**one emoticon..one sher**(naya silsila)

Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

**one emoticon..one sher**(naya silsila)

Post by Shummu »

Salam ahl-e-bazm..ek naye silsile ka aaGhaaz kar rahi hoon is ummeed ke saath ek aap sab is meiN baRhchaRh ke hissa lenge aur ise kaamyaab banaane meiN hamari madad karenge :-) Is mein karna ye hai ki ek member koi emoticon dega(yahan se ya bahar se le sakta hai) aur uspe next member ko sher likhna hai aur phir ek naya emoticon post karna hai jis pe next member likhega sher... :grin:

for example:

:rose

ab is pe aap main ye sher kahungi..


naazuki uske lab ki kyaa kahiye
panKhaRi ik gulaab ki si hai


theek??

ab main deti hon next icon:

[-X

aap sab ke participation ka intizaar rahega!!!

shumaila
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

Shumailaa SaHebaa
bohat hi dilchasp silsilay ka aaGhaaz kiya aap ne...lijiye aap ke peshkardah emoticon par shayr Haazir hai...


"mujhe deN na Ghaiz meiN dhhamkiyaaN, gireN laakh baar yeh bijliyaaN
miri sultanat yahi aashiyaaN, miri milkiyat yahi chaar par"
-Jigar Moradabadi
[/b]
rau meiN hai raksh-e-umr kahaN dekhiye thhame
nay haath baag par hai na paa hai rikaab meiN--Ghalib
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

shukriya daanish jee... ab lage haathon ek emoticon bhi de dete taakh hum bhi sher sunaate hue silsile ko aage barhaate... :)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

lijiye
:grin:
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

laakh hoNton pe muskuraahaT ki kiran raqsaaN ho
dukh to phir dukh hai chehre se numaayaaN hoga


next:

:oops:
Daanish
-
-
Posts: 448
Joined: Sun Feb 05, 2006 2:02 pm
Location: jahaan-e-kharaab
Contact:

Post by Daanish »

:oops: laalah-o-gul pe jo hai qaTra-e-shabnam ki bahaar
rukh-e-rangeeN peh jo aaye tou Hayaa ho jaaye
Asghar GonDawi

agla 'emoticon':
:x
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Daanish wrote:
agla 'emoticon':

:x
dil bhi paagal hai ke us shakhs se vaabasta hai
kisi aur ka hone de na apnaa rakhe


next:

:evil:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Post by Abdullah Nazir »



8)


barq o sharar ko maSliHat-e-waqt se thaa kaam

maiN apne aashiyaaN ko sajaane meiN reh gayaa.

:P

Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Tue Nov 07, 2006 6:31 am, edited 1 time in total.
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

WEBMASTER wrote: :P
unke dekhe se jo aa jaatii hai muNh par raunaq
vo samajhte haiN k beemaar kaa Haal achchhaa hai


:idea:
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Post by Abdullah Nazir »



hammer


is pas o pesh meiN kyaa umr guzar jaayegi

kabhi saaHil kee tamanna kabhi ToofaaN kaa khayaalk.


Shaayer: Abdullah Nazir.
:P



Nazir.

Image
User avatar
Nadir Sir'giroh
nau-waarid
Posts: 19
Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
Location: Bambai Meri JaaN.............
Contact:

Post by Nadir Sir'giroh »

WoH aaye bazm meiN itna to Meer ne dekha
phir uske baad chiraaghoN
:idea: :idea: meiN raushni na rahi

:idea: ......Ye modern chiraagh hai........jiss ke taley aNdheraa nahi hota.............................................AN'DHER..hota hai.
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/

Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.

Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

shareek-e-bazm dil bhii haiN, chiraagh bhi haiN, phool bhii
magar jo jaan-e-anjuman tha woh kahaN chalaa gaya


next icon:


:evil:

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Nadir Sir'giroh
nau-waarid
Posts: 19
Joined: Sun Apr 16, 2006 9:18 am
Location: Bambai Meri JaaN.............
Contact:

Post by Nadir Sir'giroh »


Har ek baat ka uss ko hisaab kya detey
sawaal
:?: saarey ghalat thhey jawaab kya detey
jo ek lafz kee khushboo na rakh saka meh'fooz
humm uss ke haathh meiN sara nisaab kya detey
Nadir Khan Sir'giroh
http://forum.urdugulban.com/phpBB/

Hairat se yooN na dekhiye, zarraH huwaa toA kya huwaa.

Apni jagaH pe jaaneman, zarraH bhi aaftaab hai.
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Post by Abdullah Nazir »



:evil:


isi ummeed peh qaayim hei yeh dunyaa Nazir

wo idhar dekhne waale heiN idhar dekhenge.

:twisted:

Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

Last edited by Abdullah Nazir on Tue Dec 26, 2006 2:22 am, edited 1 time in total.
Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

sara_j wrote::?
na jaane kiuN hamaare dil ko tum ne dil nahiiN samjhaa
yeh sheesha toR Daalaa, pyaar ke qaabil nahiiN samjhaa


next: [-(
Image
Post Reply