MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,
PurkhulooS Taslemaat, :rose
Guzarish 23 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.
GHAZAL roman meiN:
Dasht-e-bekhabar se kyaa aas pursish-e-jaaN kee
dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee
gaah saAy-e-manzil kee, gaah fikr-e-darmaaN kee
khaak chaante guzri, umr bhar, bayaabaN kee
sust-gaam saaAat meiN souz-e-shaam-e-hijraaN kee
lau lagaaye rehtaa hooN, noor-e-maah-e-taabaaN kee
chaarah saaziy-e-weHshat kyaa hou mujh se insaaN kee
jaaN-balab houaa hei jou yaad meiN gulistaaN kee
sail-e-ashk jaari hei, dhun meiN uske paimaaN kee
jaise faSl aayi hou dil meiN baad o baaraaN kee
uljhanaoN se dunyaa kee, kyaa najaat paayegi
meri jaaN rifaaqat meiN, gaiso-e-pareshaaN kee
daagh-e-Hasrat-e-hasti be-qaraar rakhtaa hei
yeh saraay-e-Aalam hei yaa keh shakl zindaaN kee
chashm-e-ilm-e-HaaZir ne raaz kardiye afshaa
kaise pardah poushi hou, jism o rooH-e-insaaN kee
usko dil nah maane tou, kaun maan saktaa hei
jou nah dastaras meiN hou, jast-e-chashm-e-HairaaN kee
maangiye khudaa se hee, karb meiN madad Nazir.
KhiZr laa-patah heiN aur, naao zad meiN ToofaaN kee
=======
Aapka Mukhli
Nazir.
