Ghazal:kahaaN tak kisi par sitam dhhaaiyegaa
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
Ghazal:kahaaN tak kisi par sitam dhhaaiyegaa
'kahaaN tak kisi par sitam dhhaaiyegaa',
sitam dhaaieyega tau pachtaaieyegaa..
na dil apna yuuN aap taRpaaiyegaa,
Khataa gar ho ham se tau samajhaaiyegaa..
agar muskuraane se naa ban sake baat,
tau aShkoN se daaman bhigo laaiyegaa..
haiN dar par tumhaare sadaa dast_basta,
jo ho hukm sarkaar farmaaiyegaa..
Khilona jo samjhaa, bane ham Khilona,
KhilonoN se kya dil ko behlaaiyega..
bagaawat, adaavat, jafaa aur zulmat,
muHabbat meiN kya raNg diKhlaaiyega..
bhulaane kee koShiSh kareiN ess tarah kee,
jo bhoole haiN ham ab, na yaad aaiyegaa..
muHabbat hai dil meiN Shikaayat zabaaN par,
kareN kya ab izhaar farmaaiyegaa..
judaa ho ke naa jee sakegaa yeh 'Ghaafil',
agar jaaieyegaa tau laut aaiyegaa..
Khair-aNdesh
Manish Bansal 'Ghaafil'(Mayank)
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Bahut khoob, waah waah
MuHtarami
Manish Bansal 'Ghaafil'(Mayank) SaHib,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MaqTeA ke pahle miSreA ko agar yooN kardeN tou behtar houjaayegaa kiyunkeh sirf "sakegaa" se baat vaaZeH nahiN hourahi hei.
Judaa houke ;GHAFIL; nahiN rehsakegaa
yaa
judaa houke ;GHAFIL: nahiN jee sakegaa
Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]
Daanish saahab,Daanish wrote:Maneesh 'Ghaafil' saheb
Jigar ki zameen meiN kahi gayi aap ki Ghazal ek bohat hi kaamyaab koshish hai. rawaaN aur salees.
meri jaanib se daad Haazir hai. qubool farmaaiye.
basad Khuloos
Daanish
Pranaam,
Aap ko meri yeH koShish pasand aaii, jaan kar behad achchha laga.. YuuN hee aage bhee apni raa'ey se zaroor nawaazeN..A aap kee daad hamaare liye beSh qeematii hai..
Aap ka
Manish
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
Re: Bahut khoob, waah waah
WEBMASTER wrote:
MuHtarami
Manish Bansal 'Ghaafil'(Mayank) SaHib,
Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
MaqTeA ke pahle miSreA ko agar yooN kardeN tou behtar houjaayegaa kiyunkeh sirf "sakegaa" se baat vaaZeH nahiN hourahi hei.
Judaa houke ;GHAFIL; nahiN rehsakegaa
yaa
judaa houke ;GHAFIL: nahiN jee sakegaa
Aapka MukhliS,
Nazir.[/i]
ustaad-e-mohtaram naazir saaheb,
Aadaab,
Ghazal ki pasaNdeedagi ke liye maiN aap ka mamnoon hooN! huzoor, chuuN ke aap aek ustaad shaa'ir haiN, is liye aap ki daad-o-taihseen Khaaksaar ke liye be-had hausila-afzaa hai. aap ki navaazish ke liye aap ka bohat bohat Shukriya...
Aap ne jo maqte ko duurust kar ke maqte kee raunak baRha dii hai.,. GuzaariSh hai kee aage bhee yuuN hee rehnumaa'i karte raheN.. ek aur Ghazal aap kee rehnumaai ke muntazir paRi huii hai.. agar aap uss par apni raa'ey deN tau Ghazal mukammal ho jaayegii..
aap ka,
Manish
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
- Ehsan Raza
- -
- Posts: 46
- Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
- Location: Makkah, Saudi-Arabia
- Contact:
Mahtab saahab,Mahtab Qadr wrote:Janab Aadaab
kia kahne ,wah wah bahut khoob
Mahtab Qadr
aadaab
Sab se pahle aap ne meri is haqeer koShish ko pasand kiya aur waqt nikaal kar hausal afzaayi ki yeH jaan kar bohat KhuShi huii.. ess liye sar-aa-paa mamnoon huuN... aap ki daad-o-mubaarak baad mere liye be-had hausala-afzaa'ii hai.
tah-e-dil se Shukriya..
Mayank
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
Ehsan Raza wrote:
Ehsaan saahab,
Aadaab,
Aap Khud ek kuhna-mashq Shaayar haiN, ess liye aap ki daad-o-mubaarak baad mere liye be-had hausala-afzaa'ii hai. aap ko yeH andaaz pasand aaya jaan kar behad KhuShi huii... aap ki navaaziSh ke liye aap ka bohat bohat Shukriya. yuuN hii aate raheN..
-Mayank
hoti Shiddat teri vafaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
maaNg lete tujhe duaaooN meiN
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: Ghazal:kahaaN tak kisi par sitam dhhaaiyegaa
Aadaab, Mayank SaaHib!
Aap ko is bazm meiN dekh kar Khushi hui. Aap ki ghazal ka lehja bohot dilchasp laga. Sabhi ashaar paRh kar lutf aaya, daad qubool kijiye.
Aap ko is bazm meiN dekh kar Khushi hui. Aap ki ghazal ka lehja bohot dilchasp laga. Sabhi ashaar paRh kar lutf aaya, daad qubool kijiye.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com