
dosto
mehfilay musaalaema kayliye hamaari adna kaavish peshay khidmat hai
gar qubool uftad zahay ............
arz kiya hai.....
aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say
karbobala yeh kehti hai har sougwaar say
jangay sagheer ho keh woh jangay kabeer ho
shah(as) kaamiyaab haugaye har a'itebaar say
zillat ki zindagi say hai humkau 'azeez mout
seekha yahi hai humnay shahay(as) naamdaar say
naamay hussain(as)zindaye jawaid hogaya
ruswa yazeed haugaya l'aanat ke haar say
kal ka yazeed ho keh' woh ho aaj ka yazeed
bach paayega nah koyee bhi qudrat ki maar say
haamid haraam maal say unkay shikam thay pur
"aahoo nah munh nikaaltay thay sabzahzaar say"
jangay sagheer=jihaad e asghar(khuda ki raah mei.n apni jaan dena maidaanay jung mei.n.)
jangay kabeer= jihaad e akbar(apnay sarkash nafs(nafsay ammaara) say musalsal ladna)
maqtay mei.n "unkay" say muraad lashkaray yazeed hai.
nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah