguzaar hai.n.

allah(sbhnwt)aap per apni khaas nazre karam farmaaye.aameen