aap ki ye aazaad ghazal bohat achhchhi koshish hai


ye walay ash'aar bohat shaandar haiN.
5. jab talak dil mein lahu baaqi rahe
"koee kaese dil lagana chouR de"
6. ab na Saara aarzu karna kabhi
apne khwaabon ko sajaana chouR de
daad qabool kijiaye.
baaqi ash'aar par mukhtaSir taSSuraat is taraH haiN
1. gham chupaa ker muskuraana chouR de
yun muqaddar ko banaana chouR de
ye samajh naheeN aa-i ke muqaddar kaise ban rahaa hai.

2. raah-e-ulfat mein ye kaisi bebasi
zindagi sadme uThaana chouR de
shaer bhi khoob hai.
3. rooThne wale tujhe teri qasam
aashiqui mein dil jalaana chouR de
ye shaer bhi achhaa hai
4. haal e dil tanhaayi mein tujh se kahun
yun na milne ka bahaana chouR de
iss shaer par dobaar fikr ki daawat dooN ga. doosre meiN istemaal hone walay "yooN" ki wazaahat pehlay miSraa meiN naheeN ki gayee na doosray miSra meiN ho rahi hai.
aor aakhir do ashhar par izhaar pasandeedgi to meiN pehlay hi kar chukaa hooN.
aap ka mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.