moHtaram sathiyo aadaab!
ik tazah Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Ghazal
1.guThan hai dhund hai dam ghuT raha hai rastah gum hai
HiSaar-e-teergee meN ghir gae haiN rehnuma gum hai.
2.kahaaN hai be yaqeeni meN dua'aeeN maNgne wala
t^alat^um meN ghiree jate hai kashtee na khuda gum hai.
3.sar-e-meHfil laga to dee hai tere hath par mehNdee
hathelee par jame kiyooN naqsh-e-gul rang-e-Hina gum hai.
4.maiN kese laoT ke aaoN batao dasht-e-ulfat se
sarab-e-aarzo hai samne aor naqsh-e-pa gum hai.
5.ta'jub hai keh tareekh-e-gulistaaN meN sabhee khuch hai
magar khun-e-shaheedan-e-wafa ka tazkirah gum hai.
6.ilahee le nah Dube yeh taGhaful kee ada un kee
faSeel-e-jaaN giree jatee aor mushkil kusha gum hai.
7.woh mujh ko dekhta hai gar to mere rubaru aae
maiN ik muddat se sar bah sajdah hoN lekin khuda gum hai.
8.maiN khud ko dekh looN ik bar to pehchaan looN shayad
jo chehrah DonD laya hooN to logo aae'nah gum hai.
9.meree SeHrah nawardee ka yaqeeN aata naheeN un ko
keh sar se gard-e-reh aor paoN ka har aablah gum hai.
10.takallum ke liye kuch hosh bhee darkar hota hai
muzaffar kiya karooN a'rZ^-e-tamanna Hafiz^ah gum hai.
muz^affar aHmad muz^affar[/b][/color][/size]
HiSaar-e-teergee meN ghir gae haiN rehnuma gum hai.
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
HiSaar-e-teergee meN ghir gae haiN rehnuma gum hai.
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Wed May 31, 2006 12:39 pm, edited 1 time in total.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob
MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Bahut dinaoN baAd aapko urdubandhan per dekhkar khushi houi. Aap ki nayi takhleeq per nazar paR uskaa itnaa muTaaliAah nah housakaa ke us per tafseeli tabSirah karsakuN. Waqt ki tangi ki vajh se majboor hooN.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
aapki ghazal dobaarah aagayi hei
MuHtarami
Muzaffar Ahmed Muzaffar SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Bahut dinaoN baAd aapko urdubandhan per dekhkar khushi houi. Aap ki nayi takhleeq per nazar paR uskaa itnaa muTaaliAah nah housakaa ke us per tafseeli tabSirah karsakuN. Waqt ki tangi ki vajh se majboor hooN.
Meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayhiye.
Note: Aaj bhi waqt ki tangi hei lekin aapki ghazal dobarah paRhkar chaahtaa hooN ke tafSeeli tabSirah karuN lekin do chaar din lag jaayenge. Aapki dobaarah irsal kardah ghazal ko miTaarahaa hooN.
Aapka MukhliS,
Nazir.