aik nazm

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

aik nazm

Post by Dawood_Rizwan »

AOA
aray yahan too saray urdustan walay doost hain !!!!!!!!!!!!!
Attachments
poem_691.gif
poem_691.gif (5.66 KiB) Viewed 411 times
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob Waah waah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
DAWOOD RIZWAN Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat, :)


Kyaa kehne kitni khoobsoorat aazad nazm paish kii hei aapne! Yeh aap hii kaa haq hei ke aap ne isqadar dilkash alfaaz se is ko aaraastah kiyaa hei.

Meri bharpoor daad aur mubaarkbaad Haazir hei.

Ummeed ke aayindah bhii aap isi taraH se apne giraaNqadr kalaam se hameN navaazte rahenge. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Dawood Rizwaan saaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

Aap ko iss bazm meN khush-aamaadeed. :)

Aap ko yahaan deikh kar az-hadd khushi howee. hasb-e-mamool aap ki yeh nazm bhi bohat khoob hai.

Mujhe bhi seekhaa deejiye ke iss tarhaa aazaad nazm meN jaan kaise daalte heN. :)

ek khoobsoorat kawish per meree janib se dillee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

bohat pasdand aae janab ye nazm
daad hazir hay, qubool kijiyey
thanx
:)
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

Re: Bahut khoob Waah waah

Post by Dawood_Rizwan »

Abdullah Nazir wrote:
MuHtarami
DAWOOD RIZWAN Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat, :)


Kyaa kehne kitni khoobsoorat aazad nazm paish kii hei aapne! Yeh aap hii kaa haq hei ke aap ne isqadar dilkash alfaaz se is ko aaraastah kiyaa hei.

Meri bharpoor daad aur mubaarkbaad Haazir hei.

Ummeed ke aayindah bhii aap isi taraH se apne giraaNqadr kalaam se hameN navaazte rahenge. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.


NAZAR sahib aap ki muhabatin hain warna man aanam ka man danam
shukriya
Dawood_Rizwan
-
-
Posts: 35
Joined: Sun Feb 06, 2005 5:30 pm
Location: Islamabad
Contact:

Post by Dawood_Rizwan »

Raji wrote:Dawood Rizwaan saaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

Aap ko iss bazm meN khush-aamaadeed. :)

Aap ko yahaan deikh kar az-hadd khushi howee. hasb-e-mamool aap ki yeh nazm bhi bohat khoob hai.

Mujhe bhi seekhaa deejiye ke iss tarhaa aazaad nazm meN jaan kaise daalte heN. :)

ek khoobsoorat kawish per meree janib se dillee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
raji khush amdeed kahnay ka shukriya. achi nazm likhnay ki too main khud kooshish main hoon. aik bat yad rakhna ka aik sher aap ka poora lahoon nachooR kar nikalta hay. aur aik nazm aap ka goosht chaba layti hay
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Dawood_Rizwan wrote:
Raji wrote:Dawood Rizwaan saaHeb:
Aadaab-o-tasleemat,

Aap ko iss bazm meN khush-aamaadeed. :)

Aap ko yahaan deikh kar az-hadd khushi howee. hasb-e-mamool aap ki yeh nazm bhi bohat khoob hai.

Mujhe bhi seekhaa deejiye ke iss tarhaa aazaad nazm meN jaan kaise daalte heN. :)

ek khoobsoorat kawish per meree janib se dillee daad aur mubarakbaad qubool keejiye.

Wassalam

Zahida Raees :Raji:
raji khush amdeed kahnay ka shukriya. achi nazm likhnay ki too main khud kooshish main hoon. aik bat yad rakhna ka aik sher aap ka poora lahoon nachooR kar nikalta hay. aur aik nazm aap ka goosht chaba layti hay

Rizwaan saaHeb aap tu d'ara hee rahe heN... :oops: :( mujh meN lahoo aur goosht donooN hee baqadr-e-zaroorat hai iss liye ham tu baaz aaye iss kaam se :) abb achi shairee ke liye zindooN kee saf se tu bahir aane se rahe :shock:

hameN apni be-mazaa shairee hee kaafi hai. "jis ka kaam usee ko saaje " :)
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Post Reply