Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab

Ham Istaqbal karte haiN aap apna taarruf karwaiN:)
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab

Post by Safiya »

Assalaam aleykum,

Aap ke site ki kaafi taareef suni kisise, isiliye kuch shayri aur kuch dosti ki umeed se yahaan aayee hoon.

Naam Safiya Ali, Paydayeesh Bombay, kaafi arsa Dubai me guzaarne ke baad ab yahaan Houston TX USA me mukeem hoon. Karachi se bhi kaafi gehraa taaluq haiy.

Yun to shayri ka shauk bachpan se haiy, maghar ab jaakar thoDa bohot samajh paayi hoon, Bombay aur Dubai me taalim paane ki vajah se mujhe aaj bhi sahee Urdu bolni ya paDhni nahi aati haiy, aur likhni to bilkul nahi. Aur phir bhi main shayri karne ki koshish karti rehti hoon, kuch acche doston ki hausla-afzai haiy varna kisi ke saamne pesh karne ki himmat nahi thi. Aaj-kal to kheyr kuch likh nahi paati hoon, maghar kuch poorani cheezen hain jo aapke saamne pesh karna chahti hoon aghar aap logh ijazat den.

"hum aaye unke ghar humaari kismet haiy
chahe vo humse milke khush huve na huve"

SAFIYA....
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab

Post by khurram_shaikh »

Safiya wrote:Assalaam aleykum,

Image

safiya jee Image umeed kertaa hun aap khairiyat se hoongi , mujhe pehchaanaa aapnien yaad hun main :D :D
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Adaab SAFIYA jee aap se mil ke baht khushi hui...aap puraane urdustan MB pe aaya karti thin..maine aaa ke chand kalaam paRhe the..aap mashaAllah bahut umda likhti hain..hum muntazir hain aap ka taazaa kalaam sunne ke liye...aati rahiyega...tah-e-dil se KHUSHAAMADEED once again :-D

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab

Post by Mahtab Qadr »

SAFIA ALI aap ko is mahfil mai amad par ham sab dil ki gahraioN se KHUSHAAMDEED

kahte haiN.
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Mohtarama Safiya Sahiba
Walaikom Salaam
Khush-Amdeed.
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Post by nigaah »

Assalam alaikum

Safiya Ji

main bhi bazm main aap ko Khush amadeed kehti hooN....aap nay kaha aap ko Urdu thik say bolni ya paRhni nahiN aati ..... lekin is ke bawujood aap ko shairi say ladao hai aur likhti bhi haiN mashaAllah...tou janab!!....muhabbat tou Khud bohut say maraahil aasan kar deti hai....aap ki urdu say muhabbat bohut jald aap ko paish aanay wali dushwaariyoN say nimatna sikha day gi...inshaAllah

umeed hai aap ka waqt yahaN acha guzray ga

Nigaah
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam safiya saaHiba,

ari aap? kahaaN rahiiN itne dinoN moHtaramah? maiN aapko kaise bhool saktaa huuN. mujhe achchhi taraH se yaad hai jab aap urdustan ke puraane MB par aatii thiiN. maiN ne bhii aapke chand ek kalaam paRhe haiN. mujhe aapko yahaN do_baarah dekh kar yaqeen jaaniiye baRii Khushii huii. ummeed hai ki aap baraabar aatii jaatii raheNgii aur apnii posts se hameN entertain kartii raheNgii...shukria.

Welcome Back Safiya ji and thank you for returning to friends.

Hashmat
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

KHUSHAAMADED

Post by Abdullah Nazir »

[rainbow][h1]
KHUSHAMDEED SAFIYA SAAHIBA
[/rainbow][/h1]

MuHtaramah
SAFIYA Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat, :-)

Aapka is meHfil meiN isteqbaal karte houe ham saare Urdubandhan se juRe houe afraad ko bahut khushi hourahi hei.

Yeh aapki hii apni site hei jis meiN aapko khushgawaar mahoul moyassar aayegaa jis meiN urdu adab kii khidmaat karne waale jaan o dil se koushish karte heiN.

"Meraa paighaam muHabbat hei jahaaN tak pahonche"

Ummeed kartaa hooN ke aap bhii apni adabi kaavishaoN se is meHfil ko zeenat pakhsengi.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

User avatar
Naveed_Ahmad_Naveed
-
-
Posts: 68
Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
Location: Pakistan
Contact:

Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab

Post by Naveed_Ahmad_Naveed »

Safiya wrote:Assalaam aleykum,

Aap ke site ki kaafi taareef suni kisise, isiliye kuch shayri aur kuch dosti ki umeed se yahaan aayee hoon.

Naam Safiya Ali, Paydayeesh Bombay, kaafi arsa Dubai me guzaarne ke baad ab yahaan Houston TX USA me mukeem hoon. Karachi se bhi kaafi gehraa taaluq haiy.

Yun to shayri ka shauk bachpan se haiy, maghar ab jaakar thoDa bohot samajh paayi hoon, Bombay aur Dubai me taalim paane ki vajah se mujhe aaj bhi sahee Urdu bolni ya paDhni nahi aati haiy, aur likhni to bilkul nahi. Aur phir bhi main shayri karne ki koshish karti rehti hoon, kuch acche doston ki hausla-afzai haiy varna kisi ke saamne pesh karne ki himmat nahi thi. Aaj-kal to kheyr kuch likh nahi paati hoon, maghar kuch poorani cheezen hain jo aapke saamne pesh karna chahti hoon aghar aap logh ijazat den.

"hum aaye unke ghar humaari kismet haiy
chahe vo humse milke khush huve na huve"

SAFIYA....

