Aap apni hii is site per bawaqt-e-munaasib tashreef laaye. Ham sab aapka tah-e-dil se poori garmjoushi ke saath isteqbaal karte heiN. Kaun hei jo aapko nahiN jaanaata aur kaun hei jo aapki adabi sargarmiyaoN se waaqif nahiN. Saare loag jo Urdubandhan per aachuke heiN dili musarrat ke phool aapki aamad per nichaawar karte heiN. Yeh din hamaare liye baaic-e-saAadat hei.
manjhle bhai,
Khushaamdeed,
yaqeen jaano jaano tumhari kaami shiddat se meHsoos horahi thi,
dekho tou hamari behn Sara khushi se phole nahiN samarahi hai :)
chalo achcha huwa jo aagaye, :rose
Khoob ghuzregi jab mil beTheNge deewane 2,
baRa bhai. :mrgreen:
Jibraan Khalil wrote:manjhle bhai,
Khushaamdeed,
yaqeen jaano tumhari kaami shiddat se meHsoos horahi thi,
dekho tou hamari behn Sara khushi se phole nahiN samarahi hai :)
chalo achcha huwa jo aagaye, :rose
Khoob ghuzregi jab mil beTheNge deewane 2,
baRa bhai. :mrgreen:
kaash mere paas alfaaz hote. itne khuloos aur mohabat ke javab meN shukria lafz chhoTaa aur ravaaiti lagg rahaa hai ke bolte huye bhi sharmindgi mahsoos ho rehi hai.
ab meN kese apni dilli kefiat kaa azhaar karooN ?
meN haazir hotaa rahooNgaa. allah aap sab ko khush rakHe ( ameen ).
Mohatram Sardar Jahangir sahib ko dil ki gahraioN se ham sab..
Khushamdeed kahte haiN...
meri janib se bhi dili khairmaqdam SARDAR JAHANGIR saahib kelye
Mahtab Qadr
Respected Dear SJK Sir, meiN bhi aap ko iss bazm meN khush-aamadeed kehtee hooN... iss yaqeen ke saat ke aap ham ilm ke pyaasooN kee rah^numahii hasb-e-mamool karte raheiNge. :)
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)