Guzarish # 3 per meri adnaa si koshish haazir hai...
muhabbat say jab tak ibaadat na hogi
kisi kaam ki ye riyaazat na hogi....!!!
lutaai hai Khud zindagi jaan-o-dil say
na samjho ke hum maiN faraasat na hogi
bhalaa kiuN kahaiN tum say ulfat nahiN hai
abb iss maiN tou hum say siyaasat na hogi
kisi ko tabassum, kisi ko tawajju
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi"
raqeeboN ke aagay bichay jaa rahay ho
"idher kiya nigaah-e-muhabbat na hogi"

yeh waada karo abb na ruTho gay hum say
kaho, phir kabhi ye shikaayat na hogi
milaiN wo kabhi ajnabi banke hum say
nahiN!! is say baRhke qayaamat na hogi
sunaaieN tou kab daastaaN un ko apni
kabhi thi, na hai unko fursat, na hogi!!
aaKhir ke 2 ashaar ka aapas maiN talluq hai...jo Ghazal ke usooloN ke Khilaaf hai...lekin chooNke likhay thay tou yahaN bhi type kar deti hooN...
kiya arz,"mehfil maiN gar beth jaooN
hai umeed koi qabaahat na hogi"
kaha,"bethna chaahtay ho tou betho
magar bolnay ki ijaazat na hogi !!"
Nigaah