Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...
Azeezan-e-bazm
Aadaab-o-tasleemat
Ummeed az mizaaj bakhair. Aap sab kee araa aur rah^numahii ke liye apni ek aur purani takhleeq share kar rahi hooN.
Hasb-e-mamool ek darkhwaast ke saat ke agar kaheN koi kami reh gayii ho yaa bayaan meN farq ho aur uss kee behtaree kee koi soorat maujood hai tu azra-e-karam rah-numhaii zaroor keejiye gaa ke mujh kam-ilm ke ilm meN izaafa ho sake :) bohat shukr-guzaar hooNgi.
Rahnumaii aur dua^on kee muntazir
Zahida Raees :Raji:
~~~~~~~~~~~~~~
Ghazal
dil ko mohabbatooN ka sikandar bana diya
aur laa-zawal gham ka samandar bana diya
jab jab ata kiyaa tu koi hadd naheiN rakhii
socha naheiN thaa jo voh muqadar bana diya
Jis jis ko tu ne qurbateN apnee nawaz-deeN
uss aadmi ka arsh pe manbar bana diya
thu ne tu har bashar ko hee insaaN kaha magar?
aadam ko aadmi ne hee bandar bana diya
rutbaa diya thaa tu-ne magar kya kiye hai voh?
mismaar kar ke mehel ko khand'ar bana diya
mazhab ke naam per voh siyaasat kiye gaye!
masjid naa ban saka tu voh mander bana diya
jeevan kee kachi d'or nafee maut kee kare
kyooN tu ne iss jahaan ko sundar bana diya
(Zahida Raees :Raji:)
- Attachments
-
- dil_ko_mohabbatooN_ka_siqandar_bana_diya.gif (8.29 KiB) Viewed 346 times
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
najma wrote:zahida jee
:meh,l :naheen kaha jata----------durust lafz :MAHAL: hay
isii tarah :khann-dar:(yaanii andar, namdar, k wazn par naheen hay bal-k)----- drust lafz :khaNdar:( bhaNwar , saNwar
k wazn par hota hay )
:)
Azeezi Najma saaHeba:
Aadaab-o-tasleemat.
Aap ke khat ko daikh kar khushi hovee. Dair se jawab iss liye de rahi hooN ke abb taak chaar baar meiN iss khat ka jawab type kar ke post kar chuki hooN (lekin ghar se) aur jaise hee submit ka button click howa mere net neiN dhoka de diyaa
"Mahal" ka talafuz pehlee baar sunn rahi hooN shayed yeh mere ilaaqe ka asar hai ke ham ise mehel /mehlooN / Mehlaat kehte heN.
acha hai aap ke tavasut se mujhe durust talaffuz ka pata chala. :)
Najma jee, yeh qawafi kee ghalatee najaane kab mujh se door ho gii . aap kee nishandehii ka shukriya.
Abb ek do roz meN yaa tu iss sher ko hata dooNgi yaa phir dosraa misraah tabdeel kar dooNgi. ummeed kartee hooN ke aap naye tajrube per bhi apni aaraa ka izhaar karte howe rah-numahii kareNgee.
Mamnoon
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
Re: Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...
Wah bahut khoob Raji sis!!! :)dil ko mohabbatooN ka sikandar bana diya
aur laa-zawal gham ka samandar bana diya
jab jab ata kiyaa tu koi hadd naheiN rakhii
socha naheiN thaa jo voh muqadar bana diya
thu ne tu har bashar ko hee insaaN kaha magar?
aadam ko aadmi ne hee bandar bana diya
mazhab ke naam per voh siyaasat kiye gaye!
masjid naa ban saka tu voh mander bana diya
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Re: Dil ko muhabbatooN ka sikandar bana diya...
bohat bohat shukriya dearest Shumaila sis aap ke khat aur daad ke liye.Shummu wrote:Wah bahut khoob Raji sis!!! :)dil ko mohabbatooN ka sikandar bana diya
aur laa-zawal gham ka samandar bana diya
jab jab ata kiyaa tu koi hadd naheiN rakhii
socha naheiN thaa jo voh muqadar bana diya
thu ne tu har bashar ko hee insaaN kaha magar?
aadam ko aadmi ne hee bandar bana diya
mazhab ke naam per voh siyaasat kiye gaye!
masjid naa ban saka tu voh mander bana diya
Shumaila
khush rahiye
wassalam
Ur sis
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
-
- -
- Posts: 134
- Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
- Location: khanewal
- Contact: