shurakaa-e-meHfil ki khidmat meN meraa salaam!
apnee aik taazah Ghazal ke saath HaaZir hooN -aap kemufeed aur kaar.aamad tabSiroN kaa intizaar rahay gaa--pasandeedgee ke saath saath naa.pasandeedgee kaa izhaar bhi khul kar keejiye gaa taakeh meN kisee khush.fehmee meN mubtilaa nah ho sakooN -
khush rahye
du'aago
yasir
Ghazal
kam hee sahee meHfil meN heN aise bhi arbaab-e-sukhan
miltee naheeN daad-e-sukhan, raKhtay heN par taab-e-sukhan
ghar se chalay thay paar karnay aatishee daryaa-e-i'shq
kyaa thee khabar le Doobay gaa ham ko bhi gardaab-e-sukhan
meHroom hay shaa.i'r bahut ,mazloom hay shaa.i'r bahut
ik zeest kaa dar band ho to waa ho ik baab-e-sukhan
deKho zaraa is mai.kaday ke khoobroo jaam-o-suboo
paidaa karo saaqee kaheeN se Phir ma.e.naab-e-sukhan !
bay.jaa naheeN meraa taRapnaa khushk ho daryaa agar
kuCh bhi naheeN hooN meN ba.juz ik maahiy-e-aab-e-sukhan
itnee zyaadah she'r.go.ee bhee ai dil aChChee naheeN !
aisaa nah ho ham ko bahaa lay jaa.ay Sailaab-e-sukhan
us se Ghubaar-e-"Meer" kee maanind meN baiThaa hooN door
ummeed hay aa.eN gay aatay aatay aadaab-e-sukhan
manzil raKho paish-e-nazar ,yaaro raho meHw-e-safar !
hay woh kawee naakaam jo ho jaa.ay Gharqaab-e-sukhan
hay shaa.i'r-e-mashriq kaa faiZ ,ash.'aar-e-man purnoor heN
gar aaftaab Iqbaal hay to :shaah: mahtaab-e-sukhan

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami
Yasir Shah SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki yeh ghazal bahut pasand aayi. BeHr-e-rajaz mucamman salem meiN itni mushkil zameen ikhtiyaar kerke achche sheAr kehnaa aapki maqdirat-e-sukhan kaa cuboot hei.
ghar se chalay thay paar karnay aatishee daryaa-e-i'shq
kyaa thee khabar le Doobay gaa ham ko bhi gardaab-e-sukhan
meHroom hay shaa.i'r bahut ,mazloom hay shaa.i'r bahut
ik zeest kaa dar band ho to waa ho ik baab-e-sukhan
deKho zaraa is mai.kaday ke khoobroo jaam-o-suboo
paidaa karo saaqee kaheeN se Phir ma.e.naab-e-sukhan !
bay.jaa naheeN meraa taRapnaa khushk ho daryaa agar
kuCh bhi naheeN hooN meN ba.juz ik maahiy-e-aab-e-sukhan
itnee zyaadah she'r.go.ee bhee ai dil aChChee naheeN !
aisaa nah ho ham ko bahaa lay jaa.ay Sailaab-e-sukhan
us se Ghubaar-e-"Meer" kee maanind meN baiThaa hooN door
ummeed hay aa.eN gay aatay aatay aadaab-e-sukhan
manzil raKho paish-e-nazar ,yaaro raho meHw-e-safar !
