Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
yeh souch ke maiN aapkke qadmaoN meiN paRaa thaa
mil jaayegi qismat se jagh mujh ko bhee dil meiN.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "noon" )
Nazir.
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
na tan meiN Khuun faraaham na ashk aaNkhoN meiN,
namaaz-e-shauq to vaajib hai be-vazuu hii sahii!!!!!!
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
kabir
- nau-waarid
- Posts: 2
- Joined: Mon Feb 06, 2006 1:18 pm
Post
by kabir »
hum itni be niazi se bhi duniya me nahi rehte
humen kis ne kis tarah se pukara yaad rehta he
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
yuN giaaN uski mizha per hei ik ashk-e-gham bahut
barg-e-gul per jaise baar-e-qaTra-e-shabnam bahut.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "te" )
Nazir.
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
yooN hee baaqi jo rahaa mere junooN kaa Aalam
dil ke TukRe bhee bahar taar-e-girebaaN houNge.
Shaayer: Abdullah Nazir.
( "ye" )
Nazir.
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
naamah hei aur nah koii khabar der kiyuN houee
mujhko hei iAtibaar magar der kiyuN houee.
Shaayer: Abdullah Nazir
"ye"
Nazir.
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
yeh kyaa jageh hai dostoN, yeh kaun saa dayaar hai?
hadd-e-nigaah tak jahaaN, Ghubaar hii Ghubaar hai!!
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
praise
- nau-waarid
- Posts: 23
- Joined: Sat Nov 18, 2006 11:04 am
Post
by praise »
ye mere Khvaabo.n kii duniyaa nahii.n, sahii lekin
ab aa gayaa huu.N to do din kayaam karataa chaluu.N
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
naraaz ho Khudaa to kareN baNdagii se Khush,
maashuq ruuTh jaaye to kyoN kar manaayeN ham?!
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
nafas nafas meiN ravaaN meraa naam thaa Nazir
miTaane waale kisi TarH se miTaa nah sake.
Shaayer: Abdullah Nazir.
"ye"
Nazir.
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
yuuN mire khat kaa javaab aayaa
lifaafe meiN ik gulaaaaaaab aayaa
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
yahii armaan le kar aaj apne ghar se ham nikale!
jahaaN ho ziNdagi apnii usii kooChe meiN dam nikale!!
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
be MuHaabaa daAwat-e-nazzarah karli hei qubool
kyaa khabar hamko bhalaa kyaa kuch tumhaare dil meiN hei?.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir.
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
aaj-kal kee muheeb duniyaa meiN,
jee rahaa hooN kamaal kartaa hooN!
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
"rodiye dekh ke us pardah-nisheeN ko :Akhtar:
apni aankhaoN se kahi dil ki kahaani ham ne".
Shayer: Akhtar Sheerani.
"ye"
Nazir.