Khushaamaded hamare azeez taraeen buzurg SARDAR JAHANGIR SB.

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Khushaamaded hamare azeez taraeen buzurg SARDAR JAHANGIR SB.

Post by Abdullah Nazir »

[rainbow][h1]
Khushamdeed hamare buzurg SARDAR JAHANGIR saahib
[/rainbow][/h1]


Muhtarami
Sardar Jahangir Saahib

Aap apni hii is site per bawaqt-e-munaasib tashreef laaye. Ham sab aapka tah-e-dil se poori garmjoushi ke saath isteqbaal karte heiN. Kaun hei jo aapko nahiN jaanaata aur kaun hei jo aapki adabi sargarmiyaoN se waaqif nahiN. Saare loag jo Urdubandhan per aachuke heiN dili musarrat ke phool aapki aamad per nichaawar karte heiN. Yeh din hamaare liye baaic-e-saAadat hei.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Janaab Sardar Jahangir Saahib
Asslam Alaikom.
Khush-Amdeed.
Salem Bashwar
Jibraan Khalil
nau-waarid
Posts: 13
Joined: Sun Dec 12, 2004 12:46 am
Contact:

Post by Jibraan Khalil »

manjhle bhai,
Khushaamdeed,
yaqeen jaano jaano tumhari kaami shiddat se meHsoos horahi thi,
dekho tou hamari behn Sara khushi se phole nahiN samarahi hai :)
chalo achcha huwa jo aagaye, :rose
Khoob ghuzregi jab mil beTheNge deewane 2,
baRa bhai.
:mrgreen:
Jibraan Khalil
nau-waarid
Posts: 13
Joined: Sun Dec 12, 2004 12:46 am
Contact:

Post by Jibraan Khalil »

Jibraan Khalil wrote:manjhle bhai,
Khushaamdeed,
yaqeen jaano tumhari kaami shiddat se meHsoos horahi thi,
dekho tou hamari behn Sara khushi se phole nahiN samarahi hai :)
chalo achcha huwa jo aagaye, :rose
Khoob ghuzregi jab mil beTheNge deewane 2,
baRa bhai.
:mrgreen:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

bahuttttttttttt bahut KHUSHAAMADEED SJK jee...behad khushi hui aap ko yahan dekh kar....welcome!!! :D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Sardar Jahangir
nau-waarid
Posts: 2
Joined: Thu Feb 10, 2005 7:58 am

Post by Sardar Jahangir »

kaash mere paas alfaaz hote. itne khuloos aur mohabat ke javab meN shukria lafz chhoTaa aur ravaaiti lagg rahaa hai ke bolte huye bhi sharmindgi mahsoos ho rehi hai.

ab meN kese apni dilli kefiat kaa azhaar karooN ?

meN haazir hotaa rahooNgaa. allah aap sab ko khush rakHe ( ameen ).
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

khushaamdeed

Post by Mahtab Qadr »

Mohatram Sardar Jahangir sahib ko dil ki gahraioN se ham sab..
Khushamdeed kahte haiN...
meri janib se bhi dili khairmaqdam SARDAR JAHANGIR saahib kelye
Mahtab Qadr
Jibraan Khalil
nau-waarid
Posts: 13
Joined: Sun Dec 12, 2004 12:46 am
Contact:

Post by Jibraan Khalil »

deleted
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

Respected Dear SJK Sir, meiN bhi aap ko iss bazm meN khush-aamadeed kehtee hooN... iss yaqeen ke saat ke aap ham ilm ke pyaasooN kee rah^numahii hasb-e-mamool karte raheiNge. :)
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
Naveed_Ahmad_Naveed
-
-
Posts: 68
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
Location: Pakistan
Contact:

Post by Naveed_Ahmad_Naveed »

Slaam Sardar saaHib.


aap ko is bazm meiN dekh kar inthaee khushi ho rahi hai. :) aap ka dil ki gehraioN se khairmaqdam hai.
Naveed.
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Image
Image
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
Sardar Jahangir
nau-waarid
Posts: 2
Joined: Thu Feb 10, 2005 7:58 am

Post by Sardar Jahangir »

bohut bohut shukria aap sab kaa. meN insha allah haazir hotaa rahooNgaa.
Post Reply