t^arHee miSra' Guzarish#29 Jun, 2007 pesh-e-khidmat hai.

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

t^arHee miSra' Guzarish#29 Jun, 2007 pesh-e-khidmat hai.

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Moa'azziz Khawaateen-o-HaZ^araat
aadaab-o-tasleemaat! :rose


Guzarish#29 Jun, 2007 ke liye miSra'-e-t^arH pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah farmaiye.


"tamaam U'mr Guzaree hai raaei'gaN maiN neY"

Shae'ir, Janaab-e-Anwar Badauni.
Sadr-e-Mushaae'rah, Ustaad-e-Sukhan Janab Abdullah Nazir.
Mehmaan-e-khuSuSee, mo'tabar Shaae'ir Janaab-e-Sarwar A'alam Raz Sarwar.


BeHer kee yeh shakl beHer-e-Mujtac makhbon meHz^of maqt^o' kehlaatee hai.
mu faa e' lun.....fa e' laa tun.......mu faa e' lun......fao' lun.
1212.....1122......1212......22
slsl........ssll.........slsl........ll
//0//0....///0/0.....//0//0..../0/0


Qawafi, raei'gaaN, gulsitaaN, baaGhbaaN, namkdaaN, daastaaN, mehrbaaN WaGhaerah.
Radeef, maiN neY.

Mujhe Qawee ummeed hai keh aap sab dost diye gaeY t^arHee miSra' par t^aba' Aazmaa kar khaadim ko shukriyah adaa karne kaa maoqa' faraham kareeN geY.

Aap kaa khaadim
muz^affar A Muz^affar
Last edited by Muzaffar Ahmad Muzaffar on Fri Jun 29, 2007 10:16 pm, edited 1 time in total.
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

shurakaa-e-moshairaa

URDUBANDHAN.COM ki jaanib se ab tak ke shurkaa e mushairaa

June 01, 2007---Janab Jawaid Badaui SaHeb - http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4613
June 04, 2007---Janab Haamid Baaqri SaHeb - http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4630
June 04, 2007---Janab Muzaffar Ahmed Muzaffar SaHeb - http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4635
June 07, 2007---Janab Muhammad K. Siddiqui SaHeb - http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... php?t=4646
June 08, 2007--- Janab Muzaffar Ahmed Muzaffar SaHeb - http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... 1&forum=20


ka teh e dil se shukriyaa adaa kiyaa jaataa hai. ham umeed karte haiN ke aap farogh e urdu ke leeaye issi taraH baRh chaRh kar HiSSa laite rahaiN ge.

Shukriyaa.
Last edited by muhammad_19k on Sat Jun 09, 2007 4:40 am, edited 3 times in total.
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram M. Khawar SaHib aadaab!

Ummeed hai bakheriyat hooN ge. aap kaa ta'awun ke liye mamnoon hooN. shukriyah!
khush raheeN aor isee t^arH Urdu adab ke liye sargarm-e-a'amal reh kar meHfil ko sajaeY rakheeN.

Wassalam
Muz^affar A Muz^affar
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Janab Muzaffar Ahmed Muzaffar SaHeb

ko doosri ghazal paish karne par mubarakabaad. Muzaffar SaHeb ki ghazal ka link ye hai,

http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/vie ... 1&forum=20
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

[align=left]


Yeh doosree aur teesree ya chauthee shaadee waali baat tou maiN ne sunee thee yahaN Arab meN iska riwaaj Aam hai. Meri Nazm Aqde Saanee zahn.e aali meN mahfooz hogee magar...ek hi zameen meN doosree ghazal ????????????????


Jawaid
[/align]
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

Aadaab! :lol:

jin ko shaadiyaaN karne kee taofeeQ mile unhooN ne shaadiyaaN keeN.
aor ham jaese jin ko yeh taofeeQ nah mil sakee to baqadr-e-taofeeQ GhaZal keh lete haiN.

wohee baat jo pehle a'rZ^ kee thee keh agar meree teen beewiyaaN hoteeN to phir teen teen GhaZal nah kehtaa........yeh GhaZleeN darSl eHsaas-e-meHroomi kaa iz^haar hee to hai. :-)

agar koee meree teen shadiyaaN karwaa de to maiN teen teen GhaZleeN kehnaa chooR detaa hooN. :lol:

lekin teen bewiyooN ke hone se she'er kehnaa tark naheeN karooN gaa. is liye keh apnaa :marciyah: kehne kee Z^arurat to qadam qadam par rahe gee. :lol:
Muz^affar
Post Reply