Guzarish -----#19!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Guzarish -----#19!

Post by hassan_bashir »

yaaraan-e-bazm:Aadab!

eik muddat ke baad bazm-e-mushaire meiN shirkat kar rahaa huuN aur apnii adnaa sii kaavish ke saath haazir huuN, ummid hai kii ehbaab apnii aara se navaazeN ge. :-)

shukriyah!



:saNg dil se dosti aChhii nahiN:
apne dil se dushmani aChhii nahiN!

soch us ki har ghaRi aChhii nahiN,
is qadar bhi aashiqi aChhii nahiN!

aap rozaana vahaaN jaate haiN par?!
dhyaan rakhna vo gali aChhii nahiN!

jab bhii maiN bola to us ne yeh kaha?
aap ki yeh baat bhi aChhii nahiN!

gham nahiN aChha rahe gar mustaqil,
aur khushi bhi aarazi aChhii nahiN!

mira kaChha ghar hai mujh se keh raha?
baarishoN se dosti aChhii nahiN!

khud yahaaN aaye to baat aaii samajh?
zindagi pardes kii aChhii nahiN!

aap kahiye aap ki kyaa raye hai?
kyaa :Hasan: ki shaayri aChhii nahiN?!



Talib-e-Dua'a


~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob, waah waah.

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Hassan Bashir SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Aapki TaraHi ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

MULAAHIZAAT:

:saNg dil se dosti aChhii nahiN:
"apne dil se dushmani aChhii nahiN!"


Gireh ke saath bahut achchaa maTlaA hei, waah waah.

soch us ki har ghaRi aChhii nahiN,
is qadar bhi aashiqi aChhii nahiN!


Seedhaa saadah sheAr hei. Bahut khoob.

aap rozaana vahaaN jaate haiN par?!
dhyaan rakhna vo gali aChhii nahiN!


Achcha sheAr hei.

jab bhii maiN bola to us ne yeh kaha?
aap ki yeh baat bhi aChhii nahiN!


Achcha sheAr hei, waah.

gham nahiN aChha rahe gar mustaqil,
aur khushi bhi aarazi aChhii nahiN!


Bahut khoob, waah waah.

mira kaChha ghar hai mujh se keh raha?
baarishoN se dosti aChhii nahiN!


Achcha sheAr hei, waah waah.

khud yahaaN aaye to baat aaii samajh?
zindagi pardes kii aChhii nahiN!


Pahle miSreA meiN "aayaa samajh" se ibaarat mukammal nahiN hourahi hei baghair "meiN" ke. Behtar hei ke aap us miSreA ko yooN kardeN:
khud wo lauTe tou samajh meiN aagayaa

aap kahiye aap ki kyaa raye hai?
kyaa :Hasan: ki shaayri aChhii nahiN?!


achcha maqTaA hei. Is munaasibat se maiN kahoongaa ke aapki shaayeri bahut achchi hei lekin kaafi mashq-e-sukhan kee Zaroorat hei.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

mohtaram ustaad janaab Nazir saaHib:aadaab!

apne adnaa se kalaam par aap kaa tafsilee tabSirah khaaksaar ke liye baaic-e-masarrat hai aur yeh jaan kar bhii khushii hui ke aap ko kalaam ke beshtar ash'aar pasaNd aaye, jis ke liye maiN aap ka behad mamnuun huuN.

she'r #7 ke havaale se aap ka tajveez kardaa misraa bhii khuub hai, shukriyah! aur maiN khuud apne taur par bhii koshish karuN ga ke koee aur misraa is meiN shaamil kar sakuuN.

eik baar phir aap ka tah-e-dil se shukr-guzaar.


Talib-e-Dua'a


~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Re: Guzarish -----#19!

Post by hassan_bashir »

sara_j wrote:Hasan sahib,

adaab arz hei.

sab se pehle tou apki yehan shirket dekh ker

dil khush hua aur phir ghazal bhi khoob kahi.

sabhi ashaar pasand aaye daad qubool keejiye.

sara
adaab Sara jii,

kalaam kee pasaNdgii ke liye beHad mamnuun huun, aur aap kee daad ke baghair to kalaam adhuura saa lag rahaa thaa :-) aap kee daad sar aaNkhoN par.

bohat shukriyah! :rose

~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Re: Guzarish -----#19!

Post by hassan_bashir »

sara_j wrote:Hasan sahib,

adaab arz hei.

sab se pehle tou apki yehan shirket dekh ker

dil khush hua aur phir ghazal bhi khoob kahi.

sabhi ashaar pasand aaye daad qubool keejiye.

sara
adaab Sara jii,

kalaam kee pasaNdgii ke liye beHad mamnuun huun, aur aap kee daad ke baghair to kalaam adhuura saa lag rahaa thaa :-) aap kee daad sar aaNkhoN par.

bohat shukriyah! :rose

~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Re: Guzarish -----#19!

Post by Anmol »

hassan_bashir wrote:
:saNg dil se dosti aChhii nahiN:
apne dil se dushmani aChhii nahiN!

soch us ki har ghaRi aChhii nahiN,
is qadar bhi aashiqi aChhii nahiN!

gham nahiN aChha rahe gar mustaqil,
aur khushi bhi aarazi aChhii nahiN!

mira kaChha ghar hai mujh se keh raha?
baarishoN se dosti aChhii nahiN!

aap kahiye aap ki kyaa raye hai?
kyaa :Hasan: ki shaayri aChhii nahiN?!


~ Hassan ~
Aadaab, Hassan SaaHib!

Bahut Khoob ghazal kahi hai aap ne. Go k maiNe der se suni. :wink:

Quoted ashaar per daad qubool kijiye. :-)
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
Post Reply