Ghazal..Guzarish #3

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Ghazal..Guzarish #3

Post by nigaah »

Assalam alaikum

Guzarish # 3 per meri adnaa si koshish haazir hai...

muhabbat say jab tak ibaadat na hogi
kisi kaam ki ye riyaazat na hogi....!!!

lutaai hai Khud zindagi jaan-o-dil say
na samjho ke hum maiN faraasat na hogi

bhalaa kiuN kahaiN tum say ulfat nahiN hai
abb iss maiN tou hum say siyaasat na hogi

kisi ko tabassum, kisi ko tawajju
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi"

raqeeboN ke aagay bichay jaa rahay ho
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi" :evil:

yeh waada karo abb na ruTho gay hum say
kaho, phir kabhi ye shikaayat na hogi

milaiN wo kabhi ajnabi banke hum say
nahiN!! is say baRhke qayaamat na hogi

sunaaieN tou kab daastaaN un ko apni
kabhi thi, na hai unko fursat, na hogi!!

aaKhir ke 2 ashaar ka aapas maiN talluq hai...jo Ghazal ke usooloN ke Khilaaf hai...lekin chooNke likhay thay tou yahaN bhi type kar deti hooN...

kiya arz,"mehfil maiN gar beth jaooN
hai umeed koi qabaahat na hogi"

kaha,"bethna chaahtay ho tou betho
magar bolnay ki ijaazat na hogi !!"

Nigaah
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »

MuHtaramah
NIGAH Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Guzarish No.3 ke misreA per aapki TaraHi ghazal bahut achchi hei, beHad pasand aayi khaaskar ghazal ke aakhiri 5 sheAr.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/b]
Anis Hasan
-
-
Posts: 40
Joined: Sun Feb 06, 2005 8:38 pm
Location: karachi
Contact:

Post by Anis Hasan »

Mohtarma Nigah diyay gayay misray par buhat achi tarhee ghazal likhi hai aap nay saada aur dilkash bharpoor daad qabool kijiyay.
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Re: Bahut khoob

Post by nigaah »

Abdullah Nazir wrote:
MuHtaramah
NIGAH Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Guzarish No.3 ke misreA per aapki TaraHi ghazal bahut achchi hei, beHad pasand aayi khaaskar ghazal ke aakhiri 5 sheAr.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/b]

Janaab Abdullah Nazir Sahab!!

aap jese aala paye ke shaair jab meri kisi adnaa kaawish ko saraah daiN tou bohut hausla milta hai...... saath hi ye itmenaan bhi ho jata hai ke ashaar main koi aieb hota tou wo bhi aap ki nazr-e-ameeq say bach nahiN sakta tha......yani ek tarah ka "check" ho jata hai........daad aur mubaarakbaad ke liye shukarguzaar hoooN...

Nigaah
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Re: Ghazal..Guzarish #3

Post by jawaid badauni »

nigaah wrote:Assalam alaikum

Guzarish # 3 per meri adnaa si koshish haazir hai...

muhabbat say jab tak ibaadat na hogi
kisi kaam ki ye riyaazat na hogi....!!!

lutaai hai Khud zindagi jaan-o-dil say
na samjho ke hum maiN faraasat na hogi

bhalaa kiuN kahaiN tum say ulfat nahiN hai
abb iss maiN tou hum say siyaasat na hogi

kisi ko tabassum, kisi ko tawajju
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi"

raqeeboN ke aagay bichay jaa rahay ho
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi" :evil:

yeh waada karo abb na ruTho gay hum say
kaho, phir kabhi ye shikaayat na hogi

milaiN wo kabhi ajnabi banke hum say
nahiN!! is say baRhke qayaamat na hogi

sunaaieN tou kab daastaaN un ko apni
kabhi thi, na hai unko fursat, na hogi!!

aaKhir ke 2 ashaar ka aapas maiN talluq hai...jo Ghazal ke usooloN ke Khilaaf hai...lekin chooNke likhay thay tou yahaN bhi type kar deti hooN...

kiya arz,"mehfil maiN gar beth jaooN
hai umeed koi qabaahat na hogi"

kaha,"bethna chaahtay ho tou betho
magar bolnay ki ijaazat na hogi !!"

Nigaah

Azeeza nagaah Sahibah,

Aapki Ghazal bahut pasaNd aaye. Khusoosan "Tazmeen" ka to jawab hi nahiN. Kya sada aur khubsurat grah lagayee hai Bibi. Meri janib se daad.o.tahseen qubool farmaiye.

Khoosh raheN aur aise hi kahtee raheN.

Apka Mukhlis,

Jawaid Badauni
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Re: Bahut khoob

Post by nigaah »

Janab Jawaid Badayuni Sahab ..

aap ki hausla afzaai mere liye bohut qeemti hai ....aap ki daad aur mubarak baad ke liye saraapa tashakkur hooN ....

umeed hai aaienda bhi aap ki inaayat rahay gi...

Nigaah
Last edited by nigaah on Sun Mar 13, 2005 12:44 pm, edited 1 time in total.
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Post by nigaah »

Anis Hasan wrote:Mohtarma Nigah diyay gayay misray par buhat achi tarhee ghazal likhi hai aap nay saada aur dilkash bharpoor daad qabool kijiyay.

Anis Hasan Sahab

zarra nawaazi hai aap ki....bohut shukariya ...:)

Nigaah
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Ghazal..Guzarish #3

Post by Mahtab Qadr »

nigaah wrote:Assalam alaikum

Guzarish # 3 per meri adnaa si koshish haazir hai...

muhabbat say jab tak ibaadat na hogi
kisi kaam ki ye riyaazat na hogi....!!!

lutaai hai Khud zindagi jaan-o-dil say
na samjho ke hum maiN faraasat na hogi

bhalaa kiuN kahaiN tum say ulfat nahiN hai
abb iss maiN tou hum say siyaasat na hogi

kisi ko tabassum, kisi ko tawajju
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi"

raqeeboN ke aagay bichay jaa rahay ho
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi" :evil:

yeh waada karo abb na ruTho gay hum say
kaho, phir kabhi ye shikaayat na hogi

milaiN wo kabhi ajnabi banke hum say
nahiN!! is say baRhke qayaamat na hogi

sunaaieN tou kab daastaaN un ko apni
kabhi thi, na hai unko fursat, na hogi!!

aaKhir ke 2 ashaar ka aapas maiN talluq hai...jo Ghazal ke usooloN ke Khilaaf hai...lekin chooNke likhay thay tou yahaN bhi type kar deti hooN...

kiya arz,"mehfil maiN gar beth jaooN
hai umeed koi qabaahat na hogi"

kaha,"bethna chaahtay ho tou betho
magar bolnay ki ijaazat na hogi !!"

Nigaah
Nigaah sahiba
salam e masnoon
wah wah bahut khoob nigah ji aap ki ghazal bahut pasand aai , balke aapke ashaar se aapki kuhna mashqi ki khushbu aarahi hai, aakhri ke do sher jo qataband haiN ghaleban waqiaati haiN . ghazal se unka talluq na hote huve bhi sher achay lagay.
shukria
Mahtab Qadr
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: Ghazal..Guzarish #3

Post by tahira Masood »

Nigaah ji

tasleemaat!

Mashalah bohat hi Haseen kalaam inaayat kiya aaap ne. muslasal aur arwaaN. nehaayat sheereeN.

dilee daad ki mustaHiq haiN aap. khush rehaiN.

wassalam
live and let live

Image
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Re: Ghazal..Guzarish #3

Post by nigaah »

Mahtab Qadr wrote:

Janab Mahtab Qadr Sahab!!

aap ki daad ke liye mamnoon thehri ..... bohut shukariya....aakhir ke 2 ashaar ke baaray maiN aap ka andaza durust hai...lekin behter hota agar ye 2 ashaar ek shair ki shakls maiN hoty .....yani agar Ghazal ki bahr 8 rukni fa'oolun hoti.... tab ye ek hi mazmoon ke aaienaadaar hotay aur Ghazal ka hissa bhi hotay.....

baharkaif...daad ke liye aap ka shukariya ...:)...koi Khaami dekhaiN tou us per bhi bila tawaqquf meri tawajju mabzool karwaaiye....

