"urdu"aik aur nazm peshe khidmat hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"urdu"aik aur nazm peshe khidmat hai

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

aapki khidmate 'aaliya mei.n aik aur nazm pesh kar rahe hai.n.

jiska unwaan hai "urdu"

arz kiya hai......


bolo urdu sa zamaane mei.n adab hai koyee
is zaubaa.n per jo hua aisa ghazab hai koyee

hind ki beti hai jalna hai muqaddar iska
is hasee.n urdu ka pursaa.n nahi.n ab hai koyee

urdu daano.n mei.n kayee log yahaa.n aisay hai.n
jinko bahboodiye urdu se nah matlab hai koyee

saaya.ye gaysooye urdu mei.n palee.n tahzeebe.n
"teri zulfo.n ke bikharnay ka sabab hai koyee"


nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

Aapki muKhtaSar Nazm bohat achchee lagee. Koii to ha jisne is shikasta Haal, paa barahna, budnaSeeb zubaan per kuch kaha. Meri janib daad qubool kijiyega.

Aapka MuKhliS
Jawaid
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:Aapki muKhtaSar Nazm bohat achchee lagee. Koii to ha jisne is shikasta Haal, paa barahna, budnaSeeb zubaan per kuch kaha. Meri janib daad qubool kijiyega.

Aapka MuKhliS
Jawaid
salaamun alaikum
mere azeez bhai jawaid saahib

aapki hausalah afzaayee aur purkhuloos daad ke hum behad shukrguzaar hai.n.

jawaab mei.n taakheer keliye muaafi chaahte hai.n.

jazakallah
aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply