"aaraam hi aaraam hai"taza tarhi kalaam aap kay ha

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"aaraam hi aaraam hai"taza tarhi kalaam aap kay ha

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

taza tarhi kalaam hum aapkay hawaalay kar rahey hai.n.

gar qubool uftad zahe...........

arz kiya hai


har shareef insaa.n peh yeh ilzaam hai
nekiyo.n ko kyu.n woh karta 'aam hai

maalike kaunain ka paighaam hai
mushkilo.n kay b'aad hi aaraam hai

jhoot ka hai bolbaala dahr mei.n
sach jo kehta hai wohi badnaam hai

aarizi hotee.n hai.n khushiyaa.n jhoot ki
aakhirash iska bura anjaam hai

daar-e faani hai yeh duniya isliye
aakhirat ki chaa'h subh-o shaam hai

momin-e kaamil kahaega hashr mei.n
"ab yahaa.n aaraam hi aaraam hai"

nekiyaa.n haamid mitaatey hai.n gunaah
bas 'amal karna tumhaara kaam hai

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Salam Mohtaram Haamid sahab..remember me?

wah haamid jee mashaAllah bahut accha kalam hai hasb-e-maamool...aur sunaayein kaise hain aap?bahut dinon baad sab se humkalaam hote hue bahut khushi mehsoos ho rahi hai...chalte chalte daad haazir hai qubool farmaayein..shukriya :)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"shukriya

Post by haamidbaaqri »

Shummu wrote:Salam Mohtaram Haamid sahab..remember me?

wah haamid jee mashaAllah bahut accha kalam hai hasb-e-maamool...aur sunaayein kaise hain aap?bahut dinon baad sab se humkalaam hote hue bahut khushi mehsoos ho rahi hai...chalte chalte daad haazir hai qubool farmaayein..shukriya :)
wa alaikumussalaam
mohtaramah shumaaila saahebah

ama kahaa.n thee.n aap?

hum yeh sauch rahay they keh aap jaisee baazauq shakhsiyat yu.n achanak kaha.n gum ho gayee.n

khair bahut dino.n b'aad aayee hai.n aap kaisay mizaaj hai.n aapkay?

aapkay waalidain aur deegar aqruba kaisay hai.n.?

hamaara salaam deejiye unhe.n accha.......

aur haa.n purkhuloos daad keliye hum shukriya ada karte hai.n.

sada khush rahe.n

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

khush rehiN moHteram

Jazakomullaho Khairah
live and let live

Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

tahira Masood wrote:khush rehiN moHteram

Jazakomullaho Khairah
salaamun alaikum
mohtaramah tahira masood saahebah

aap bhi khush rahe.n.

allah(sbhnwt)aapki zindagi ko khushiyo.n say bhar de.aameen

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Post Reply