main bhi bazm main aap ko Khush amadeed kehti hooN....aap nay kaha aap ko Urdu thik say bolni ya paRhni nahiN aati ..... lekin is ke bawujood aap ko shairi say ladao hai aur likhti bhi haiN mashaAllah...tou janab!!....muhabbat tou Khud bohut say maraahil aasan kar deti hai....aap ki urdu say muhabbat bohut jald aap ko paish aanay wali dushwaariyoN say nimatna sikha day gi...inshaAllah
umeed hai aap ka waqt yahaN acha guzray ga
Nigaah
Nighaah ji haN sach hi to hai ke mujhe urdu nahi aati magar , jab se urdusites ke hawale se dostoN se rabta raha mai ne bahut improve ki urdu aur shayeri bhi inhi dostoN ki mahrbaani se parwan chahrhi aur aap jaise mukhlis aur achay dostoN ki sohbat mazeed faida degi inshallah.
Aap ke site ki kaafi taareef suni kisise, isiliye kuch shayri aur kuch dosti ki umeed se yahaan aayee hoon.
Naam Safiya Ali, Paydayeesh Bombay, kaafi arsa Dubai me guzaarne ke baad ab yahaan Houston TX USA me mukeem hoon. Karachi se bhi kaafi gehraa taaluq haiy.
Yun to shayri ka shauk bachpan se haiy, maghar ab jaakar thoDa bohot samajh paayi hoon, Bombay aur Dubai me taalim paane ki vajah se mujhe aaj bhi sahee Urdu bolni ya paDhni nahi aati haiy, aur likhni to bilkul nahi. Aur phir bhi main shayri karne ki koshish karti rehti hoon, kuch acche doston ki hausla-afzai haiy varna kisi ke saamne pesh karne ki himmat nahi thi. Aaj-kal to kheyr kuch likh nahi paati hoon, maghar kuch poorani cheezen hain jo aapke saamne pesh karna chahti hoon aghar aap logh ijazat den.
"hum aaye unke ghar humaari kismet haiy
chahe vo humse milke khush huve na huve"
SAFIYA....
Azeezi Safiyaa SaaHeba:
Aadaab-o-tasleemat
bohat bohat maa'zrat khwah hooN ke aap ki iss laRee par meree nazar naheN paRee. aap ka khud ko introduce karvaane ka andaaz bohat pasand aayaa.
yeh aap kee hi bazm hai. urdu ke shedahiyooN kee jagaa.
meiN bhi dil kee ghairahiyooN se aap ka iss bazm meN istiqbaal kartee hooN. :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose
(go ke bohat dair kee ham ne bhi, aate aate ... magar yaqeen hai ke aap iss ka buraa naheiN manaheN gii. :) )
Khush rahiye
Khair andesh
Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)