Gazal (Guz. 18)

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Gazal (Guz. 18)

Post by jawaid badauni »

Dosto!
Aadaab qubool kijiye

MaiN kal hi apni salanah rooKhsat se waapas aaya hooN. Ek arce bAAd Urdubandhan meN haazree lagaa rahaa hooN aur woh bhi naii tarahee Gazal ke saath. Ummid hai in sada ashAr ko aap pasaNd farmayeNge.

Aapka MuKhlis
Jawaid Badauni

Gazal

Door hooN manzil se maiN armaan bhi manzil ka hai
Aasra ab jo bhi hai bus jazba-e kaamil ka hai

MaiN tiree janib nah dekhooN zid hai mere zahn ki
Aur tira daaman na choRooN yeh taqaZah dil ka hai

Mil gaya humko bhi duniya meN shahaadat ka maqaam
Ek to ehsaan hum per baazoo.e qaaatil ka hai

Mustaqil such bolna aur woh bhi sub ke saamne
Tum nah kar paaoge yaro Kaam yeh mushkil ka hai

Aajkal ke rahrawoN kee bus yehee hai daastaN
Aabla paaii ka Gam hai shauq bhi manzil ka hai

Kaunsee nisbat mujhe hai tum se kya batlaaooN maiN
Tum nah samjhoge isey aaKhir yeh rishta dil ka hai

Iss tarah se ji rahee hai meri saaree qaum aaj
Kuch to hai maazi ka Gam kuch Khauf mustaqbil ka hai

Hazrat.e “Jawaid” kya aaye keh raunaq aa gaaii
Khood hi aakaer dekh lo tum Haal jo mehfil ka hai

User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah

Post by Abdullah Nazir »

MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Saare ashAaar hi laayiq-e-daad o teHseen hei aur khaaS Taur per aapka maqTaA jismeN aap ne is baat kaa izhaar farmaayaa hei ke aapke waapus aane se meHfil i raunq meiN iZaafah hougayaa hei. Shukriyah.

Aapkaa mukhliS,
Nazir.

Image
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Bahut khoob, waah waah

Post by jawaid badauni »

WEBMASTER wrote:
MuHtarami o Azeezi
Jawaid Badauni SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Saare ashAaar hi laayiq-e-daad o teHseen hei aur khaaS Taur per aapka maqTaA jismeN aap ne is baat kaa izhaar farmaayaa hei ke aapke waapus aane se meHfil i raunq meiN iZaafah hougayaa hei. Shukriyah.

Aapkaa mukhliS,
Nazir.

Mohtarmee Abdullah Nazir SaHib,
Aadaab

Aap ki daad sanad hai.Bohat himmat afzaaii hoti hai jab aap Ghazal per apnee graNqadr tahseen se nawazte haiN.

Behud mamnoon hooN.

MuKhlis
Jawaid Badauni
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

mohtaram Javed saaHib aadab arz hai!

aap kii mojudagii se bazm kii raunaqeiN vaaqaii dobaala ho gaii heiN jiska subuut kalaam ke maqte meiN ba-khubii zaahir hai. :lol:

hamesha hii tarah yeh kalaam bhii khub rahaa tamaam hii ash'aar umdah aur laaiq-e-sad tehseen heiN. khusuusan maqtaa behad pasaNd aaYaa.

eik kaamyaab koshsih par nachiiz kii jaanib se dilee daad-o-mubaarak baad qubuul keejiYe. :rose

Dua'aoN meiN yaad rakhiYe ga! :-)

~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

hassan_bashir wrote:mohtaram Javed saaHib aadab arz hai!

aap kii mojudagii se bazm kii raunaqeiN vaaqaii dobaala ho gaii heiN jiska subuut kalaam ke maqte meiN ba-khubii zaahir hai. :lol:

hamesha hii tarah yeh kalaam bhii khub rahaa tamaam hii ash'aar umdah aur laaiq-e-sad tehseen heiN. khusuusan maqtaa behad pasaNd aaYaa.

eik kaamyaab koshsih par nachiiz kii jaanib se dilee daad-o-mubaarak baad qubuul keejiYe. :rose

Dua'aoN meiN yaad rakhiYe ga! :-)

~ Hassan ~

Mohtarme Hassan Sb., Tasleemaat

Ghazal ki pazeeeraaii aur purKhuloos daad.o.tahseen ke liye aap ka marhoon.e minnat hooN.

Khoosh raheN!

Nacheez,

Jawaid Badauni
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: Gazal (Guz. 18)

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:

Dosto!
Aadaab qubool kijiye

MaiN kal hi apni salanah rooKhsat se waapas aaya hooN. Ek arce bAAd Urdubandhan meN haazree lagaa rahaa hooN aur woh bhi naii tarahee Gazal ke saath. Ummid hai in sada ashAr ko aap pasaNd farmayeNge.

