salaamun alaikum
dosto
aapki khidmate 'aaliya mei.n aik aur nazm pesh kar rahe hai.n.
jiska unwaan hai "urdu"
arz kiya hai......
bolo urdu sa zamaane mei.n adab hai koyee
is zaubaa.n per jo hua aisa ghazab hai koyee
hind ki beti hai jalna hai muqaddar iska
is hasee.n urdu ka pursaa.n nahi.n ab hai koyee
urdu daano.n mei.n kayee log yahaa.n aisay hai.n
jinko bahboodiye urdu se nah matlab hai koyee
saaya.ye gaysooye urdu mei.n palee.n tahzeebe.n
"teri zulfo.n ke bikharnay ka sabab hai koyee"
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
"urdu"aik aur nazm peshe khidmat hai
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"urdu"aik aur nazm peshe khidmat hai
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
shukriya
salaamun alaikumjawaid badauni wrote:Aapki muKhtaSar Nazm bohat achchee lagee. Koii to ha jisne is shikasta Haal, paa barahna, budnaSeeb zubaan per kuch kaha. Meri janib daad qubool kijiyega.
Aapka MuKhliS
Jawaid
mere azeez bhai jawaid saahib
aapki hausalah afzaayee aur purkhuloos daad ke hum behad shukrguzaar hai.n.
jawaab mei.n taakheer keliye muaafi chaahte hai.n.
jazakallah
aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa