Guzarish#28

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Guzarish#28

Post by bard »

Aadaab,
Apne ek tukbundi ap ke khidmat mein peesh kar raha hoon.

Image
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Bard ji,

mushairay meiN shirkat par shukriyaa aor aisi khobSoorat ghazal par daad qubool kijiaye.

Regards,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

.

Salam MUHAMMAD SIDDIQUI sahib,
Buhut shukrya.Ye mere pehle Ghazal hay is leyay ghaltian tu hongein magar ap ney phir bhe hoslaafzae ke.
Rehana.A
-
-
Posts: 76
Joined: Fri Dec 10, 2004 5:01 am
Contact:

Post by Rehana.A »

mashAllah buhut achhi ghazal hey mubarakbaad qabool kijiay .
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

moHibbee janab Bard Saahab,

Sub se pahle Urdu bandhan per aap ka istaqbaal karta hooN.
Khusaamadeed.

Aapki Ghazal pasaNd aai. Daad qubool kijiye.

Aapka MuKhlis
Jawaid Badauni
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Janaab BarD SaHib aadaab-o-tasleemaat! :-)

Bazm-e-Musha'irah meN aap kee aamad par meree janib se dilee mubarak baad aor khush aam deed!

Aap kee tashreef aawaree hamare liye baae'ic-e-musarrat hai.
mujh~e ummeed hai keh aap isee t^arH aae'indah bh~ee mushae'irooN meN tashreef laa kar mushae'irah kee shaan baRh~ate raheeN ge.

Aap kee Ghazal jo keh aap kee pehlee Ghazal hai. mubarak ho. hamare liye yeh bh~ee baRee fakhr aor khushee ka maqaam hai keh aap ne hamaree meHfil ke liye pehlee baar Ghazal kahee hai. khuda kare keh aap ka yeh qadam mubarak cabat ho aor aap is maedaan-e-adab ke fateH ban kar ubh~reeN. Ameen!

Ghazal kee rawanee aor salasat ko dekh~ kar to lagta hai keh aap baaqaae'idah mashq-e-sukhan karte haiN. aor aap ko aozaan aor deegar takneekee bareekiyooN ka bh~ee khaSah i'lm hai. yeh to baRee achch~ee baat hai. baRee khushee huee.

maashAllah Ghazal sadah aor salees hone kee wajah se baRee dilkash ho gaee hai. aap baRee aasanee aor rawanee se dil kee baat kahe jate haiN. aor rudaad-e-dil ko fit^ree andaaz meN pesh karne par Qadir haiN.
Ghazal apnee ra'naaee aor maZ^ameen kee inferadiyat ke leHaaz^ se bh~ee mutaacar kar gaee.

is nihayat kamyaab aor dilfareb Ghazal par meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye!

agle mushae'irah meN aap ka muntaz^ir rahooN ga! :-)

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Adaab Rehana Ji,
Ap jaise mustan^d shaira ko mujh nacheez ka kalam passand aya,ye jan kar mazeed likhnay ke himmat bandhe hay.Buhut Shukrya.
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »


Jawaid Badauni Sahib,
Ap ke pazarae aur dad kay leyay buhut shukrya.Ap jaissay shairon ko sun kar he kuch likh saka hon.
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Mohtram Muntazim e Ala Janab Muz^affar A Muz^affar Sahib
wAdaab aur nawazish
Itna mufuzil tajzeyay aur dad kay leyay buhut shukrya.
Agarchay Urdu mere madre azaban hay magar jaissa kay nick say zahir hay, mein English mein he shaire karta tha magar eik sal pehlay ek doost ke waja say Urdu shairy paRhnay laga.Ab bhe usse doat kay israr par yeh tukbunde kardale hay.
Ap ahbab ney mere pehle kawish ko saraha hay aur ghaltion ko nazarandaz keya hay jis kay leyay behad mamnon hon.Maclan girah kay leyay deya jane wala misra rawajan doosra hota hay,mein bhe laga sakta tha.Magar kiyonkay girah ka koe mustan^d usool nahi aur dossray Jigar sahib ka misra akhir mein laganay say koe bhe shair kuch bayrabt sa hojata hay,is leyay mein ney is ko pehla micra banaya.Ap logon ka keya khayal hay girah kay tekneke usoolon kay baray mein?
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Bird SaHib aadaab-o-tasleemaat!

yaad aawaree ke liye aap ka mamnoon hooN. yeh jaan kar baRee khushee huee keh aap English meN bh~ee she'er kehte haiN. aSl cheez to iz^haar-e-kheyaal hai. chahe woh kisee bh~ee zabaan meN ho. har zabaan ka apnaa rang-o-Aahang hotaa hai. apnee chaashnee hotee hai. lekin in sab par bherHaal maadree zabaan hee sabqat le jatee hai. jo baat ham madree zabaan meN keh sakte haiN. dusree zabanooN meN woh kaefiyat aor lazzat meHsoos naheeN hotee.

maiN to aap ko yahee mashwarah denaa chahooN gaa. keh aap donooN zabaanooN meN likh~eeN. aor yooN apne fan aor SalaHiyat ko baru-e-kaar laeeN. aaj Z^arurat hai keh sanjeedah adab takhleeq kiya jae. aap jaese naojaawaan is kaam ko le kar aage aaeeN. aor apne kamaal-e-fan se adab kee khidmat kareeN. kiyooN keh aakhir yeh baar aage jaa kar ham ne hee uTh~anaa hai. jo buzurg aaj kaam kar rahe haiN kiya woh hameshah zindah-o-salamat raheeN. aaj se 30/40 saal ba'd un meN se kitnee maojood hooN ge. to kaam kaon kare ga?

aap ne t^arHee miSra' jaesaa keh aap ne likh~aa bh~ee hai. keh aap ne bat^aor-e-miSra'-e-ulaa ke baandh~aa hai. mere nazdeek to is meN koee qabahat naheeN. balkeh maiN ne bh~ee Mushaeirah.org ke t^arHee mushae'irah ke liye aesaa kiyaa hai. maiN to samajh~taa hooN keh aadmee un Ghalit^iyooN se daman bachaaeY jin kee wajah se insaan gunehgaar qaraar diyaa jaa saktaa hai. yeh meree naqaS see raeY hai. mumkin hai dostooN ko is se ittefaaq nah ho. lekin dekh~aa geyaa hai keh asaatezah karaam jo khud Qeyaas-o-ijtehaad kee madad se adabee qanoon saazee karte haiN lekin kaheeN kaheeN khud bh~ee :bawaqt-e-Z^arurat: us Qanoon se inHeraaf kee raah ikhteyaar karte dikh~aee dete haiN.

faqeer kee raY to yeh hai. keh har maedaan meNchae woh zindagee ka koee bh~ee shao'bah ho naeta'meeree tajrubaat karte rehnaa chahiye taa keh us shuo'bah meN mazeed taraqqee aor farooGh kee naee raheeN kh~ul sakeeN. aor yooN us fan kaa daman bh~ee wasea' ho jaeY.

khaer! aap kee is kamyaab koshish par aek baar pir aap ko dilee mubrak baad denaa chahataa hooN. quboolmkeejiye!

Muz^affar A Muz^affar
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Adaab Bard jee...Sab se pehle to aap ka bahut sukriya jo aapne hamare kehne pe is tarahi misre pe ghazal likhi aur khoob likhi,,,guzaarish hai ke aap ROMAN mein bhi ghazal post kar dein taakeh hum sheron ko quote karke apni raaye de sakein..shukriya...aur han khushaamadeed bzm mein:)

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Muzaffir Sahib, Ek uljhan c the zehan mein girah kay barey mein jo ap ney rafa karde.Shukrya.English mein shaire yon bhe assan hay kay kae rhyming dictionaries online hain.Hamein bhe chahyay kay eik dictionary banaein jis mein tamam radeef aur qafiay online mil jaein,is say nayay likhnay walon ko buhut madad milay ge.
Insane hayat kay pasmanzr mein tu ghalate kay kuch alag mafhom nikalte hain magar jaissa ka St.Jerechome ney kaha hay `khata karna insaan honay ke daleel hay`Hamein dua yay karne chayay kay agar koe ghalate hojayay tu wo maaf karde jayay.

ZAHERE TAN KAY LAYAY MANGON NA KOE KAPRA
JO MERAY AIB CHUPAYAY WOHE CHADDAR MANGON
Mohammad Abid
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Adaab Bard jee...Sab se pehle to aap ka bahut sukriya jo aapne hamare kehne pe is tarahi misre pe ghazal likhi aur khoob likhi,,,guzaarish hai ke aap ROMAN mein bhi ghazal post kar dein taakeh hum sheron ko quote karke apni raaye de sakein..shukriya...aur han khushaamadeed bzm mein:)


wAdaab Shummu Ji,
Buhut shkrya ap ke himmat afzae kay leyay.Zaroor, When in Rome do as Romans do and when on net write as Romans do.

