salaamhazreen e mehfil
aadab o tasleemaat
muhararam ul haraam ka mahina rawan he isi hawale se ek salaam pesh kar raha hoon aur aap ki aara ka muntazir rahoonga
Husaini
salaam
bhej kar Khat shah e waala ko bulata he yazeed
shah aate heN to toofaan uThaata he yazeed
jin ke sadqe meN he sairaab KHuda ki maKHlooq
un ke KHaime lab e darya se haTata he yazeed
maslehat he jo Ali aate nahiN behr e madad
aur tu unki hee duKHtar ko rulata he yazeed
apni taqdeer ki zulumat ko baRhane ke liye
paikar e noor ko zanjeer pehnata he yazeed
piyaar barsati theeN Shabbir ki aaN kheN jis per
surKH aaNkhoN se use aaj Darata he yazeed
dour e haazir ke yazeedoN se husaini hushyaar
in ke paikar meN naye fitne uThata he yazeed
salaam bhej ka khat shah e waala ko bulata he yazeed
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- khozema husaini
- -
- Posts: 150
- Joined: Thu Dec 30, 2004 1:37 pm
- Contact:
salaam bhej ka khat shah e waala ko bulata he yazeed
- Attachments
-
- 23 bhej kar khat shah e wala ko bulata hay yazeed.gif (15.01 KiB) Viewed 139 times
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini
jin ke sadqe meN he sairaab KHuda ki maKHlooq
un ke KHaime lab e darya se haTata he yazeed
kis qadr sach hai.... kese bad baKht-o-roo siyaah hongay jinhoN nay aal-e-Rasool s.a.w ke saath darindoN jesa sulook kiya..... riwaayat maiN hai ke yazidi lashkar ke kuch loag kehtay thay....jaldi Hussain ko qatl karo phir juma paRhnay bhi jana hai..... baRi ajeeb baat mehsoos hoti hai.... jis naa hanjaar zabaan say qatl-e-Hussain ki sada buland hui ....phir us zabaan say doraan-e-namaaz ALLAHUMA SALLE ALAA MUHAMMADIN ke baad WA ALAA AALE MUHAMMADIN kiuNkar adaa hua hoga....... aray kese siyaah kaar thay kese shaqqi-ul-qalb thay jinhoN nay ye na socha ke jis jannat ke waastay namaaz paRhtay ho ....us jannat ka sardaar hai ye shehzaada jisay tum qatl kartay ho....LAANAT HAI UN SHAITAN NUMA INSAANON PER.......
ye mauzoo nihaayat hi hassaas hai .....ke jazbaat qaboo maiN nahiN rehtay ......Allah aap ko is ki jazaa day....
Ameen
Nigaah

shukriyah
mohtarma nigaah sahibanigaah wrote:jin ke sadqe meN he sairaab KHuda ki maKHlooq
un ke KHaime lab e darya se haTata he yazeed
kis qadr sach hai.... kese bad baKht-o-roo siyaah hongay jinhoN nay aal-e-Rasool s.a.w ke saath darindoN jesa sulook kiya..... riwaayat maiN hai ke yazidi lashkar ke kuch loag kehtay thay....jaldi Hussain ko qatl karo phir juma paRhnay bhi jana hai..... baRi ajeeb baat mehsoos hoti hai.... jis naa hanjaar zabaan say qatl-e-Hussain ki sada buland hui ....phir us zabaan say doraan-e-namaaz ALLAHUMA SALLE ALAA MUHAMMADIN ke baad WA ALAA AALE MUHAMMADIN kiuNkar adaa hua hoga....... aray kese siyaah kaar thay kese shaqqi-ul-qalb thay jinhoN nay ye na socha ke jis jannat ke waastay namaaz paRhtay ho ....us jannat ka sardaar hai ye shehzaada jisay tum qatl kartay ho....LAANAT HAI UN SHAITAN NUMA INSAANON PER.......
ye mauzoo nihaayat hi hassaas hai .....ke jazbaat qaboo maiN nahiN rehtay ......Allah aap ko is ki jazaa day....
Ameen
Nigaah
aadaab
salaam ki pazeeraaee aur nek duAaon ke liye aap ka mamnoon hoon
aap ne jis tafseel se is sanahe per roshni daali he us su maloomaat men bhi kuchh izafa huaa
aik martaba phir aap ka buhat buhat sukriyah
Husaini
hum husaini duAa ki deN soGHaat
laakh chahay bura karay koee
husaini
laakh chahay bura karay koee
husaini