Aapka MuKhlis
Jawaid Badauni

Gazal

Door hooN manzil se maiN armaan bhi manzil ka hai
Aasra ab jo bhi hai bus jazba-e kaamil ka hai

MaiN tiree janib nah dekhooN zid hai mere zahn ki
Aur tira daaman na choRooN yeh taqaZah dil ka hai

Mil gaya humko bhi duniya meN shahaadat ka maqaam
Ek to ehsaan hum per baazoo.e qaaatil ka hai

Mustaqil such bolna aur woh bhi sub ke saamne
Tum nah kar paaoge yaro Kaam yeh mushkil ka hai

Aajkal ke rahrawoN kee bus yehee hai daastaN
Aabla paaii ka Gam hai shauq bhi manzil ka hai

Kaunsee nisbat mujhe hai tum se kya batlaaooN maiN
Tum nah samjhoge isey aaKhir yeh rishta dil ka hai

Iss tarah se ji rahee hai meri saaree qaum aaj
Kuch to hai maazi ka Gam kuch Khauf mustaqbil ka hai

Hazrat.e “Jawaid” kya aaye keh raunaq aa gaaii
Khood hi aakaer dekh lo tum Haal jo mehfil ka hai

salaamun alaikum
hamaare azeez bhaai jawaid saahib

hum pehle bhi is khoobsoorat ghazal per daad de chuke hai.n

phir aik baar aapki is munfarid takhleeq per daad haazir hai qubool farmaaye.n

aapka apna
haamidbaari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Gazal (Guz. 18)

Post by jawaid badauni »

haamidbaaqri wrote:

Ek baar phir shukriya Haamid SaHib.

Allah aap ko shaad.o.aabaad rakhkhe, "aamin".

MuKhlis
Jawaid
User avatar
khozema husaini
-
-
Posts: 150
Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
Contact:

Post by khozema husaini »

janaab jawaid saheb
aadaab aap ki Ghazal pasand aai meri janib se daad Haazir hai qubool farmayeN
husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee

husaini
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

khozema husaini wrote:janaab jawaid saheb
aadaab aap ki Ghazal pasand aai meri janib se daad Haazir hai qubool farmayeN
husaini
Mohtarmee wa azeezi Husaini SaHab,

Aap ki daad.o.taheen halaNkeh muKhtaCar hai magar mere liye izzat afzaaii aur himmat afzaaii ka bayaS banee hai. Bohat bohat shukriya.

Jawaid
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Gazal (Guz. 18)

Post by Anmol »

jawaid badauni wrote: Door hooN manzil se maiN armaan bhi manzil ka hai
Aasra ab jo bhi hai bus jazba-e kaamil ka hai

MaiN tiree janib nah dekhooN zid hai mere zahn ki
Aur tira daaman na choRooN yeh taqaZah dil ka hai

Mil gaya humko bhi duniya meN shahaadat ka maqaam
Ek to ehsaan hum per baazoo.e qaaatil ka hai

Mustaqil such bolna aur woh bhi sub ke saamne
Tum nah kar paaoge yaro Kaam yeh mushkil ka hai

Aajkal ke rahrawoN kee bus yehee hai daastaN
Aabla paaii ka Gam hai shauq bhi manzil ka hai

Iss tarah se ji rahee hai meri saaree qaum aaj
Kuch to hai maazi ka Gam kuch Khauf mustaqbil ka hai

Hazrat.e “Jawaid” kya aaye keh raunaq aa gaaii
Khood hi aakaer dekh lo tum Haal jo mehfil ka hai

Waah waah waah, har sher aik se baRh kar aik. Mazameen bhi Khoob aur andaaz-e-bayaaN bhi Khoob'tar. Meri jaanib se DheroN daad qubool kijiye, Jawaid Sahib. :-)
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Gazal (Guz. 18)

Post by jawaid badauni »

Anmol wrote:
jawaid badauni wrote: Door hooN manzil se maiN armaan bhi manzil ka hai
Aasra ab jo bhi hai bus jazba-e kaamil ka hai

MaiN tiree janib nah dekhooN zid hai mere zahn ki
Aur tira daaman na choRooN yeh taqaZah dil ka hai

Mil gaya humko bhi duniya meN shahaadat ka maqaam
Ek to ehsaan hum per baazoo.e qaaatil ka hai

Mustaqil such bolna aur woh bhi sub ke saamne
Tum nah kar paaoge yaro Kaam yeh mushkil ka hai

Aajkal ke rahrawoN kee bus yehee hai daastaN
Aabla paaii ka Gam hai shauq bhi manzil ka hai

Iss tarah se ji rahee hai meri saaree qaum aaj
Kuch to hai maazi ka Gam kuch Khauf mustaqbil ka hai

Hazrat.e “Jawaid” kya aaye keh raunaq aa gaaii
Khood hi aakaer dekh lo tum Haal jo mehfil ka hai

Waah waah waah, har sher aik se baRh kar aik. Mazameen bhi Khoob aur andaaz-e-bayaaN bhi Khoob'tar. Meri jaanib se DheroN daad qubool kijiye, Jawaid Sahib. :-)

Bohat bohat shukriya Anmol SaHibah.
Der aayad durust aayd shayad isee ko kahte haiN.

Khair andesh
Jawaid
Post Reply