eik muddat ke baad bazm-e-mushaire meiN shirkat kar rahaa huuN aur apnii adnaa sii kaavish ke saath haazir huuN, ummid hai kii ehbaab apnii aara se navaazeN ge.
shukriyah!
:saNg dil se dosti aChhii nahiN:
apne dil se dushmani aChhii nahiN!
soch us ki har ghaRi aChhii nahiN,
is qadar bhi aashiqi aChhii nahiN!
aap rozaana vahaaN jaate haiN par?!
dhyaan rakhna vo gali aChhii nahiN!
jab bhii maiN bola to us ne yeh kaha?
aap ki yeh baat bhi aChhii nahiN!
Pahle miSreA meiN "aayaa samajh" se ibaarat mukammal nahiN hourahi hei baghair "meiN" ke. Behtar hei ke aap us miSreA ko yooN kardeN: khud wo lauTe tou samajh meiN aagayaa
aap kahiye aap ki kyaa raye hai?
kyaa :Hasan: ki shaayri aChhii nahiN?!
achcha maqTaA hei. Is munaasibat se maiN kahoongaa ke aapki shaayeri bahut achchi hei lekin kaafi mashq-e-sukhan kee Zaroorat hei.
apne adnaa se kalaam par aap kaa tafsilee tabSirah khaaksaar ke liye baaic-e-masarrat hai aur yeh jaan kar bhii khushii hui ke aap ko kalaam ke beshtar ash'aar pasaNd aaye, jis ke liye maiN aap ka behad mamnuun huuN.
she'r #7 ke havaale se aap ka tajveez kardaa misraa bhii khuub hai, shukriyah! aur maiN khuud apne taur par bhii koshish karuN ga ke koee aur misraa is meiN shaamil kar sakuuN.
eik baar phir aap ka tah-e-dil se shukr-guzaar.
Talib-e-Dua'a
~ Hassan ~
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai