aik khoobSoorat ghazal---------------Muhammad K. Siddiqui

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

aik khoobSoorat ghazal---------------Muhammad K. Siddiqui

Post by muhammad_19k »

Salam Azeez sathio,

aik mukhtaSir aor khoobSoorat ghazal paish e khidmat hai. khoobSoorat kehne ki jasaarat iss leeaye kar rahaa hooN ke meiN jub bhi isse paRha to mujhe khud ko achchi lagti hai. aap ka mujh ittefaq karnaa koi zaroori nahi :-).

Yaqeenun mirii pasand ya na pasand abhi iss m'aiyaar par naheeN ki ghazal ke ashaar ko sanad milti ho. yaqeenun abhi bhi is ghazal meiN behtari ke bohat se imkaanaat mojood hoaN gaiN. jin ki nishandahi ke leeaye aap ki khidmat meiN issay paish kar rahaa hooN.

agar aap ke kissi mashwaray se miri ghazal meiN koi behtari aa-aye gi to bandaa e khaaksaar aap ke be Had mamnoon ho ga.


talib e ilm,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Attachments
bandhteiN haiN.gif
bandhteiN haiN.gif (9.5 KiB) Viewed 1317 times
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

GHAZAL IN ROMAN

1. Jo zulfoaN ko un ki ghataa baandhtay haiN
woh sooraj ko goyaa diyaa baandhtay haiN

2. hawaa jo sharat karay un se koi
woh aanchal meiN apni hawaa bandhtay haiN

3. zaraa sochiaye kiss ki ruswai ho gi
agar dar pe ham boriyaa baandhtay haiN

4. hay kia 'aashiqi 'ishaq hai kiyaa m'uamma,
ye mazmoon woh kuch judaa bandhtay haiN

5. hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.

6. baRa khoobSoorat takhuyyul hai :Khawar:,
woh zakhm e jigar par ridaa bandhtay haiN.
Last edited by muhammad_19k on Fri May 04, 2007 8:57 am, edited 1 time in total.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Sohail Malik
-
-
Posts: 124
Joined: Sun Apr 08, 2007 11:51 am

Post by Sohail Malik »

Siddique Bhai: Aadab!

Aap apni ghazal ko khubsurat qarar dainay maiN waqai haq bajanib haiN

sabhi ashaar taranum aur takhayyul e perwaz donoN kay lihaz say bohat umdah haiN

bohat saari daad qabul kijiay

do ik guzarishaat ker daita huN

sher no. 2 aur 3 kay maani kuch Theek say mujh per wazeh nah ho sakay

yeni aanchal maiN hawa baandhnay aur der peh boria baandhnay kay khayalat khul nahiN rehay. baaqi ashaar maiN bhi jaisa keh arz kia hay takhayyul ki perwaz bohat zoroN per dikh rehi hay, laikin wahaN maani garift maiN aa rehay haiN.

sher no. 6 kay misra e uula kay aakhir maiN takkhalus ki jagah 'yeh' likhnay say (jaisa keh Roman maiN aap nay likha) , woh wazan say kharij ho jaey ga.

Wassalam

Sohail Malik
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Post by munir-armaan-nasimi »

muhammad_19k wrote:GHAZAL IN ROMAN

1. Jo zulfoaN ko un ki ghataa baandhtay haiN
woh sooraj ko goyaa diyaa baandhtay haiN

Bahut umda matla hai...!! Daad qobool karein.... magar EK BAAT batayein... aap apne mehboob ki zulfoan ko "Ghataa" se bhi jiyada.... maante hain..... tabhi to zulfoan ko sooraj aur ghataa ko diyaa se tasbeeh di hai..... to aap ke mehboob ki zulfoan ko aap kya samajhte hain... hamein bhi to samjhayein Bhai.....

2. hawaa jo sharat karay un se koi
woh aanchal meiN apni hawaa bandhtay haiN

Yani ke wohh... shararati logon ko/ cheezon ko... apne aanchal se baandh lete hain.................. Kahiin aap bhi hawaa ke saath bandhe hoye to nahiin....!!

Bahar haal, hawaa ko aanchal se baandhna bilkul nayi baat hai. Arbab-e-sukhan batayenge ke sahi hai ya galat.... mere jaise naa-samajh kii samajh se bahar hai ye baat. Dont Mind...!!


3. zaraa sochiaye kiss ki ruswai ho gi
agar dar pe ham boriyaa baandhtay haiN

Achcha Sher Hai.... Qadeem Ghazal ka Rang Hai. Daad qobol karein.

4. hay kia 'aashiqi 'ishaq hai kiyaa m'uamma,
ye mazmoon woh kuch judaa bandhtay haiN

Yeh Sher Bhi Achcha Hai Magar.... Misra-e-ola pe thodi si nazr-e-sani kar lein... pata nahin kyon mujhe atak na pad raha hai. Main galat bhi ho sakta hoon.

5. hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.

WAH WAH... WAH WAH.... BAHUT KHUB.....!!

6. baRa khoobSoorat takhuyyul hai ye,
woh zakhm e jigar par ridaa bandhtay haiN.
Zakhm-e-Jigar par Ridaa Bandhna.... ye kaise mumkeen hai bhai??? "Open Heart Surgery" karvana padega.....!!


Muhammad Bhai Jaan, Shairi ke maamle main.... Main Tifl-e-Maktab hoon... Umeed hai ke aap bura nahiin maanenge...!!

aap ka bhai,

Munir Armaan
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram M. Khawar SaHib aadaab!

aap kee Ghazal dekh~ee maiN itna to Z^aroor kahooN ga. keh aap ne radeef :baaNdh~te haiN: lekar gaoya khud apne liye aek aesee khaleej bana lee hai. jis ko paar karna lohe ke chane chabane walee baat hai.
aap ne baz^ahir kamyabee se ch~ she'er keh diye haiN. aor is khubSurat Ghazal se bh~ee ta'beer kiya hai......mujh~e is se koee qeel-o-qaal naheeN.

dekh~a jae to aap aek leHaaz^ se mubarad baad ke bh~ee mustaHeq haiN. keh aap ne is khaleej ko u'boor to kiya......daraSl aap ne apne liye jaesa keh a'rZ^ kiya hai. mushkil ko pasand kiya aor aap khud behtar jante haiN keh aap kis mushkil se guzre hooN ge.

radeef :baaNdh~te haiN: kee wajah se qafiyah aor radeef mil kar muHawirah kee shakl ikhteyaar kar rahe haiN. macala":hawa baaNdh~na: to muHawirah hai. lekin dusre qawafi jo muHawire paeda kar rahe haiN. woh aSl meN muHawire naheeN..........macala"diya baaNdh~na: muHawirah naheeN. taar-e-wafa baaNdh~na, jigar par rida baaNdh~na ya gh~aTa baaNdh~na waGhaerah muHawire naheeN.

maiN apnee kam i'lmee kee bunyaad par yeh kehna chaahooN ga. keh aap ne radeef baNdh~te haiN le kar gaoya ju-e-sheer lane ka qaSd kiya hai.....Khawar bh~aee aozaan ke aatebaar se to Ghazal Th~eek hai. lekin maiN samajh~ta hooN keh aap baRee talaash se she'er kehte haiN........kalam meN qadeem rang numaayaaN hai. aap meN SalaHiyat bh~ee hai. aor umang bh~ee. mera mashwarah hai. keh aap pehle aasaan maZ^amneen aor salees perae meN she'er kaheeN.

aap bohot zeyadah teez gaamee se kaam le rahe haiN. mujh~e aap kee fannee salaHiyatooN ka aa'taraaf hai. baa eeN hamah maiN hargiz kisee ko bh~ee yeh mashwarah nah dooN ga keh woh Saoda ya Dard kee zameenooN meN aaGhaaz hee meN she'er kahe.

aap khud achch~e shae'er haiN naojawaan haiN. aap meN jazbah aor tarang bh~ee hai. aap apna andaaz banaeeN.....khud naee naee zameeneeN banaeeN. aor abh~ee itna mushkil aor ba muHawirah nah kaheeN.

maiN Sirf ek daost kee haeciyat se raqam t^arraaz hooN. meree koshish aap kee haoSilah shikknee naheeN...aor nah hee meree a'adat hai. chunkeh maiN khud bh~ee isee mashwarah par kaarband hooN is liye Haalat-o-waqea'aat ko apnee hee chashmah se dekh~ta hooN.

aap Ghazal gaoee ke silsilah meN baRe door nikal gae haiN.jesa keh aap jante haiN. har daor aor mua'aashirah ke apne taqaZ^e aor mut^albe hote haiN. aap kee Ghazal agarcheh jadeediyat kee khameer se paak hai. lekin dekh~a jae to qaaree ko meHsoos hota hai keh woh DeDH~ do so saal pech~e chala geya hai...... jadeed daor ke jadeed taqaZ^ooN se aap ko bh~ee inkaar nah ho ga. maiN yeh naheeN kehta keh aap apna andaaz yaksar tabdeel kar ke jadeed Ghazal ka daman th~aam leN.

lekin itna Z^aroor kahooN ga. keh jaese Jigar, ASGhar, Firaaq, Seemab, Raz, SaHir, faraz, Nadeem, Shakeel, Hasrat, Joosh, Sarwar, aor Abdullah Nazir SaHib ke haaN maZ^ameen milte haiN keh paRh~ kar jism-o-jaaN a'ajeeb se kaef aor mastee se daochaar ho jate haiN. Z^arurat hai keh aaj ka shae'ir aek Sadee se peech~e nah jh~aaNke. aor jadeed daor ke taqaZ^ooN ko samajh~te huwe Ghazal ko aesa rang de keh jaesa Jigar aor Seemaab SaHib ne diya. ASGhar ko paRh~eeN. Raz aor FaiZ^ ko paRh~eeN. khuSuSa" jadeed daor ke numaae'indah shae'ir Firaaq Gh~oor kapuri ke Haerat kadah-e-she'er meN utreeN.

aap Ghalib ka deewan uTH~a kar dekh~ leeN mushkil se aaTh~ das GhazleeN aap ko mutacir kar paeeN geeN. Mir ke dawawaen uTh~a kar mut^le'ah farma leeN. wajah wohee hai. keh un SaHibaan ke asha'aar us waqt kee samajee aor mua'asharatee a'shqiyah kashmaksh aor waardaat ke numaae'indah asha'aar th~e. aor yahee wajah hai keh in ke kalam meN woh alfaaz^ bh~ee milte haiN jo aaj raai'j naheeN rahee. macala" :Tuk:, :neemchah: waGhaerah yeh us waqt ma'aroof th~e. aor mazah dete th~e. aaj yahee alfaaz^ apnee lazzat aor dilkashee kh~o chuke haiN.

maiN ne jo mushahidah kiya hai us ke mut^abiq aap apne kalam meN wohee rang paeda karne kee har mumkin koshish meN sargarm haiN.....puranee adab kee afadiyat apnee jagah lekin hameeN chaheiye keh ham hawa ke rukh ko dekh~te huwe Ghazal ko neya jamah faraham kareeN. koee labaas bh~ee hameshah ke liye naheeN hota. aakhir boseedah ho hee jata hai. lekin kheyaal rahe keh Ghazal ke rawayatee usloob kee mehek badastoor perahen-e-Ghazal se jane nah pae. aor Ghazal gaoee meN mundarajah-e-bala fankarooN kee paerawee kareeN.

in sab batooN ke ba'd agar Ghazal ko iSlaHee nuqt^ah-e-naz^ar se dekh~a jae to itna hee kehna chahooN ga. keh yeh Ghazal aek achch~ee mashq hee ho saktee hai. aor faqeer chunkeh khud seekh~ne ke a'amal se guzar raha hai. is liye is par mashwarah dene ke qabil naheeN.......lekin agar aek daost kee haeciyat se kahooN aor mujh~e aap ke naraaZ^ hone ka andeshah nah ho to yehee mashwarah dooN ga keh ise bh~ool hee jana behtar ho ga. gaoya kabh~ee kahee hee naheeN.

1. Jo zulfoaN ko un ki ghataa baandhtay haiN
woh sooraj ko goyaa diyaa baandhtay haiN

2. hawaa jo sharat karay un se koi
woh aanchal meiN apni hawaa bandhtay haiN

3. zaraa sochiaye kiss ki ruswai ho gi
agar dar pe ham boriyaa baandhtay haiN

4. hay kia 'aashiqi 'ishaq hai kiyaa m'uamma,
ye mazmoon woh kuch judaa bandhtay haiN

5. hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.

