AIK GHAZAL

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

AIK GHAZAL

Post by Anis Hasan »

Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga.

DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN

MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN

ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN

US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN

AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN

Anis Hasan
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Sarwar A. Raz »

Anis Hasan wrote:Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga.

DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN

MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN

ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN

US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN

AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN

Anis Hasan
mukarramee Anis SaaHeb: aadaab!

aap kaa is bazm meN Khair-maqdam karte huwe mujh ko masarrat ho rahee hai. ummeed hai keh isee t^araH aap bazm kee raunaq baRhaate raheN ge. shukriyah.

aap kee Ghazal pasand aayee. saade alfaaz^ meN saade Khayaalaat pur-acar andaaz meN baaNdhe gaYe haiN. Ghazal aap kee mashq par daleel hai. daad qubool keejiYe.

aap ke is she'r par:

Molana Hali kaa ek she'r yaad aa gayaa:

tere jaate hee yeh kyaa ho gayee ghar kee Soorat?
nah woh deewaar kee Soorat hai nah dar kee Soorat!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtaram Anis Hasan Saheb
:salaam:

DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN
Bohat achcha matla'a hai.

MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN
"Maut bus naheen aati rooh..... Bohat khoob, wah wah.

ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN
Bohat achcha sheir hai.

US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN
Wah, wah kya kehne.

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN
Achcha sheir hai.

AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN

Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Anis Hasan »

Sarwar Raz wrote:
Anis Hasan wrote:Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga.

DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN

MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN

ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN

US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN

AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN

Anis Hasan
mukarramee Anis SaaHeb: aadaab!

aap kaa is bazm meN Khair-maqdam karte huwe mujh ko masarrat ho rahee hai. ummeed hai keh isee t^araH aap bazm kee raunaq baRhaate raheN ge. shukriyah.

aap kee Ghazal pasand aayee. saade alfaaz^ meN saade Khayaalaat pur-acar andaaz meN baaNdhe gaYe haiN. Ghazal aap kee mashq par daleel hai. daad qubool keejiYe.

aap ke is she'r par:

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN

Molana Hali kaa ek she'r yaad aa gayaa:

tere jaate hee yeh kyaa ho gayee ghar kee Soorat?
nah woh deewaar kee Soorat hai nah dar kee Soorat!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
Aap ki purkhuloos daad aur tehseen ka behud shukriya.
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Re: AIK GHAZAL

Post by Anis Hasan »

sara_j wrote:
Anis Hasan wrote:Apni aik ghazal aap sub doston ki khidmat mein pesh kar raha houn apni aara say zaroor nawaziay ga.

DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN

MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN

ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN

US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN

AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN

Anis Hasan
Anis Hasan sahib,

adaab arz hai.

bohat arse baad tashreef laaye hain isliye welcome back !

shayed ye aapki is site per doosri ghazal hai, bohat hi dard se bharpoor.
balkeh har shair jaise humare dil ki awaaz hai.

DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN

MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN

ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN

US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN

AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN

wah waah! bohat khoob :cry: har shair per dili daad
qubool keejiye. aapki aur tehreeron ka intezar rahega.

mukhlis

sara
Aap nay sahi likha hai keh buhat hi dard say bharpoor ghazal hai. Abhi haal hi mein mujh par 2 azeem sadmay guzray hain 6 maheenay qabl meri walida ka inteqal hua aur sirf 2 maheenay baad hi meri rafeeq-e-jaan meri ahlia ka bhi inteqal ho gaya so yeh ghazal meray qalbi jazbaat ka izhar hai.
Aap ki daad ka buhat shukriya.
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Post by Anis Hasan »

sbashwar wrote:Mohtaram Anis Hasan Saheb
:salaam:

DARD KI HAR IK HUD SAY AB GUZAR GAYA HOUN MAIN
PHIR KABHI NA SIMTOUN GA YOUN BIKHAR GAYA HOUN MAIN
Bohat achcha matla'a hai.

MAUT BUS NAHEEN AATI ROOH KAY NIKALNAY SAY
ROOH MUJH MEIN BAQI HAI PHIR BHI MAR GAYA HOUN MAIN
"Maut bus naheen aati rooh..... Bohat khoob, wah wah.

ZINDAGI MEIN JITNI BHI ROSHNI THI US SAY THI
MUSTAQIL ANDHAIRON MEIN AB UTAR GAYA HOUN MAIN
Bohat achcha sheir hai.

US KA SAATH JUB TAK THA RUNG RUNG MAUSAM THAY
BUS KHIZAAN KAY MANZAR MEIN AB THEHAR GAYA HOUN MAIN
Wah, wah kya kehne.

BAAM-O-DAR BHI US KAY BAAD HO GAYAY HAIN YOUN KHAMOSH
AUR DIL ULAJHTA HAI JUB BHI GHAR GAYA HOUN MAIN
Achcha sheir hai.

AAINA BHI HAIRAT SAY DAIKHTA HAI AB MUJH KO
KAUN AJNABI HAI YEH AUR KIDHAR GAYA HOUN MAIN

Daad aur mubarakbaad qubool kijiye.
Shukria
Salem Bashwar
Har shair ko bharpoor tawajah say parhnay aur daad dainay par aap ka mashkoor houn.
Post Reply