guzarish 23 per meri TaraHi Ghazal - -- - Abdullah Nazir

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

guzarish 23 per meri TaraHi Ghazal - -- - Abdullah Nazir

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Taslemaat, :rose

Guzarish 23 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

Dasht-e-bekhabar se kyaa aas pursish-e-jaaN kee
dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee

gaah saAy-e-manzil kee, gaah fikr-e-darmaaN kee
khaak chaante guzri, umr bhar, bayaabaN kee

sust-gaam saaAat meiN souz-e-shaam-e-hijraaN kee
lau lagaaye rehtaa hooN, noor-e-maah-e-taabaaN kee

chaarah saaziy-e-weHshat kyaa hou mujh se insaaN kee
jaaN-balab houaa hei jou yaad meiN gulistaaN kee

sail-e-ashk jaari hei, dhun meiN uske paimaaN kee
jaise faSl aayi hou dil meiN baad o baaraaN kee

uljhanaoN se dunyaa kee, kyaa najaat paayegi
meri jaaN rifaaqat meiN, gaiso-e-pareshaaN kee

daagh-e-Hasrat-e-hasti be-qaraar rakhtaa hei
yeh saraay-e-Aalam hei yaa keh shakl zindaaN kee

chashm-e-ilm-e-HaaZir ne raaz kardiye afshaa
kaise pardah poushi hou, jism o rooH-e-insaaN kee

usko dil nah maane tou, kaun maan saktaa hei
jou nah dastaras meiN hou, jast-e-chashm-e-HairaaN kee

maangiye khudaa se hee, karb meiN madad Nazir.
KhiZr laa-patah heiN aur, naao zad meiN ToofaaN kee
=======


Aapka Mukhli
Nazir.


Image
Attachments
a_na_23_ub_f2.JPG
a_na_23_ub_f2.JPG (177.11 KiB) Viewed 492 times
Image
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: guzarish 23 per meri TaraHi Ghazal - -- - Abdullah Nazi

Post by haamidbaaqri »

WEBMASTER wrote:
MuHtaramaat o MuHtarameen
Arbaab-e-MeHfil aur aHbaab-e-sukhan,

PurkhulooS Taslemaat, :rose

Guzarish 23 ke TaraHi miSreA per apni ghazal pesh karne kee saAadat HaaSil karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se navaazkar mujhe shukriyah adaa karne kaa mauqaA denge.

GHAZAL roman meiN:

Dasht-e-bekhabar se kyaa aas pursish-e-jaaN kee
dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee

gaah saAy-e-manzil kee, gaah fikr-e-darmaaN kee
khaak chaante guzri, umr bhar, bayaabaN kee

sust-gaam saaAat meiN souz-e-shaam-e-hijraaN kee
lau lagaaye rehtaa hooN, noor-e-maah-e-taabaaN kee

chaarah saaziy-e-weHshat kyaa hou mujh se insaaN kee
jaaN-balab houaa hei jou yaad meiN gulistaaN kee

sail-e-ashk jaari hei, dhun meiN uske paimaaN kee
jaise faSl aayi hou dil meiN baad o baaraaN kee

uljhanaoN se dunyaa kee, kyaa najaat paayegi
meri jaaN rifaaqat meiN, gaiso-e-pareshaaN kee

daagh-e-Hasrat-e-hasti be-qaraar rakhtaa hei
yeh saraay-e-Aalam hei yaa keh shakl zindaaN kee

chashm-e-ilm-e-HaaZir ne raaz kardiye afshaa
kaise pardah poushi hou, jism o rooH-e-insaaN kee

usko dil nah maane tou, kaun maan saktaa hei
jou nah dastaras meiN hou, jast-e-chashm-e-HairaaN kee

maangiye khudaa se hee, karb meiN madad Nazir.
KhiZr laa-patah heiN aur, naao zad meiN ToofaaN kee
=======


Aapka Mukhli
Nazir.


Image
mohtaram abdullah nazir saahib
salaamun alaikum

aapka diya hua micra bhi bahut acha hai aur aapki kahi huee ghazal bhi bahut 'umdah hai.

khaaskar keh hame.n maqta bahut pasand aaya.

is khoobsoorat ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaaye.n.

mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
zmufti
-
-
Posts: 594
Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
Location: lahore
Contact:

Post by zmufti »

maangiye khudaa se hee, karb meiN madad Nazir.
KhiZr laa-patah heiN aur, naao zad meiN ToofaaN ki
mohtaram Nazir saheb
Tasleemaat
mushairey meN aap ki ghazal buhat pasand aayyii
meri janib se daad qabool kijye
wasalaam
zmufti
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Janab Abdula Nazir SaHeb aadaab!