6. baRa khoobSoorat takhuyyul hai ye,
woh zakhm e jigar par ridaa bandhtay haiN.

aap kee deegar Ghazleeyaat ka muntaz^ir rahooN ga. mujh~e ummeed hai keh aap meree kisee baat ka bura nah manaeeN ge. maiN ne aek daostanah mashwarah diya hai. agar aap ke dil meN mere liye koee hamdardee ka jazbah hai to ph~ir yaqeen kar lijiye keh maiN nihayat diyanatdaranah t^aor par keh rahahooN. lekin agar bura laga ho to kabh~ee darguzar nah kijiye ga. ph~ir is ka badlah khuda hee mujh~ se le keh agar maiN ne kisee aor niyyat se aesa kaha ho.

khat^ t^oweel ho geya hai. aap be shak is ka jawab nah likh~eeN......maiN peshgee shukriyah ada kar deta hooN. lekin meree baat ka bura nah manaiye ga.

main ne aesa mashwarah aap kee kisee aor Ghazal peh naheeN diya....woh waqaee achch~ee haiN. aor qabil-e-dad bh~ee.

Wassalam
aap ka bh~aee
Muz^affar
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

JANAB MUZAFFAR SAHEB,

Had kar di aap ne janab. aik mashwaray ke leeaye itni baar ye kehnaa ke buraa na mani-aye ga kehnaa? mujhe toa aisaa lagaa ke aap chahteN haiN ke meiN buraa maan jaa-oaN ;-). laikin naheeN janab meiN bhalaa kiss baat ka buraa maanooN?

aap ne likhaa ke meiN ne dosti ki zimiray meiN ye baat kahi hai. Janab eemandaari se kahi hoee baat to dushman ki bhi qaabil e ghor hoti hai. aap to phir dost haiN.

such baat ye hai ke meiN jadeed sha'iri ka hi qaail hooN. Oar itnaa jadeed ke yahaaN par mojood dostoaN meiN se kuch to mujhe uthaa kar baahir phaiNk daiN gay. Laikin abhi meiN ne ghazlaiN hi kitni kaheeN haiN? shayed 10 se bhi kam. abhi to janab meiN wazn o beHr o mafHoom ki adaaigi ki mashq kar rahaa hooN. apni shaa'iri to baad meiN ho gi :-).

aap ki raa-aye miray Sir aankhoaN par. aik ghazal kia aap aisi das ghazlaiN uthhaa baahir phainkooN agar daR na ho ke koi aor dost naaraz ho jaa-aye ga.

Chaliaye seekhne ka amal to jaari rahay ga na iss ki badolat?

Oar haaN, chooNke meiN iss ghazal par zydaa se zydaa comments laina chah rahaa tha is leeaye subject ko challengeable bandaa diyaa ;-). wagarnaa meiN khoobSoorit ka apnaa maiyaar doosroaN par thansnay ki ghalati bhalaa kaise kar saktaa hooN?

aap ki moHabbat ka shukrguzaar,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Post by yasir shah »

muHtaram Khawaar SaaHib !
assalamoa'laikum

ummeed hay mizaaj-e-giraamee aChChay hoN gay -

muKhtaSaran yehee kahooN gaa keh janaab ! aap radeef nibhaa nah sakay - kaee jaghoN par zameen meN zindagee ke aacaar nazar naheeN aatay ,,aik koshish dubaarah kar leejiye-

cheh khayaal ast ?


yasir
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Post by Rehana.A »

Khawar sahib!

aap ki ghazal buhut pasand aa,i khaas too par jaan e ghazal hey yeh sher

hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.



baRa khoobSoorat takhuyyul hai :Khawar:,
woh zakhm e jigar par ridaa bandhtay haiN.

takhuyyal ki uRaan kay kya kahnay haien waah bay had khuobsuorat
daad o mubarakbaad qabooliay :-)
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

JANAB DOCTOR SAHEB.

meiN aap ka shukrguzaar hooN ke aap ne mirii ghazal par tabSiraa karnaa gawaaraa kiyaa.

aap ne likhaa.
Sohail Malik wrote: Siddique Bhai: Aadab!

Aap apni ghazal ko khubsurat qarar dainay maiN waqai haq bajanib haiN

sabhi ashaar taranum aur takhayyul e perwaz donoN kay lihaz say bohat umdah haiN

bohat saari daad qabul kijiay
mujhe iss cheez ki khushi hai ke aap ko aisaa lagaa. aor aap ki daad ke leeaye meiN shukrguzaaro hooN.

do ik guzarishaat ker daita huN

sher no. 2 aur 3 kay maani kuch Theek say mujh per wazeh nah ho sakay

yeni aanchal maiN hawa baandhnay aur der peh boria baandhnay kay khayalat khul nahiN rehay. baaqi ashaar maiN bhi jaisa keh arz kia hay takhayyul ki perwaz bohat zoroN per dikh rehi hay, laikin wahaN maani garift maiN aa rehay haiN.
ji mieN koshish kartaa hooN.

aanchal meiN hawa baandhne

jub taiz hawaa mukhaalif simt se aakar anchal uRa day toa daikhne meiN aayaa hai ke aanchal ko dobaraa kaandya par achchay tareeqay se daalnay ke leeaye haath ko poora khol kar laayaa jaataa hai aor anchaal ko waapis laane ke leeaye aanchal par zor lagaa kar hawaa ko dabaana paRta hai. aanchal meiN hawa ko dabaane ko hi mieN ne "hawaa baandhna likhaa hai"

boriyaa baandhna

is ko meiN ne boriyaa bistar daalne ke leeaye istemaal kiya hai.

zaraa sochiaye kiss ki ruswai ho gi.
agar dar pe ham boriyaa bandhtay haiN.

laikin mujhe lagtaa hai ke iss mafHoom meiN istemaal karnaa mushkal hai. doosri option

boriya bistar baandhna

ki ho sakti hai. uss ke leeaye mujhe sha'er meiN sirf khafeef tabdeeli karnaa ho gi

zaraa shochiaye kiss ki ruswai ho gi
agar dar se ham boriyaa baandhtay haiN

sher no. 6 kay misra e uula kay aakhir maiN takkhalus ki jagah 'yeh' likhnay say (jaisa keh Roman maiN aap nay likha) , woh wazan say kharij ho jaey ga.[/quote

is typo ki nishandahi ke leeaye shukriyaa. meiN ne correction kar di hai.

bohat bohat shukriyaa,

du'aa go,
MUHAMAMD K. SIDDIQUI.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

JANAB MUNIR ARMAAN NASIMI SAHEB

aap ne likhaa
munir-armaan-nasimi wrote:
muhammad_19k wrote:GHAZAL IN ROMAN

1. Jo zulfoaN ko un ki ghataa baandhtay haiN
woh sooraj ko goyaa diyaa baandhtay haiN

Bahut umda matla hai...!! Daad qobool karein.... magar EK BAAT batayein... aap apne mehboob ki zulfoan ko "Ghataa" se bhi jiyada.... maante hain..... tabhi to zulfoan ko sooraj aur ghataa ko diyaa se tasbeeh di hai..... to aap ke mehboob ki zulfoan ko aap kya samajhte hain... hamein bhi to samjhayein Bhai.....

2. hawaa jo sharat karay un se koi
woh aanchal meiN apni hawaa bandhtay haiN

Yani ke wohh... shararati logon ko/ cheezon ko... apne aanchal se baandh lete hain.................. Kahiin aap bhi hawaa ke saath bandhe hoye to nahiin....!!

Bahar haal, hawaa ko aanchal se baandhna bilkul nayi baat hai. Arbab-e-sukhan batayenge ke sahi hai ya galat.... mere jaise naa-samajh kii samajh se bahar hai ye baat. Dont Mind...!!


3. zaraa sochiaye kiss ki ruswai ho gi
agar dar pe ham boriyaa baandhtay haiN

Achcha Sher Hai.... Qadeem Ghazal ka Rang Hai. Daad qobol karein.

4. hay kia 'aashiqi 'ishaq hai kiyaa m'uamma,
ye mazmoon woh kuch judaa bandhtay haiN

Yeh Sher Bhi Achcha Hai Magar.... Misra-e-ola pe thodi si nazr-e-sani kar lein... pata nahin kyon mujhe atak na pad raha hai. Main galat bhi ho sakta hoon.

5. hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.

WAH WAH... WAH WAH.... BAHUT KHUB.....!!

6. baRa khoobSoorat takhuyyul hai ye,
woh zakhm e jigar par ridaa bandhtay haiN.
Zakhm-e-Jigar par Ridaa Bandhna.... ye kaise mumkeen hai bhai??? "Open Heart Surgery" karvana padega.....!!


Muhammad Bhai Jaan, Shairi ke maamle main.... Main Tifl-e-Maktab hoon... Umeed hai ke aap bura nahiin maanenge...!!

aap ka bhai,

Munir Armaan

meiN aap ki daad o taareef ke leeaye shukrguzaar hooN. aor rahi baat un nikaat ki jin par aap wazaaHat chahteN haiN to kia aap mujhe kuch waqt daiN ge is kaam ke leeaye?

aap ka shukrguzaar,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

JANAB YASIR SAHEB,

mairaa shukriyaa qabool kijiaye ke aap ne mujh naacheez ki ghazal par apni raa-aye di.
yasir shah wrote:muHtaram Khawaar SaaHib !
assalamoa'laikum

ummeed hay mizaaj-e-giraamee aChChay hoN gay -

muKhtaSaran yehee kahooN gaa keh janaab ! aap radeef nibhaa nah sakay - kaee jaghoN par zameen meN zindagee ke aacaar nazar naheeN aatay ,,aik koshish dubaarah kar leejiye-

cheh khayaal ast ?


yasir
aap ki raa-aye yaqeenun miray leeaye aik accaccaa hai jis ne mujhe iss ghazal par mazeed sochne ki "motivation" di hai. meiN aap ki bohat bohat shukrguzaar hooN. kia hi achaachaa hotaa ke mujhe bataa dia jaataa ke iss radeef kiss taraH nibhaayaa jaanaa chahiaye thaa.


aap ka shukrguzaar,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

SALAM REHNAA JI,

aik baar phir aap ka teh e dil se shukrguzaar hooN ke aap ne apni raa-aye se nawaazaa.
Rehana.A wrote:Khawar sahib!

aap ki ghazal buhut pasand aa,i khaas too par jaan e ghazal hey yeh sher

hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.



baRa khoobSoorat takhuyyul hai :Khawar:,
woh zakhm e jigar par ridaa bandhtay haiN.

takhuyyal ki uRaan kay kya kahnay haien waah bay had khuobsuorat
daad o mubarakbaad qabooliay :-)
Ji ye ashaar to mujhe bhi bohat pasand haiN. laikin kia kiyaa jaa-aye MUZAFFAR SB aor YASIR SB ke mutabiq radeef achchi taraH na nibhayaa gyaa. yaqeenun is ghazal par dobaaraa ghor karne ki zaroorat hai.

aap ka shukrguzaar,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

itna sab kuch log keh chuke hain ke main aur kya kahoon..bas itna kahungi ke mujhe aapke ye ashaar bahut pasand aaye..daad pesh hai khawar sahab..

2. hawaa jo sharat karay un se koi
woh aanchal meiN apni hawaa bandhtay haiN

5. hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.

wah wah..!!!

shukriya,
shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

SALAM SARAA JI

meiN aap ka bohat mamnoon hooN ke jo aap ne itna tafseeli tabSira kiyaa. aap ke tabSiaa se Haqeeqi khushi hoee.

Allah taalaa aap ko khush rakhay.

shukrguzar,

MUHAMMAD K. SIDDIQUI
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »


Jawaid SaHeb
Muzaffar SaHeb
Saraa SaHiba
Sohail SaHeb
Yasir SaHeb


meiN aap tamaam logoaN ka shukrguzaar hooN k mujhe sikhaane k leeaye aap itni meHnat kar rahay haiN. aap se multimis hooN ke nikaat par marii mazeed taSHeeH farmaa daiN. meiN apne apne aap ko defend kar ke aap ka qeemti waqt naheeN barbaad karnaa chahtaa laikin ye zaroor samajhna chaahtaa hooN ke kia ghalat hai aor kyooN?

