Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...

Post by Raji »


Azeezan-e-bazm

Aadaab-o-tasleemat

Ummeed az mizaaj bakhair. Aap sab kee araa aur rah^numahii ke liye apni ek aur purani takhleeq share kar rahi hooN.
Hasb-e-mamool ek darkhwaast ke saat ke agar kaheN koi kami reh gayii ho yaa bayaan meN farq ho aur uss kee behtaree kee koi soorat maujood hai tu azra-e-karam rah-numhaii zaroor keejiye gaa ke mujh kam-ilm ke ilm meN izaafa ho sake :) bohat shukr-guzaar hooNgi.

Rahnumaii aur dua^on kee muntazir

Zahida Raees :Raji:
~~~~~~~~~~~~~~



Ghazal

dil ko mohabbatooN ka sikandar bana diya
aur laa-zawal gham ka samandar bana diya

jab jab ata kiyaa tu koi hadd naheiN rakhii
socha naheiN thaa jo voh muqadar bana diya

Jis jis ko tu ne qurbateN apnee nawaz-deeN
uss aadmi ka arsh pe manbar bana diya

thu ne tu har bashar ko hee insaaN kaha magar?
aadam ko aadmi ne hee bandar bana diya

rutbaa diya thaa tu-ne magar kya kiye hai voh?
mismaar kar ke mehel ko khand'ar bana diya

mazhab ke naam per voh siyaasat kiye gaye!
masjid naa ban saka tu voh mander bana diya

jeevan kee kachi d'or nafee maut kee kare
kyooN tu ne iss jahaan ko sundar bana diya

(Zahida Raees :Raji:)
Attachments
dil_ko_mohabbatooN_ka_siqandar_bana_diya.gif
dil_ko_mohabbatooN_ka_siqandar_bana_diya.gif (8.29 KiB) Viewed 351 times
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

zahida jee
:meh,l :naheen kaha jata----------durust lafz :MAHAL: hay
isii tarah :khann-dar:(yaanii andar, namdar, k wazn par naheen hay bal-k)----- drust lafz :khaNdar:( bhaNwar , saNwar
k wazn par hota hay )
:)
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

najma wrote:zahida jee
:meh,l :naheen kaha jata----------durust lafz :MAHAL: hay
isii tarah :khann-dar:(yaanii andar, namdar, k wazn par naheen hay bal-k)----- drust lafz :khaNdar:( bhaNwar , saNwar
k wazn par hota hay )
:)

Azeezi Najma saaHeba:

Aadaab-o-tasleemat.

Aap ke khat ko daikh kar khushi hovee. Dair se jawab iss liye de rahi hooN ke abb taak chaar baar meiN iss khat ka jawab type kar ke post kar chuki hooN (lekin ghar se) aur jaise hee submit ka button click howa mere net neiN dhoka de diyaa :(

"Mahal" ka talafuz pehlee baar sunn rahi hooN shayed yeh mere ilaaqe ka asar hai ke ham ise mehel /mehlooN / Mehlaat kehte heN.

acha hai aap ke tavasut se mujhe durust talaffuz ka pata chala. :)

Najma jee, yeh qawafi kee ghalatee najaane kab mujh se door ho gii :(. aap kee nishandehii ka shukriya.

Abb ek do roz meN yaa tu iss sher ko hata dooNgi yaa phir dosraa misraah tabdeel kar dooNgi. ummeed kartee hooN ke aap naye tajrube per bhi apni aaraa ka izhaar karte howe rah-numahii kareNgee.

Mamnoon

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Re: Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...

Post by Shummu »

dil ko mohabbatooN ka sikandar bana diya
aur laa-zawal gham ka samandar bana diya

jab jab ata kiyaa tu koi hadd naheiN rakhii
socha naheiN thaa jo voh muqadar bana diya

thu ne tu har bashar ko hee insaaN kaha magar?
aadam ko aadmi ne hee bandar bana diya

mazhab ke naam per voh siyaasat kiye gaye!
masjid naa ban saka tu voh mander bana diya
Wah bahut khoob Raji sis!!! :)

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Re: Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...

Post by Raji »

Shummu wrote:
dil ko mohabbatooN ka sikandar bana diya
aur laa-zawal gham ka samandar bana diya

jab jab ata kiyaa tu koi hadd naheiN rakhii
socha naheiN thaa jo voh muqadar bana diya

thu ne tu har bashar ko hee insaaN kaha magar?
aadam ko aadmi ne hee bandar bana diya

mazhab ke naam per voh siyaasat kiye gaye!
masjid naa ban saka tu voh mander bana diya
Wah bahut khoob Raji sis!!! :)

Shumaila
bohat bohat shukriya dearest Shumaila sis aap ke khat aur daad ke liye.
khush rahiye

wassalam

Ur sis
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

mazhab ke naam per voh siyaasat kiye gaye!
masjid naa ban saka tu voh mander bana diya

raji ji kia baat hay , kia hi umdaah kalam irshaad farmaya , bharpoor daaad qubool kejay ,

waqar masood
hello
Post Reply