hay woh kawee naakaam jo ho jaa.ay Gharqaab-e-sukhan
hay shaa.i'r-e-mashriq kaa faiZ ,ash.'aar-e-man purnoor heN
gar aaftaab Iqbaal hay to :shaah: mahtaab-e-sukhan
Ghazal ke saare ashAar bahut khoob heiN, waah waah. Is maahiraanah takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: Bahut khoob, waah waah
MuHtaram JanaabWEBMASTER wrote:

Abdullah Nazir SaaHib
assalamOa'laikuM
Hasb-e-ma'mool aap ke is naama-e-muHabbat peh aap kaa dilee mamnoon hooN aur saath saath yeh bhi a'rZ karnaa chaahooN gaa keh apnee is Haqeer takhleeq ko meN maahiraanah taSawwur naheeN kartaa,, aur aap jaise shafeeq ashjaar ke saayoN kaa mutalaashee hooN -
khush rahye
du'aago
yasir
- yasir shah
- -
- Posts: 191
- Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
- Location: karachi
- Contact:
Re: miltee naheeN daad-e-sukhan, raKhtay heN par taab-e-sukh
behen Sara !sara_j wrote:bohat khoob ghazal sabhi ashaar bohat pasandyasir shah wrote:shurakaa-e-meHfil ki khidmat meN meraa salaam!
apnee aik taazah Ghazal ke saath HaaZir hooN -aap kemufeed aur kaar.aamad tabSiroN kaa intizaar rahay gaa--pasandeedgee ke saath saath naa.pasandeedgee kaa izhaar bhi khul kar keejiye gaa taakeh meN kisee khush.fehmee meN mubtilaa nah ho sakooN -
khush rahye
du'aago
yasir
bhai asal daad tou ustad-e-mohtaram se mil gayi ab tou aap khush fehmee hi nahi balke bohat ziyada khush hougaye hounge
bilkul !!
ab boliye miThai kahan hei is khoobsurat aur kamyaab takhleeq per
miThai kahaaN hay ??? Halwaai ke paas
Ghazal
kam hee sahee meHfil meN heN aise bhi arbaab-e-sukhan
miltee naheeN daad-e-sukhan, raKhtay heN par taab-e-sukhan
kya teer maare hain aap is shair se........wah wah!
bahut shukriyah
ghar se chalay thay paar karnay aatishee daryaa-e-i'shq
kyaa thee khabar le Doobay gaa ham ko bhi gardaab-e-sukhan
haaha! bohat khoob!
mamnoon
meHroom hay shaa.i'r bahut ,mazloom hay shaa.i'r bahut
ik zeest kaa dar band ho to waa ho ik baab-e-sukhan
wah wah! yasir bhai bohat khoob!
bahut shukriyah
deKho zaraa is mai.kaday ke khoobroo jaam-o-suboo
paidaa karo saaqee kaheeN se Phir ma.e.naab-e-sukhan !
daad!
qubool
bay.jaa naheeN meraa taRapnaa khushk ho daryaa agar
kuCh bhi naheeN hooN meN ba.juz ik maahiy-e-aab-e-sukhan
wah!
shaakir
itnee zyaadah she'r.go.ee bhee ai dil aChChee naheeN !
aisaa nah ho ham ko bahaa lay jaa.ay Sailaab-e-sukhan
bohat khoob janaab!
bahut shukriyah
us se Ghubaar-e-"Meer" kee maanind meN baiThaa hooN door
ummeed hay aa.eN gay aatay aatay aadaab-e-sukhan
very nice! ( angrezi ke liye mazzirat )
bahut shukriyah meree taraf se bhi ma'zrat
manzil raKho paish-e-nazar ,yaaro raho meHw-e-safar !
hay woh kawee naakaam jo ho jaa.ay Gharqaab-e-sukhan
hay shaa.i'r-e-mashriq kaa faiZ ,ash.'aar-e-man purnoor heN
gar aaftaab Iqbaal hay to :shaah: mahtaab-e-sukhan
wah wah kya kehne! bohat khoob maqta hei daad qubool keejiye.
aap kaa intihaai mutashkkir hooN
aaye aur paRhte hue bohat ziyada lutfandoz hui
aur aisa laga jaise main paRh nahi balke sun rahi
hoon. daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
aap ki i'zzat.afzaaee kaa be.Had mamnoon hooN ,,aur daad paa kar meN Phoolay naheeN samaa rahaa-
khush rahye
du'aago
yasir