aek meHfil meN raees-ul-mutaGazzaleen jigar Murad aabadee ne kaha th~a keh "koee bh~ee maZ^moon neya neheeN hota" aor saath~ hee farmaYa keh "agar mujh~e koee she'er sunaeY to maiN usee maZ^moon ka she'er pesh kar sakta hooN"

aap kee Yeh Ghazal dekh~ kar to unkee baat be buniYad see lagtee hai. keh aap ke is Ghazal meN to jo baat Herat angeez hai woh Yahee keh is meN qareeb qareeb sabh~ee asha'aar naeY maZ^moon ko liYe huwe haiN.

aaj ke daor meN jahaaN qeHat^-ur-rijaal ka sa mua'aamlah hai aesee GhazleeN kehna fit^ree quwat-e-she'er gaoee ka muttaqaZ^ee hai.

aap kee Ghazal nah Sirf ganjinah-e-Harf-o-Saot hai balkeh bandish-o-ilfaaz^ ka aek beHer-e-bekaraaN bh~ee hai.

aap ka kalam dard-e-nihanee ka tarjumaan to hai hee saath~ hee saath~ zamanah kee kajrawee aor be marawatee ka aae,nah daar bh~ee hai.




Dasht-e-bekhabar se kyaa aas pursish-e-jaaN kee
dhajjiyaaN uRaadi heiN apne hee girebaaN kee

kiYa kehnnnnnnnnnnne!! waah waah waah! bohot khoob!

gaah saAy-e-manzil kee, gaah fikr-e-darmaaN kee
khaak chaante guzri, umr bhar, bayaabaN kee

bohot khoob! waah waah!

sust-gaam saaAat meiN souz-e-shaam-e-hijraaN kee
lau lagaaye rehtaa hooN, noor-e-maah-e-taabaaN kee

kiYa kehnnnnnnnnnne! waah!

chaarah saaziy-e-weHshat kyaa hou mujh se insaaN kee
jaaN-balab houaa hei jou yaad meiN gulistaaN kee

bohot khoob! waah!

sail-e-ashk jaari hei, dhun meiN uske paimaaN kee
jaise faSl aayi hou dil meiN baad o baaraaN kee

bohot khoob!

uljhanaoN se dunyaa kee, kyaa najaat paayegi
meri jaaN rifaaqat meiN, gaiso-e-pareshaaN kee

kiYa kehnnnnne!! waah waah! kiYa achch~a hai!

daagh-e-Hasrat-e-hasti be-qaraar rakhtaa hei
yeh saraay-e-Aalam hei yaa keh shakl zindaaN kee

kiYYYYYYYYa kehne!! waah waah waah!! inteha hai waah waah!

chashm-e-ilm-e-HaaZir ne raaz kardiye afshaa
kaise pardah poushi hou, jism o rooH-e-insaaN kee

bohot khoob waah waah!!

usko dil nah maane tou, kaun maan saktaa hei
jou nah dastaras meiN hou, jast-e-chashm-e-HairaaN kee

kiYYYYYYYYYYa kehne!! waah waah!!

maangiye khudaa se hee, karb meiN madad Nazir.
KhiZr laa-patah heiN aur, naao zad meiN ToofaaN kee

kiYYYYYYYYYa kehne!! waah waah Had kar dee hai aap ne!! waah waah!

meri janib se is dilkash aor pursoz Ghazal par dilee mubarak baad aor taliaN qubool kijiYe! =D>

Wassalam
khadim

muz^affar[/b]
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shukriyah qubool farmaayiye

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Haamid Baaqri SaaHib,

W Alaikum ussalaam wa r. wa b.tuhu,

Yeh aapki zarrah navaazi hei ke aapko meraa diyaa houaa TaraHi miSraA bhee pasand aayaa aur meri ghazal bhee.

Aap jaise aHbaab-e-sukhan kee HauSalah afzaayi hee tou hei jiski vajh se meri mashq-e-sukhan jaari hei. Is giraNqadr pazeerayi ke liye maiN aapka tah-e-dil se shukrguzaar hooN. Allah aapko salaamat rakhkhe.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Saara SaaHibah,
- -- -

PurkhulooS Tasleemaat, :lol:

Aap ne meri TaraHi ghazal kee pazeerayi bahut hee muhtaSar Taur per lekin dilkash andaz-e-bayaan se kee hei. Ummeed ke aayindah bhee isi TaraH se meri HauSalah afzaayi farmaati rehengi.


Aapka MukhliS,
Nazir.

Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut bahut shukriyah

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
zmufti SaaHibah,

PurkhulooS Tasleemaat,

Guzarish 23 ke miSreA per meri TaraHi ghazal aapko bhalee lagi aur aap uski pazeerayi kee, jisked liye maiN aapkaa beHad shukrguzaar hooN.

Ummeed ke aayindah bhee aap isi TaraH se meri HauSalah-afzaayi farmaati rahengi. Shukriyah.


Khairandsh,
Nazir.

Image
Post Reply