Ghazal: Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee...

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Munawwar
-
-
Posts: 62
Joined: Fri Mar 03, 2006 7:26 pm

Ghazal: Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee...

Post by Munawwar »

'Azeez dosto,

BaRe dinoN ba'd ek ghazal kahne kee furSat milee. Ummeed hai ke aap sabkee pasandeedagee ke laaiq hogee. Pesh-e-khidmat hai ghazal:

Raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee

raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee
to soch shehr meN kyaa teri aabroo hotee?

na tere dil meN tamannaa-e-rang-o-boo hotee
na qaid bulbul-e-shaidaa qafas meN too hotee.

jalaa hai khaana-e-dil! khoob hai ke kuchh na rahaa
ke ham bhi jalte agar dil meN aarzoo hotee

rajaa naheeN ke wo beemaar daar ho, lekin,
zaraa si pursish-o-lutf-o-du'aa ki khoo hotee

yeh naa tawaani-e-deedah, yeh zakhm-e-kaari-e-dil!
ke mar hi jaate wo Soorat jo roo bah roo hotee

hai aagahee ko musalsal talaash-e-beshee, Haif!
na chashm waa huee hotee, na justjoo hotee

tujhe guzarte hue dekhtaa shab-e-furqat
miree galee meN agar meHfil-e-'adoo hotee

gilah jo karte, Munawwar, sitam zareef se ham
a'bac hamaari hi ruswaa'i chaar soo hotee

-----------------------------------------------------------------------
Ummeed hai ke aap sab apne khayaalaat kaa izhaar kareNge. MaiN aap sab kee rahbaree kaa muntazir rahuNgaa.

Shukriyah
Munawwar
Bhaswar Dasgupta "Munawwar"
------------------------------------
Kabhii khursheed kii raunaq pe chhaayaa thaa nashaa yaaroN
Sunaa hai ke usii din ko "Munawwar" jee huyeN paidaa!
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »


moHtaram Munawwar SaaHib aadaab!

aek a'arSah ba'd aap se sharf-e-mulaqaat naSeeb ho rahaa hai. kaese mizaaj haiN. ummeed hai kheriyat se hooN ge.
aap kee taZah Ghazal dekhee bohot khubSuaratee se aap ne apne asha'aar kahe haiN. shabhee she'er qabil-e-daad haiN.
is HaseeN koshish par meree dilee dad aor mubarak baad qubool keejiye.

mujhe ummeed hai keh ab aap meHfil meN baqaae'idagee se tashreef late raheeN ge. aor apne munfarid aor dil paZeer kalam se mustafeed hone kaa sunehraa maoqa' faraham karte raheeN ge.


raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee
to soch shehr meN kyaa teri aabroo hotee?

Waah Waah!

na tere dil meN tamannaa-e-rang-o-boo hotee
na qaid bulbul-e-shaidaa qafas meN too hotee.

Kiyaa kehne Waah Waah!

jalaa hai khaana-e-dil! khoob hai ke kuchh na rahaa
ke ham bhi jalte agar dil meN aarzoo hotee

Bohot khoob!

rajaa naheeN ke wo beemaar daar ho, lekin,
zaraa si pursish-o-lutf-o-du'aa ki khoo hotee

Kiyaa kehne! Waah!

yeh naa tawaani-e-deedah, yeh zakhm-e-kaari-e-dil!
ke mar hi jaate wo Soorat jo roo bah roo hotee

Bohot khoob Waah Waah Kiyaa kehne!

hai aagahee ko musalsal talaash-e-beshee, Haif!
na chashm waa kiye hote, na justjoo hotee

Bohot khoob!

tujhe guzarte hue dekhtaa shab-e-furqat
miree galee meN agar meHfil-e-'adoo hotee

Kiyaa Kihne Waah!

gilah jo karte, Munawwar, sitam zareef se ham
a'bac hamaari hi ruswaa'i chaar soo hotee

Bohot khoob Waah Waah Kiyaa kehne lajawaab hai Waah Waah!

Munawwar SaaHib bohot hee haseeN aor dilkash Ghazal a't^aa kee hai meree dilee daad aor mubarak baad qubool keejiye.

Wassalam
Muzaffar A Muzaffr

User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Munawar SaHeb,

ye sach hai ke intne 'arSaa ke ba'aad aap ko yaahaaN daikh kar bohat khushi ho rahi hai. aap un moHtaram hasteeoN meN se haiN jo urdu zabaan se moHabbat karte haiN aor is ke leeaye kissi na kissi taraH se meHnat kar rahaiN haiN. is se baisther bhi aap ki ghazlaiN parHne ka ittefaaq huwaa hai. aap ke maazameen aor andaaz hamesha hi mutacir kun rahaa hai. zair nazar ghazal ke tamaam ashaar achhchhay lagage laikin meN Hasbe aadaat pasandeeda tareen ash'aar aliahdaa karne ki koshish kartaa hooN kyooN ke is se likhne walay ko (miray nazdeek) kaafi madad milti hai.


ye ash'aar bohat shaandaar lagay.

raqeeb se miri ulfat ki guftagoo hotee
to soch shehr meN kyaa teri aabroo hotee?

jalaa hai khaana-e-dil! khoob hai ke kuchh na rahaa
ke ham bhi jalte agar dil meN aarzoo hotee

tujhe guzarte hue dekhtaa shab-e-furqat
miree galee meN agar meHfil-e-'adoo hotee


is ke allawaa aik sher meN zakm e kaari oar zakhm e dil ka majmoo' zakhm e kaari e dil kuch naa maanoos laga. mujh shak hai ke kyaa ye qaabil e istemaal hai?

Regards,
Muhammad K. Siddiqui
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
rukhsar
-
-
Posts: 40
Joined: Wed Jul 25, 2007 1:15 am
Location: Bahrain
Contact:

Post by rukhsar »

wah munawwar sahib wah ( aadab )
abhi aapki yeh ghazal paRhi wah janab bhut achchay asha,ar haiN khaskar mat,la sher no 1 sher no 3 sher no 6 mujhay bhut pasand aay waaaaaaaaaaaaaaaaaah janab waaaaaaaaaaaaaaaah
allah karay zore-e qalam aur ziyaada . daad qubool kejey ..............
rukhsar
Post Reply