1. jo zulfoN ko un ki ghataa baandhtay haiN
woh sooraj ko goyaa diyaa baandhtay haiN


aor molvi Muhammad Naeem ul Haq ka ye sher' daikhiaye jo pehlay to iss matlaa ka phir poori ghazal ka moharrak huwaa

jo tum apne rukhsaar ko chaand maano
to ham gaisooaN ka ghataa baandhteN haiN.

unhooN ne gaisoa-oan ko ghataa bandhaa hai. yani gaisoo ko ghataa kahaa hai. to mairaa ye khyaal hai ke agar zulf yaar ko koi ghataa kahay to aise hi hai jaise sooraj ko diyaa kahaa ja rahaa ho.

2. hawaa jo shararat karay un se koi
woh aanchal meiN apni hawaa bandhtay haiN



iss sher meiN baandhana apne lafzi m'anoaN meiN ist'emaal huwaa hai. jaise ke :aazaad: ne is sher meiN kiyaa hai.

qiamat bapaa ho gi uthhay ga fitnaa
woh juRaa naheeN ik balaa bandhtay haiN

iss sh'er meiN jooRaa bandnaa meiN baandhana lafzi m'ainoN meN ist'emaal huwaa hai.

ub rahi baat hawaa ke baandhne ki to hawaa to baandha hi naheeN ja saktaa haaN koshish ki jaa sati hai ke jub woh apnaa uRtaa huwaa aanchal theek kartay haiN to aisaa lagtaa hai ke aaNchal meiN hawaa baandhne ki koshish kar rahay haoN.

3. zaraa sochiaye kiss ki ruswai ho gi
agar dar se ham boriyaa baandhtay haiN


boriyaa baandhaa , boriyaa bistar baandhana se hi hai.

4. hay kia 'aashiqi 'ishaq hai kiyaa m'uamma,
ye mazmoon woh kuch judaa bandhtay haiN


shayed urdu bandhan par hi paRhaa tha kaheeN. "khoob kyaal baandha hai" issi se meiN ne "mazmoon baandh" diyaa :grin:

leejiaye abhi mazmoon baaNdhanaa ki sanad bhi mil gayee hai. meer anees likhte haiN.

ik phool ka mazmoon ho so rang meiN baandhooN

aor ghalib likhte haiN,

Na bandhe tashnagiye shauq ke mazmon Ghalib!
Garche dil khol ke dariya ko bhi sahil bandha


yaani "mazmoon bandhne" ki tarkeeb meiN radeef ke ist'emaal meiN koi gar bar naheeN haaN agar mafhoom Saaf naheen to issay iss taraH kar laite haiN

hay kia 'aashiqi, Husn hai kyaaa mu'ammaa
ye mazmoon ham kuch judaa baandhtay haiN.


kia kuch baat bani?


5. hameiN dijiaye 'ehdo o peemaan saaray
abhi un pe taar e wafaa bandhtay haiN.


is sh'er meiN baandhana lafzi ma'noN meN ist'emaal kiyaa hai. pehlay miSra meiN eHd o paimaan kijiaye ki bajaaye dijiaye hai. aor ye daina "give" ke ma'enoN meiN hai. muHawara meiN kiaye ki replacement naheeN. ke tum ne jo bhi eHd o paiman (doosroaN se) ki-aye huway haiN meiN un ko poora karne meiN tumharay saath hooN.

6. baRa khoobSoorat takhuyyul hai :khawar:
woh zakhm e jigar par ridaa bandhtay haiN


yahaaN bhi baandhna lafzi ma'inoaN meN ist'emaal huwaa hai. off course zakhm par chaadar naheeN baandhi jaatil laikin chaadar phaaR ka uss ka kuch Hissa hi baandhaa jaataa hai. laikin baaz auqaat ham juzv ke leeaye kul istemaal kartay haiN. jaise kaanoaN meiN ungliaN Daalna, bhalaa ungliaN kab daali jaati haiN? Sirf poraiN Daali jaati haiN.


mazeed rehnumai ka taalib

talib e ilm
MUHAMMAD K. SIDDIQUI


* blue text was added through "EDIT"
Last edited by muhammad_19k on Mon May 07, 2007 3:19 am, edited 2 times in total.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
Post Reply