Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
Assalaam aleykum,
Aap ke site ki kaafi taareef suni kisise, isiliye kuch shayri aur kuch dosti ki umeed se yahaan aayee hoon.
Naam Safiya Ali, Paydayeesh Bombay, kaafi arsa Dubai me guzaarne ke baad ab yahaan Houston TX USA me mukeem hoon. Karachi se bhi kaafi gehraa taaluq haiy.
Yun to shayri ka shauk bachpan se haiy, maghar ab jaakar thoDa bohot samajh paayi hoon, Bombay aur Dubai me taalim paane ki vajah se mujhe aaj bhi sahee Urdu bolni ya paDhni nahi aati haiy, aur likhni to bilkul nahi. Aur phir bhi main shayri karne ki koshish karti rehti hoon, kuch acche doston ki hausla-afzai haiy varna kisi ke saamne pesh karne ki himmat nahi thi. Aaj-kal to kheyr kuch likh nahi paati hoon, maghar kuch poorani cheezen hain jo aapke saamne pesh karna chahti hoon aghar aap logh ijazat den.
"hum aaye unke ghar humaari kismet haiy
chahe vo humse milke khush huve na huve"
SAFIYA....

-
- -
- Posts: 136
- Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am
Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
Safiya wrote:Assalaam aleykum,

safiya jee umeed kertaa hun aap khairiyat se hoongi , mujhe pehchaanaa aapnien yaad hun main :D :D
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
Adaab SAFIYA jee aap se mil ke baht khushi hui...aap puraane urdustan MB pe aaya karti thin..maine aaa ke chand kalaam paRhe the..aap mashaAllah bahut umda likhti hain..hum muntazir hain aap ka taazaa kalaam sunne ke liye...aati rahiyega...tah-e-dil se KHUSHAAMADEED once again :-D
Shumaila
Shumaila
Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai
Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
SAFIA ALI aap ko is mahfil mai amad par ham sab dil ki gahraioN se KHUSHAAMDEED
kahte haiN.
kahte haiN.
Assalam alaikum
Safiya Ji
main bhi bazm main aap ko Khush amadeed kehti hooN....aap nay kaha aap ko Urdu thik say bolni ya paRhni nahiN aati ..... lekin is ke bawujood aap ko shairi say ladao hai aur likhti bhi haiN mashaAllah...tou janab!!....muhabbat tou Khud bohut say maraahil aasan kar deti hai....aap ki urdu say muhabbat bohut jald aap ko paish aanay wali dushwaariyoN say nimatna sikha day gi...inshaAllah
umeed hai aap ka waqt yahaN acha guzray ga
Nigaah

- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
- Contact:
salaam safiya saaHiba,
ari aap? kahaaN rahiiN itne dinoN moHtaramah? maiN aapko kaise bhool saktaa huuN. mujhe achchhi taraH se yaad hai jab aap urdustan ke puraane MB par aatii thiiN. maiN ne bhii aapke chand ek kalaam paRhe haiN. mujhe aapko yahaN do_baarah dekh kar yaqeen jaaniiye baRii Khushii huii. ummeed hai ki aap baraabar aatii jaatii raheNgii aur apnii posts se hameN entertain kartii raheNgii...shukria.
Welcome Back Safiya ji and thank you for returning to friends.
Hashmat

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
KHUSHAAMADED
[rainbow][h1]
MuHtaramah
SAFIYA Saahibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapka is meHfil meiN isteqbaal karte houe ham saare Urdubandhan se juRe houe afraad ko bahut khushi hourahi hei.
Yeh aapki hii apni site hei jis meiN aapko khushgawaar mahoul moyassar aayegaa jis meiN urdu adab kii khidmaat karne waale jaan o dil se koushish karte heiN.
"Meraa paighaam muHabbat hei jahaaN tak pahonche"
Ummeed kartaa hooN ke aap bhii apni adabi kaavishaoN se is meHfil ko zeenat pakhsengi.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
KHUSHAMDEED SAFIYA SAAHIBA
[/rainbow][/h1]MuHtaramah
SAFIYA Saahibah,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapka is meHfil meiN isteqbaal karte houe ham saare Urdubandhan se juRe houe afraad ko bahut khushi hourahi hei.
Yeh aapki hii apni site hei jis meiN aapko khushgawaar mahoul moyassar aayegaa jis meiN urdu adab kii khidmaat karne waale jaan o dil se koushish karte heiN.
"Meraa paighaam muHabbat hei jahaaN tak pahonche"
Ummeed kartaa hooN ke aap bhii apni adabi kaavishaoN se is meHfil ko zeenat pakhsengi.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- Naveed_Ahmad_Naveed
- -
- Posts: 68
- Joined: Thu Dec 09, 2004 6:46 am
- Location: Pakistan
- Contact:
Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
Safiya wrote:Assalaam aleykum,
Aap ke site ki kaafi taareef suni kisise, isiliye kuch shayri aur kuch dosti ki umeed se yahaan aayee hoon.
Naam Safiya Ali, Paydayeesh Bombay, kaafi arsa Dubai me guzaarne ke baad ab yahaan Houston TX USA me mukeem hoon. Karachi se bhi kaafi gehraa taaluq haiy.
Yun to shayri ka shauk bachpan se haiy, maghar ab jaakar thoDa bohot samajh paayi hoon, Bombay aur Dubai me taalim paane ki vajah se mujhe aaj bhi sahee Urdu bolni ya paDhni nahi aati haiy, aur likhni to bilkul nahi. Aur phir bhi main shayri karne ki koshish karti rehti hoon, kuch acche doston ki hausla-afzai haiy varna kisi ke saamne pesh karne ki himmat nahi thi. Aaj-kal to kheyr kuch likh nahi paati hoon, maghar kuch poorani cheezen hain jo aapke saamne pesh karna chahti hoon aghar aap logh ijazat den.
"hum aaye unke ghar humaari kismet haiy
chahe vo humse milke khush huve na huve"
SAFIYA....
Safiya saaHiba wa alekumslaam aur taslimaat,
aap ka is dilkash bazm meiN dil ki gehraioN se istqbaal hai aap jo umideiN le kar yahaN tashreef layi heiN in shah Allah wo sub poora hooNgi.
aap ko yahaN behad ache dost bi mileiNge aur aap ki adabi tishnghi bi door ho gi.dosroN ka likha paRh kar aapni rahey dijeey aur aapna likha yahaN post kijeey yaqeenan hamare paRhne wale aap ki mazeed hosla afzai kareiN ge aur aap ka zooq-o-shoq mazeed baRhe ga.
shukriya.
Naveed.
Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
Han Khurram mai dostoN ko bholti nahi hoN. :) thanx a lot for a warmwelcomekhurram_shaikh wrote:Safiya wrote:Assalaam aleykum,
Aap ke site ki kaafi taareef suni kisise, isiliye kuch shayri aur kuch dosti ki umeed se yahaan aayee hoon.
Naam Safiya Ali, Paydayeesh Bombay, kaafi arsa Dubai me guzaarne ke baad ab yahaan Houston TX USA me mukeem hoon. Karachi se bhi kaafi gehraa taaluq haiy.
Yun to shayri ka shauk bachpan se haiy, maghar ab jaakar thoDa bohot samajh paayi hoon, Bombay aur Dubai me taalim paane ki vajah se mujhe aaj bhi sahee Urdu bolni ya paDhni nahi aati haiy, aur likhni to bilkul nahi. Aur phir bhi main shayri karne ki koshish karti rehti hoon, kuch acche doston ki hausla-afzai haiy varna kisi ke saamne pesh karne ki himmat nahi thi. Aaj-kal to kheyr kuch likh nahi paati hoon, maghar kuch poorani cheezen hain jo aapke saamne pesh karna chahti hoon aghar aap logh ijazat den.
"hum aaye unke ghar humaari kismet haiy
chahe vo humse milke khush huve na huve"
SAFIYA....
safiya jee umeed kertaa hun aap khairiyat se hoongi , mujhe pehchaanaa aapnien yaad hun main :D :D
saraa ji aap ki khushaamdeed ne to mujhe behad khush kardia aur ye jaan kar ke mere parhos mai aap rahti haiN aur bhi khushi huvi aap ke baare mai baaz dostoN se tareef suni thi ab aapse direct rabta rahega aur aap ko is khoobsurat website ki bhi mubarakbaad . inshallah kabhi mauqa bana to mulaqat bhi ho sakti hai. hai na!sara_j wrote:[rainbow][h1]KHUSHAMDEED SAFIYA SAAHIBA[/rainbow][/h1]
Walekum Salaam Safiya Ali Saahiba,
Insha Allah aapki umeed poori hougi.
aapka mukhtasir ta'rruf bohat pasand aaya.
hum bhi aapke humsaaya hi hain, ab jaldi se aap Sukhanwar mein apna kalaam paish keejiye hum muntazir hain. waise shaayri section ka jayeza zaroor leejiye aur moshaire mein hissa leejiye aur apna taza kalaam humein sunaiye.
Urdubandhan per phir aek baar khushamdeed.
sara
safiya ali
shummu aap ne sahi pahchaana urdustan se aur deegar urdu dostoN se mera taalluq bahut puraana hai. koshish karoNgi ke apni tooti photi shayeri aap nazr kar sakoN. aapki is mohabbat aamaiz khushaamdeed ka shukriaShummu wrote:Adaab SAFIYA jee aap se mil ke baht khushi hui...aap puraane urdustan MB pe aaya karti thin..maine aaa ke chand kalaam paRhe the..aap mashaAllah bahut umda likhti hain..hum muntazir hain aap ka taazaa kalaam sunne ke liye...aati rahiyega...tah-e-dil se KHUSHAAMADEED once again :-D
Shumaila
safiya
Re: Aap sabhi ko Safiya ka Aadaab
aray mahtab saab aap dawat na dete to hameiN kahaN pata chalta ke aik aur panah gaah ham urdu ke aashiqoN ki nikal ai hai. aap ki mashkoor hoN ke is site se mutarref karwaya. aap ke khuloos ki moatarif hoN shukriaMahtab Qadr wrote:SAFIA ALI aap ko is mahfil mai amad par ham sab dil ki gahraioN se KHUSHAAMDEED
kahte haiN.
safiya ali
Nighaah ji haN sach hi to hai ke mujhe urdu nahi aati magar , jab se urdusites ke hawale se dostoN se rabta raha mai ne bahut improve ki urdu aur shayeri bhi inhi dostoN ki mahrbaani se parwan chahrhi aur aap jaise mukhlis aur achay dostoN ki sohbat mazeed faida degi inshallah.nigaah wrote:Assalam alaikum
Safiya Ji
main bhi bazm main aap ko Khush amadeed kehti hooN....aap nay kaha aap ko Urdu thik say bolni ya paRhni nahiN aati ..... lekin is ke bawujood aap ko shairi say ladao hai aur likhti bhi haiN mashaAllah...tou janab!!....muhabbat tou Khud bohut say maraahil aasan kar deti hai....aap ki urdu say muhabbat bohut jald aap ko paish aanay wali dushwaariyoN say nimatna sikha day gi...inshaAllah
umeed hai aap ka waqt yahaN acha guzray ga
Nigaah
:) aap se milkar bahut khushi huvi
safiay ali