haazreen e mehfil
asalam alaikum
aap ki KHidmat men ghazal pesh hai aap ki aara ka muntazir rahoonga
shukriyah
Husaini
ghazal
zakhm e ulfat zeenat e dil hai zara samjha karo
jaan e man yeh ishq ka hai falsafah samjha karo
tum ko ruswa kar nah de yuN sab se hansna bolana
ja chuka bachpan zara achchha bura samjha karo
lab kushaai men hamari aapki touheen hai
waqifulasraar ho to mudduAa samjha karo
khelna dil se hamre ik tamasha to nahiN
lag bhi sakti hai kisi ki badduAa samjha karo
rind o zaahid aa gaye is moR tak to saath saath
ab badal jayega inka raastah samjha karo
lag nah jaye daaGH koi daman e bedaaGH par
qurb meN achchha hai thoRa faaSlah samjha karo
giryah e shaam o sahar ke saikRoN asbaab heN
kyuN bahate hen yeh durr e bebaha samjha karo
KHouf e ruswaai se lab par lag gaii mohr e sukoot tum nigaah e shoq ki har ilteja samjha karo
qadr hojati hai kam milne se aise baar baar
aur us par zhar hai shikwah gilah samjha karo
yeh takabbur aur itna zaAm aaKHir kisliye
hai bohat kamzor nafsi silsilah samjha karo
likh rahe ho kyuN Husaini is qadar GHazleN Tweel
zabT e qaari ki hai koi inteha samjha karo
ghazal zakhm e ulfat zeenat e dil hai zara samjha karo
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
ghazal zakhm e ulfat zeenat e dil hai zara samjha karo
Last edited by khozema husaini on Mon May 08, 2006 3:32 pm, edited 2 times in total.
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami o Azeezi
Khozema Husaini SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MULAAHIZAAT:
zakhm e ulfat zeenat e dil hai zara samjha karo
jaan e man yeh ishq ka hai falsafah samjha karo
achchaa maTlaA hei, waah waah.
tum ko ruswa kar nah de yuN sab se hansna bolana
ja chuka bachpan zara achchha bura samjha karo
achcha sheAr hei, bahut khoob, waah waah.
lab kushaai men hamari aapki touheen hai
waqifulasraar ho to mudduAa samjha karo
waaqif-ul-Haal ki TaraH waaqifulasraar kehnaa ghalaT nahiN lekin jab vazn meiN koii farq nahiN paRrahaa hei to behtar hougaa ke aap waaqif-e-asraar isteAmaal kareN.
SheAr bahut achchaa heii, waah waah.
khail yeh hargiz nahin hai dil se aise khailna
lag bhi sakti hai kisi ki badduAa samjha karo
SheAr bilkul SaHeeH hei. Meri nazar meiN agar pahlaa miSraA yooN hou to behtar hougaa:
khelnaa dil se hamaare ik tamaasha to nahiN
Achchaa sheAr hei. Bahut khoob.
rind o zaahid aa gaye is moR tak to saath saath
ab badal jayega inka raastah samjha karo
Achcha sheAr hei.
daaGh nah lag jaye koi daman e bedaaGH par
qurb meN achchha hai thoRa faaSlah samjha karo
"nah" ko "naa" ke talaffuz se paRhnaa zaroori hourahaa hei. Is liye aap pahle miSreA ko yooN kerleejiye:
lag nah jaaye daagh koii daaman-e-bedaagh per
Bahut achchaa sheAr hei, waah waah.
giryah e shaam o sahar ke heN bahane saikRoN
kyuN bahate hen yeh durr e bebaha samjha karo
Is sheAr meiN agar aap yeh kehnaa chaah rahe heiN "ham yeh durr e bebahaa kiyuN bahaate heiN" to pahle miSreA ko yooN kehnaa paRega:
giryah e shaam o sahar ke saikRoN asbaab heiN
agar aap meHboob se kehnaa chaahte heiN to pahle miSreA ko jaisaa hei waisaa hi rakhkar doosre misre meiN "heiN" ki jagah "ho" banaadeejiye.
Achchaa sheAr hei.
lag gai hai KHouf e ruswaai se hoNtoN par muhar
tum nigaah e shoq ki har ilteja samjha karo
Pahle miSreA meiN lafz "muhar" ghalat hei. "muhr" SaHeeH lafz hei. Is liye pahle miSreA ko yooN kerdeejiye:
Khauf e ruswaayi se lab per lag gayi muhr-e-sukoot
SheAr achcha hei. Waah waah.
qadr hojati hai kam milne se aise baar baar
aur us par zhar hai shikwah gilah samjha karo
Achcha sheAr hei go keh bahut se shoAaraah kaa yeh khayaal houtaa hei aapus ke gile shikwaoN se muHabbat aur dousti meiN izaafah houtaa hei.
yeh takabbur aur itna zaAm aaKHir kisliye
hai bohat kamzor nafsi silsilah samjha karo
Achcha sheAr hei. Waah waah.
likh rahe ho kyuN Husaini is qadar GHazleN Tweel
zabT e qaari ki hai koi intha samjha karo
MaqTaA bhi bahut khoob hei. Waah waah.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact: