mehfilay musaalema kayliye hamaari adna kaavish

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

mehfilay musaalema kayliye hamaari adna kaavish

Post by haamidbaaqri »

:salaam2:
dosto

mehfilay musaalaema kayliye hamaari adna kaavish peshay khidmat hai

gar qubool uftad zahay ............

arz kiya hai.....

aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say
karbobala yeh kehti hai har sougwaar say

jangay sagheer ho keh woh jangay kabeer ho
shah(as) kaamiyaab haugaye har a'itebaar say

zillat ki zindagi say hai humkau 'azeez mout
seekha yahi hai humnay shahay(as) naamdaar say

naamay hussain(as)zindaye jawaid hogaya
ruswa yazeed haugaya l'aanat ke haar say

kal ka yazeed ho keh' woh ho aaj ka yazeed
bach paayega nah koyee bhi qudrat ki maar say

haamid haraam maal say unkay shikam thay pur
"aahoo nah munh nikaaltay thay sabzahzaar say"

jangay sagheer=jihaad e asghar(khuda ki raah mei.n apni jaan dena maidaanay jung mei.n.)

jangay kabeer= jihaad e akbar(apnay sarkash nafs(nafsay ammaara) say musalsal ladna)

maqtay mei.n "unkay" say muraad lashkaray yazeed hai.

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: mehfilay musaalema kayliye hamaari adna kaavish

Post by jawaid badauni »

haamidbaaqri wrote::salaam2:

Haamid SaaHab,

Bohat achchey salam se nawazah hai aap ne. Jazak Allah.

Aapne apne kalam ko adna kaha hai jis per mujhe saKht e'traz hai. MadH.e Imam kabhee idna ho hi nahiN saktee. MaiN apna ek purana Qita pesh kar raha hooN jis se meri baat aur bhi wazeh ho jayegee:

Yeh mere sher jo main ne kahe haiN madH.e Maula meN

Main bhooley se bhee in sheroN ko adna' kah nahiN sakta

Taqzey bartaraf :Jawaid: meri inkesaaree ke

Jo mehNgee cheez ho oosko maiN sasta kah nahiN sakta

Khoosh RaheN!

MuKhliS
Jawaid
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

Re: mehfilay musaalema kayliye hamaari adna kaavish

Post by haamidbaaqri »

jawaid badauni wrote:
haamidbaaqri wrote::salaam2:
dosto

mehfilay musaalaema kayliye hamaari adna kaavish peshay khidmat hai

gar qubool uftad zahay ............

arz kiya hai.....

aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say
karbobala yeh kehti hai har sougwaar say

jangay sagheer ho keh woh jangay kabeer ho
shah(as) kaamiyaab haugaye har a'itebaar say

zillat ki zindagi say hai humkau 'azeez mout
seekha yahi hai humnay shahay(as) naamdaar say

naamay hussain(as)zindaye jawaid hogaya
ruswa yazeed haugaya l'aanat ke haar say

kal ka yazeed ho keh' woh ho aaj ka yazeed
bach paayega nah koyee bhi qudrat ki maar say

haamid haraam maal say unkay shikam thay pur
"aahoo nah munh nikaaltay thay sabzahzaar say"

jangay sagheer=jihaad e asghar(khuda ki raah mei.n apni jaan dena maidaanay jung mei.n.)

jangay kabeer= jihaad e akbar(apnay sarkash nafs(nafsay ammaara) say musalsal ladna)

maqtay mei.n "unkay" say muraad lashkaray yazeed hai.

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah

Haamid SaaHab,

assalaam o alaikum
biradarm jawaid saahib

Bohat achchey salam se nawazah hai aap ne. Jazak Allah.

shukr hai keh aapnay reply tau liya.ek arca haugaya aapka khat aaye.
bahut bahut shukriya salaam ko pasand farmaanay ka..

Aapne apne kalam ko adna kaha hai jis per mujhe saKht e'traz hai. MadH.e Imam kabhee idna ho hi nahiN saktee.

baat bilkul sahi hai per hum adna isliye keh rahay hai.n hum jaisay gunahgaar bando.n kay qalam say in paak hastiyo.n ki madha naamumkin see baat hai.jinki madha khaaliqay kaayenaat khud kar raha ho unki madha aur hamaara qalam hum apnay is qalam ko is kaam kay liye adna samjhtay hai.n.is umeed per keh yeh baargaahay m'aasoomee.n mei.n qubooliyat ka sharaf haasil karsakay.

dua farmaaiyega
.

MaiN apna ek purana Qita pesh kar raha hooN jis se meri baat aur bhi wazeh ho jayegee:

Yeh mere sher jo main ne kahe haiN madH.e Maula meN

Main bhooley se bhee in sheroN ko adna' kah nahiN sakta

Taqzey bartaraf :Jawaid: meri inkesaaree ke

Jo mehNgee cheez ho oosko maiN sasta kah nahiN sakta

bahut accha qita hai.

aur aapka aiteraaz baja hai.

Khoosh RaheN!

aap bhi sada khush rahe.n.MuKhliS
Jawaid
aapka apna
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Salam Haamid baaqri Sb,

Allah taalaa aap par apni rehmatoaN aor naimatoaN ki baarish kartaa hi chalaa ja-aye. bohat khoobsoorat kalam likhaa hai aap ne. aik do batoaN ki wazahat agar naa cheez ke leeaye kar daiN to shukar guzaar hooN ga.
aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say
karbobala yeh kehti hai har sougwaar say
kia pehlaa misrA beHr meiN hai?

aaoo gu= mafoolu
zaar.N zinda = faailaatu
gi izzzat se = yahaaN mafoolu kaise banay ga?
payar se= faailun

agar iss ki taqteeA kissi aor taraH hoti hai to bara-aye meharbaani Islah farmaa-aye. oar agar Hamid sb se pehle koi aor dost bhi iss ki wazaahat kar saktaa ho to meiN shukar guzar hooN ga.
jangay sagheer ho keh woh jangay kabeer ho
shah(as) kaamiyaab haugaye har a'itebaar say
mairaa naheeN khayaal ke "shah" ki ye "hay" giraana kuch itnaa achchhaa hai. meiN aik baar "chaah" ki hay giraanaa chah rahaa thaa to Nazir sb ne manaa farmayaa thaa.

zillat ki zindagi say hai humkau 'azeez mout
seekha yahi hai humnay shahay(as) naamdaar say
ye sheAer bohat pasand ayaa.
naamay hussain(as)zindaye jawaid hogaya
ruswa yazeed haugaya l'aanat ke haar say [/qutoe]

"haar ki laanat" to bilkul samajh meiN aataa hai. laikin ye "la'anat ki haar" ?

kal ka yazeed ho keh' woh ho aaj ka yazeed
bach paayega nah koyee bhi qudrat ki maar say
khoobsoorat khayaal hai. daikhnaa ye hai ke yezeed ki takraar kaisa aCar paida kar rahi hai. har shakhs kaa choonke apnaa khayaal hai. mujhe lagaa ye ke ye takraar kuch khushgawar aCar naheen choR rahi.

haamid haraam maal say unkay shikam thay pur
"aahoo nah munh nikaaltay thay sabzahzaar say"

bohat achhchha maqtA hai.

agar naa daanistigi meiN koi gustaakhi ho gayee ho to paishgi mua'zirat qabool farmaa-aye ga.

khosha cheeN,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

muhammad_19k wrote:Salam Haamid baaqri Sb,

:walikum:
mohtaram mohammed khaawar saahib

Allah taalaa aap par apni rehmatoaN aor naimatoaN ki baarish kartaa hi chalaa ja-aye. bohat khoobsoorat kalam likhaa hai aap ne.

bahut bahut shukriya keh aapnay hamaaray salaam ko pasand farmaaya aur purkhuloos duao.n say hame.n nawaaza

aik do batoaN ki wazahat agar naa cheez ke leeaye kar daiN to shukar guzaar hooN ga.

zaroor ......hukm kare.n janaab....
aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say
karbobala yeh kehti hai har sougwaar say
kia pehlaa misrA beHr meiN hai?

aaoo gu= mafoolu
zaar.N zinda = faailaatu
gi izzzat se = yahaaN mafoolu kaise banay ga?

janaab yeh mafoolu nahi.n hai mufaa'yeelu hai

ab dekhe.n.......

payar se= faailun

agar iss ki taqteeA kissi aor taraH hoti hai to bara-aye meharbaani Islah farmaa-aye. oar agar Hamid sb se pehle koi aor dost bhi iss ki wazaahat kar saktaa ho to meiN shukar guzar hooN ga.
jangay sagheer ho keh woh jangay kabeer ho
shah(as) kaamiyaab haugaye har a'itebaar say
mairaa naheeN khayaal ke "shah" ki ye "hay" giraana kuch itnaa achchhaa hai. meiN aik baar "chaah" ki hay giraanaa chah rahaa thaa to Nazir sb ne manaa farmayaa thaa.

is baat ki wazaahat tau ustaad shuraa hi kare.nge hum tau tiflay maktab hai.n.
zillat ki zindagi say hai humkau 'azeez mout
seekha yahi hai humnay shahay(as) naamdaar say
ye sheAer bohat pasand ayaa.

shukriya.
naamay hussain(as)zindaye jawaid hogaya
ruswa yazeed haugaya l'aanat ke haar say [/qutoe]

"haar ki laanat" to bilkul samajh meiN aataa hai. laikin ye "la'anat ki haar" ?

jee ....jaisay phoolo.n ka haar.......waisay laanat ke haar.....hai na yahaa.n humnay haar ko tauq kay muaani mei.n liya hai.
kal ka yazeed ho keh' woh ho aaj ka yazeed
bach paayega nah koyee bhi qudrat ki maar say
khoobsoorat khayaal hai. daikhnaa ye hai ke yezeed ki takraar kaisa aCar paida kar rahi hai. har shakhs kaa choonke apnaa khayaal hai. mujhe lagaa ye ke ye takraar kuch khushgawar aCar naheen choR rahi.

is say behtar shayed hum nah keh paaye.n
haamid haraam maal say unkay shikam thay pur
"aahoo nah munh nikaaltay thay sabzahzaar say"

bohat achhchha maqtA hai.

bahut bahut shukriya...janaab

agar naa daanistigi meiN koi gustaakhi ho gayee ho to paishgi mua'zirat qabool farmaa-aye ga.

gustaakhi kaisee yeh tau har qaari ka haq hai.

aapnay wohi kiya hai.

jitna hamaaray 'ilm mei.n hai utna humnay waazeh kardiya hai.baaqi is per asaaatezaa mazeed raushni daal saktay hai
.n.

khosha cheeN,
Muhammad Khawar.
aap bhi sada khush rahe.n.
mukhlis
haamidbaaqri
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Hamid baaqri sb,

aap ki mohabbat ka shukriyaa ke aap wazaahat kar ke mairi rehnami farmaee.

Allah aap ko khush o khurram rakhay,

dua go,
Muhammad Khawar.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Hamid bh~aee Assalam alikum!

"ham apne rastooN par chal paRe haiN warnah ab bh~ee
Husainee rastah hee sachcha rastah hai"

muHarram ul Haraam kee munasibat se aap ka salam jo keh dilooN ko garma raha hai. aor laho meN Hararat ka ba bae,ic banta jaraha hai. dekh~ne kee taofeeq milee.

mashAllah sabh~ee asha'aar aap ke mukhSooS aor pur acar andaaz meN aae haiN. aor yahee wajah hai keh aap ke salam meN maedaan-e-karbalah kee woh qurbanee aor us qurbanee ka aSal maqSad aor muraad samne aagaee hai. aap ne apne kalam meN nah Sirf na'rah-e-takbeer buland kiya hai. balkeh Yazeediyat ke gande aor Ghileez^ chehre par t^amaanchah bh~ee raseed kiya hai. khuda kare keh is t^amaanche kee goonj qeyamat tak sunaee detee rahe.

aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say
karbobala yeh kehti hai har sougwaar say
mashallah

jangay sagheer ho keh woh jangay kabeer ho
shah(as) kaamiyaab haugaye har a'itebaar say
mashallah

zillat ki zindagi say hai humkau 'azeez mout
seekha yahi hai humnay shahay(as) naamdaar say
mashallah

naamay hussain(as)zindaye jawaid hogaya
ruswa yazeed haugaya l'aanat ke haar say
mashallah

kal ka yazeed ho keh' woh ho aaj ka yazeed
bach paayega nah koyee bhi qudrat ki maar say
mashallah

haamid haraam maal say unkay shikam thay pur
"aahoo nah munh nikaaltay thay sabzahzaar say"
mashallah

ijazut dijiye!
Wassalam
Muz^affar
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Hamid bh~aee Assalam alikum!

wa alaikumussalaam
mohtaram muzaffar bhai

"ham apne rastooN par chal paRe haiN warnah ab bh~ee
Husainee rastah hee sachcha rastah hai"

is mei.n koyee shak nahi.n hai.

muHarram ul Haraam kee munasibat se aap ka salam jo keh dilooN ko garma raha hai. aor laho meN Hararat ka ba bae,ic banta jaraha hai. dekh~ne kee taofeeq milee.

zahay naseeb.shukr hai us paak parwardigaar ka.dua farmaaye.n keh woh hamaari is adna see kaushish ko qubool farmaaye.

mashAllah sabh~ee asha'aar aap ke mukhSooS aor pur acar andaaz meN aae haiN. aor yahee wajah hai keh aap ke salam meN maedaan-e-karbalah kee woh qurbanee aor us qurbanee ka aSal maqSad aor muraad samne aagaee hai. aap ne apne kalam meN nah Sirf na'rah-e-takbeer buland kiya hai. balkeh Yazeediyat ke gande aor Ghileez^ chehre par t^amaanchah bh~ee raseed kiya hai. khuda kare keh is t^amaanche kee goonj qeyamat tak sunaee detee rahe.

aameen ya rabbul aalameen.

aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say
karbobala yeh kehti hai har sougwaar say
mashallah

bahut bahut shukriya

jangay sagheer ho keh woh jangay kabeer ho
shah(as) kaamiyaab haugaye har a'itebaar say
mashallah

bahut bahut shukriya

zillat ki zindagi say hai humkau 'azeez mout
seekha yahi hai humnay shahay(as) naamdaar say
mashallah

bahut bahut shukriya

naamay hussain(as)zindaye jawaid hogaya
ruswa yazeed haugaya l'aanat ke haar say
mashallah

bahut bahut shukriya

kal ka yazeed ho keh' woh ho aaj ka yazeed
bach paayega nah koyee bhi qudrat ki maar say
mashallah

bahut bahut shukriya

haamid haraam maal say unkay shikam thay pur
"aahoo nah munh nikaaltay thay sabzahzaar say"
mashallah

ijazut dijiye!
Wassalam
Muz^affar
aapki mukhlisaanah daad hamaaray liye ek khazaanay say kam nahi.n muzaffar bhai.aik baar aur aapka hum tahay dilsay shukriya ada kartay huay yeh dua kartay hai.n keh allah(sbhnwt)aap per apni rehmato.n ki musalsal baarish karay .aameen.