Safiya saaHiba wa alekumslaam aur taslimaat,

aap ka is dilkash bazm meiN dil ki gehraioN se istqbaal hai aap jo umideiN le kar yahaN tashreef layi heiN in shah Allah wo sub poora hooNgi.

aap ko yahaN behad ache dost bi mileiNge aur aap ki adabi tishnghi bi door ho gi.dosroN ka likha paRh kar aapni rahey dijeey aur aapna likha yahaN post kijeey yaqeenan hamare paRhne wale aap ki mazeed hosla afzai kareiN ge aur aap ka zooq-o-shoq mazeed baRhe ga.

shukriya.

Naveed.
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab

Post by Safiya »

khurram_shaikh wrote:
Safiya wrote:Assalaam aleykum,

Aap ke site ki kaafi taareef suni kisise, isiliye kuch shayri aur kuch dosti ki umeed se yahaan aayee hoon.

Naam Safiya Ali, Paydayeesh Bombay, kaafi arsa Dubai me guzaarne ke baad ab yahaan Houston TX USA me mukeem hoon. Karachi se bhi kaafi gehraa taaluq haiy.

Yun to shayri ka shauk bachpan se haiy, maghar ab jaakar thoDa bohot samajh paayi hoon, Bombay aur Dubai me taalim paane ki vajah se mujhe aaj bhi sahee Urdu bolni ya paDhni nahi aati haiy, aur likhni to bilkul nahi. Aur phir bhi main shayri karne ki koshish karti rehti hoon, kuch acche doston ki hausla-afzai haiy varna kisi ke saamne pesh karne ki himmat nahi thi. Aaj-kal to kheyr kuch likh nahi paati hoon, maghar kuch poorani cheezen hain jo aapke saamne pesh karna chahti hoon aghar aap logh ijazat den.

"hum aaye unke ghar humaari kismet haiy
chahe vo humse milke khush huve na huve"

SAFIYA....

Image

safiya jee Image umeed kertaa hun aap khairiyat se hoongi , mujhe pehchaanaa aapnien yaad hun main :D :D
Han Khurram mai dostoN ko bholti nahi hoN. :) thanx a lot for a warmwelcome
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Post by Safiya »

sara_j wrote:[rainbow][h1]
KHUSHAMDEED SAFIYA SAAHIBA
[/rainbow][/h1]

Walekum Salaam Safiya Ali Saahiba,

Insha Allah aapki umeed poori hougi.

aapka mukhtasir ta'rruf bohat pasand aaya.

hum bhi aapke humsaaya hi hain, ab jaldi se aap Sukhanwar mein apna kalaam paish keejiye hum muntazir hain. waise shaayri section ka jayeza zaroor leejiye aur moshaire mein hissa leejiye aur apna taza kalaam humein sunaiye.

Urdubandhan per phir aek baar khushamdeed.

sara
saraa ji aap ki khushaamdeed ne to mujhe behad khush kardia aur ye jaan kar ke mere parhos mai aap rahti haiN aur bhi khushi huvi aap ke baare mai baaz dostoN se tareef suni thi ab aapse direct rabta rahega aur aap ko is khoobsurat website ki bhi mubarakbaad . inshallah kabhi mauqa bana to mulaqat bhi ho sakti hai. hai na!
safiya ali
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Post by Safiya »

Shummu wrote:Adaab SAFIYA jee aap se mil ke baht khushi hui...aap puraane urdustan MB pe aaya karti thin..maine aaa ke chand kalaam paRhe the..aap mashaAllah bahut umda likhti hain..hum muntazir hain aap ka taazaa kalaam sunne ke liye...aati rahiyega...tah-e-dil se KHUSHAAMADEED once again :-D

Shumaila
shummu aap ne sahi pahchaana urdustan se aur deegar urdu dostoN se mera taalluq bahut puraana hai. koshish karoNgi ke apni tooti photi shayeri aap nazr kar sakoN. aapki is mohabbat aamaiz khushaamdeed ka shukria
safiya
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab

Post by Safiya »

Mahtab Qadr wrote:SAFIA ALI aap ko is mahfil mai amad par ham sab dil ki gahraioN se KHUSHAAMDEED

kahte haiN.
aray mahtab saab aap dawat na dete to hameiN kahaN pata chalta ke aik aur panah gaah ham urdu ke aashiqoN ki nikal ai hai. aap ki mashkoor hoN ke is site se mutarref karwaya. aap ke khuloos ki moatarif hoN shukria
safiya ali
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Post by Safiya »

sbashwar wrote:Mohtarama Safiya Sahiba
Walaikom Salaam
Khush-Amdeed.
Mohatram sbashwar sahib aapki inayat aur maharbani ke lye mamnoon hoN.
safiya ali
User avatar
Safiya
nau-waarid
Posts: 21
Joined: Mon Jan 17, 2005 8:14 am

Post by Safiya »

nigaah wrote:Assalam alaikum

Safiya Ji

main bhi bazm main aap ko Khush amadeed kehti hooN....aap nay kaha aap ko Urdu thik say bolni ya paRhni nahiN aati ..... lekin is ke bawujood aap ko shairi say ladao hai aur likhti bhi haiN mashaAllah...tou janab!!....muhabbat tou Khud bohut say maraahil aasan kar deti hai....aap ki urdu say muhabbat bohut jald aap ko paish aanay wali dushwaariyoN say nimatna sikha day gi...inshaAllah

umeed hai aap ka waqt yahaN acha guzray ga

Nigaah
Nighaah ji haN sach hi to hai ke mujhe urdu nahi aati magar , jab se urdusites ke hawale se dostoN se rabta raha mai ne bahut improve ki urdu aur shayeri bhi inhi dostoN ki mahrbaani se parwan chahrhi aur aap jaise mukhlis aur achay dostoN ki sohbat mazeed faida degi inshallah.

:) aap se milkar bahut khushi huvi
safiay ali
Post Reply