Nigaah
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Re: Ghazal..Guzarish #3

Post by nigaah »

tahira Masood wrote:
nigaah wrote:Assalam alaikum

Guzarish # 3 per meri adnaa si koshish haazir hai...

muhabbat say jab tak ibaadat na hogi
kisi kaam ki ye riyaazat na hogi....!!!

lutaai hai Khud zindagi jaan-o-dil say
na samjho ke hum maiN faraasat na hogi

bhalaa kiuN kahaiN tum say ulfat nahiN hai
abb iss maiN tou hum say siyaasat na hogi

kisi ko tabassum, kisi ko tawajju
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi"

raqeeboN ke aagay bichay jaa rahay ho
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi" :evil:

yeh waada karo abb na ruTho gay hum say
kaho, phir kabhi ye shikaayat na hogi

milaiN wo kabhi ajnabi banke hum say
nahiN!! is say baRhke qayaamat na hogi

sunaaieN tou kab daastaaN un ko apni
kabhi thi, na hai unko fursat, na hogi!!

aaKhir ke 2 ashaar ka aapas maiN talluq hai...jo Ghazal ke usooloN ke Khilaaf hai...lekin chooNke likhay thay tou yahaN bhi type kar deti hooN...

kiya arz,"mehfil maiN gar beth jaooN
hai umeed koi qabaahat na hogi"

kaha,"bethna chaahtay ho tou betho
magar bolnay ki ijaazat na hogi !!"

Nigaah
Nigaah ji

tasleemaat!

Mashalah bohat hi Haseen kalaam inaayat kiya aaap ne. muslasal aur arwaaN. nehaayat sheereeN.

dilee daad ki mustaHiq haiN aap. khush rehaiN.

wassalam
Tahira Masood sahiba

bohut acha laga aap ke taassuraat jaan kar....ye kaawish aap ko achi lagi....qadr afzaai hai meri .....

daad ke liye bohut shukariya

Nigaah
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Re: Ghazal..Guzarish #3

Post by Hashmat Usmani »

salaam Nigaah saaHiba,

ummeed hai ki aapke mizaaj e giraamii ba_Khair hoNge.

aapkii taraHii Ghazal nazar guzaar huii. aapkaa kalaam hameN bahot bhaayaa hai. masha allah aapne Khoob kaamiiyaab Ghazal kahii hai. merii jaanib se DheroN mubaarak_baad qubool kijiiye.

jab do ash'aar aapas meN Khayaal kii buniiyaad par marboot hote haiN to unheN qit'a kah lete haiN aur iskii qata'ii ijaazat hai usool e Ghazal goyii kii roo se...bas aap do ash'aar ke beech Harf-e-"qaaf" raqam kar dijiiye.

aapkii Ghazal kaa har she'r Khoob hai balki ek dusre se Khoob_tar hai. mubaarkaaN.

Hashmat
Image
User avatar
irfan barabankwi
-
-
Posts: 69
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:25 pm
Location: jeddah
Contact:

wah bahut khoob

Post by irfan barabankwi »

mohtaramh

NIGAAH SAAHIBAH

purkhuloos tasleemat

aaj aapki ghazal meri nigaah se guzri. waah bahut umdah ghazal hai.
meri taraf se dili daad aur mubarakbad qubool kareiN.

khiar andaish

irfan barabankwi
iHtisab apne naqaayis ka mujhe aataa hei
Saare Aalam ki maiN taqseer kahaN tak dekhuN
Irfan Barabankwi.
nigaah
-
-
Posts: 44
Joined: Sun Jan 02, 2005 12:55 pm

Post by nigaah »

Sara Sahiba

Assalam alaikum

aap ki hausla afzaai say dil ko Khaatir Khuaah taqwiyat hui....:-) ....aayenda bhi nazar famaati rahiye.....daad aur mubaarakbaad ke liye maiN mamnoon thehri.....

Nigaah
Post Reply