Sunna hay kay wo mere ghar aa rahe hain
Na pane pay maqsood ham pa rahe hain

Ba uz o sharaf aj bulwa rahe hain
Takalaf ye keyon ap farma rahe hain


"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"
Kay khud ko ganwan kay tujhe pa rahe hain

Yeh dunya tu hay assal mein qeed khana
Jahan katay apne saza ja rahe hain

Hain logon mein mashoor jo parsa say
Wohii hain wohii ju sitam dha rahe hain

Keyon day kar gaye the mujhe wo dilasa?
Jo ab un kay khat munquta aa rahe hain

Yunhe doostana murrawat he rakhlain
Kabeeda kabeeda say ham aa rahe hain

Jo hotay na hum tu sitam hote kis par
Kay hone ke khatir mitay ja rahe hain

Tere zindage mein ujala hay lekin
Hujoom e raqeeban say ghabra rahe hain

Mere dil kii baste mein bastein the yadein
Magar eik lamhay mein wo dha rahe hain

yahii kal ko tuhmat darhein ge hazooron
Ye Jo aj ham ko buhut bha rahe hain

Unhein pher say hoga banana tamasha
Hamein wo jo mehfil mein bulwa rahe hain

Kahan apnii marzii say kuch karnay paye
Khushe ka he dhoka jo ham kha rahe hain
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

bard wrote:
Sunna hay kay wo mere ghar aa rahe hain
Na pane pay maqsood ham pa rahe hain
ahem ahem achha :wink:
Ba uz o sharaf aj bulwa rahe hain
Takalaf ye keyon ap farma rahe hain
aaiye tab bataate haiN :twisted:

"muHabbat meN yeh kiya maqaam aa rahe haiN"
Kay khud ko ganwan kay tujhe pa rahe hain
wah saadi magar acchi girah hai!!! :-)
Yeh dunya tu hay assal mein qeed khana
Jahan katay apne saza ja rahe hain
jee beshak....
Hain logon mein mashoor jo parsa say
Wohii hain wohii ju sitam dha rahe hain
aah kya baat keh di aapne.....wah....
Keyon day kar gaye the mujhe wo dilasa?
Jo ab un kay khat munquta aa rahe hain
ghazal ka bahut khoobsurat sher hai....daad pesh hai...
Yunhe doostana murrawat he rakhlain
Kabeeda kabeeda say ham aa rahe hain
ye kabeeda kabeeda kya hota hai??hmmm?? :shock:
Jo hotay na hum tu sitam hote kis par
Kay hone ke khatir mitay ja rahe hain
oye hoye...kya kehne..wah wah...
Tere zindage mein ujala hay lekin
Hujoom e raqeeban say ghabra rahe hain
rabt samajh nahi aaya misron meiN :?
Mere dil kii baste mein bastein the yadein
Magar eik lamhay mein wo dha rahe hain
sahi aisa hi hota hai aksar.... :cry:
yahii kal ko tuhmat darhein ge hazooron
Ye Jo aj ham ko buhut bha rahe hain
accha aap ko pehle se pata hai..aap kahin najoomi to nahi :twisted:

Unhein pher say hoga banana tamasha
Hamein wo jo mehfil mein bulwa rahe hain
ok ok sher hai....
Kahan apnii marzii say kuch karnay paye
Khushe ka he dhoka jo ham kha rahe hain
ye sher bhi kuch theek se samajh nahi aaya :shock:


majmoi taur pe acchi koshish hai so daad pesh hai...zor-e-qalam aur ziyaada...ummeed hai waqt ke saath aap behtar se behtar likhte jaayeiN... :grin:

Khush rahein!

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
bard
-
-
Posts: 16
Joined: Sat Feb 04, 2006 9:23 am

Post by bard »

Adaab Sara Sahiba.
Nawazish,bahut shukriya.
Yahan kalam parhnay kay leyay member hona lazme hay tu mein sirf parhnay wala he member hon keyonkay yahan zeyada tar loog persian script mein kalam post kartay hain aur Urdu parhnay ka assal lutf tu isse mein hay.Baad mein har forum par rashid_166 ka nick banya tha takay kuch hissa bhe le sakon.

ASHAFTA SAR JO LOG HAIN MUSHKIL PASSAND HAIN
MUSHKIL NA HO JO KAM TU ASSAN BHE NA HO
Post Reply