Dosto!
Aadaab
Urdu Duniya ke mahana tarahee mushaireh ke liye maiN ne bohat
sada see ghazal kahee hai jo aap ki nazr bhee kar raha hooN.
Ummid hai apni aara se nawazeNge.
Aapka MuKhliS
Jawaid
bunke raihbar jo rahzanee ki hai
tum ne tauheen.e raihbaree ki hai
shairee per nah kyuun ho naaz mujhe
“Meer.o.Ghalib” ki pairawee ki hai
woh jo kahta tha buzdili hai Haram
aaj usne hi Khud kushee ki hai
dil meN jo Gham chhupa ke rakhkha hai
yeh amaanat bhi aap hi ki hai
jaadaa-e ishq ke haiN raihro hum
“har qadam hum ne aashiqui ki hai”
sher duniya ko Khud bataa deNge
yeh Ghazal kaun see Sadee ki hai
turk-e ulfat ka phir bhi Gham hai unheN
waise yeh baat tou Khushee ki hai
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
--------------------------------------------------------------
Tarahee Ghazal Urdu Duniya
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Biradaram Janab Jawaid Badauni SaaHib aadaab!
aap kee Ghazal mulaHiZ^ah kee kiyaa kehne maashAllah sabhee she'er khubSuratee haiN. aor khaaS t^aor par
yeh she'r to Jaan-e-Ghazal hai.
shairee per nah kyuun ho naaz mujhe
“Meer.o.Ghalib” ki pairawee ki hai
puree Ghazal mat^la' se maqt^a' tak aap kee she'ree khuda'temadee aor apne qalam par aa'temaad-o-yaqeen kee e'lamat bhee ban gaee hai. kalam meN Ghazal ke sabhee taqaZ^ooN ko zehen nasheeN rakhaa geya hai. yahee wajah hei keh asha'aar meN qudratee rang-e-iz^haar jhalak aayaa hai.
bunke raihbar jo rahzanee ki hai
tum ne tauheen.e raihbaree ki hai
Kiyaa kehne! Waah! Waah!
shairee per nah kyuun ho naaz mujhe
“Meer.o.Ghalib” ki pairawee ki hai
Bohot Khoob! Waah, Waah,
woh jo kahta tha buzdili hai Haram
aaj usne hi Khud kushee ki hai
Waah, Waah,
dil meN jo Gham chhupa ke rakhkha hai
yeh amaanat bhi aap hi ki hai
Kiyaa kehne Waah, Waah
jaadaa-e ishq ke haiN raihro hum
“har qadam hum ne aashiqui ki hai”
Waah, Waah, Waah
sher duniya ko Khud bataa deNge
yeh Ghazal kaun see Sadee ki hai
Kiyaa kehne!
turk-e ulfat ka phir bhi Gham hai unheN
waise yeh baat tou Khushee ki hai
Waah!
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
Bohot Khoob! Waah, Waah
meree janib se is khubSurat aor dilaawaeZ Ghazal par dilee mubarak baad qubool keejiye!
Wassalam
Mzaffar A Muzaffar
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:

Biraadaram Muzaffar SaaHab
aadaab
Aap aajkal miSrey hi itne achche de rahe haiN Ghazal kahan aur bhi aasaan ho gaya hai. Bohat Khuloos se daad dete haiN aap bohat himmat afzaaii hoti hai. Kis zubaan se aap ka shukriya adaa kiya jaaye ?
MUjhe ummid hai achchee GahzaleN aayeNgee aur mushairah kaamyaab rahega.
Ek baar phir shukriya.
MuKhliS
Jawaid
- muhammad_19k
- -
- Posts: 540
- Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
- Location: Lahore
- Contact:
woh jo kahta tha buzdili hai Haram
aaj usne hi Khud kushee ki hai
ahaa haa. bohat khoob janab. bohat hi khoob.
dar Haqeeqat jaise jaise is sh'er par sochtaa hooN nayee se mazmoon ka diaraa kaar wasee' hi hotaa nazar aaraa hai. idhar sochtaa hooN ke is meN bashri taqazoN ke teHt honay wali ghalati ka eHaata kiyaa gyaa hai to saath hi un qol o fa'el meN tazaad par tanz nazar aa jaataa hai. aor aglay hi lamHay insaaN ki majboorioN ki taSveer ban jaati hai ke Haalaat usay us moR par lay aateN haiN ke ussa woh sab kuch kanraa paRhtaa jisay woh buraa jaantaa hai. yaqeenun mairi quwaat e goyaaee aisi naheeN ke is sher ki daad ka SaHeeH Haq adaa kar sakooN so sirf bohat khoob par hi iktifaa kartaa hooN.
is ghazal ke darj zail ashaar bhi bohat pasand aa-aye,
sher duniya ko Khud bataa deNge
yeh Ghazal kaun see Sadee ki hai
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
aik aor shaandaar ghazal kehne par mubaarakbaad qubool kijiaye.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui

Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
+92 321 4435273
938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Urdu Duniya
KYA MAQTA' KAHA HAI AAP NE..... QADR GAIRON KI BARH GAYI...... WAH WAH..... BAHUT KHOOB... DAAD KE PHOOL PESH-E KHIDMAT HAIN.... QOBOOL KAREIN.jawaid badauni wrote:
Dosto!
Aadaab
Urdu Duniya ke mahana tarahee mushaireh ke liye maiN ne bohat
sada see ghazal kahee hai jo aap ki nazr bhee kar raha hooN.
Ummid hai apni aara se nawazeNge.
Aapka MuKhliS
Jawaid
WAH JAWAID BHAI..... KYA TANZ KIYA HAI AAP NE..... AAJ KAL TO YAHI SAB KUCH HO RAHA HAI..... HIND-O-PAAK KE RAIHBARON KI ZAAT BATA DI AAP NE.bunke raihbar jo rahzanee ki hai
tum ne tauheen.e raihbaree ki hai
KYON NAHIN... HUM SAB SHAIR LOG... MEER-O-GHALIB KE HI RISHTEDAAR HAIN.... HAI NA?! ACHCHA SHER HAI.shairee per nah kyuun ho naaz mujhe
“Meer.o.Ghalib” ki pairawee ki hai
BHAI WAH... KYA KEHNE... MAGAR JAWAID BHAI.... KHUD-KUSHEE KARNE KE LIYE BHI 'HIMMAT' CHAHIYE... DARPOK TO WOHH BHI NAHIN KAR SAKTA........woh jo kahta tha buzdili hai Haram
aaj usne hi Khud kushee ki hai
Hai Hai... Kya baat hai..... yeh amaanat bhi aap hi ki hai........ kya khoob kaha hai.. Daad qobool kijiye.dil meN jo Gham chhupa ke rakhkha hai
yeh amaanat bhi aap hi ki hai
BAHUT KHUBSOORAT SHER HAI.. ACHCHI GIRAH LAGAYI HAI AAP NE.jaadaa-e ishq ke haiN raihro hum
“har qadam hum ne aashiqui ki hai”
YE SHER MUJHE SAB SE ZIYADA PASAND AAYA.. HAASIL-E-GHAZAL SHER HAI.. KYA KHOOB KAHA HAI BHAI.sher duniya ko Khud bataa deNge
yeh Ghazal kaun see Sadee ki hai
turk-e ulfat ka phir bhi Gham hai unheN
waise yeh baat tou Khushee ki hai
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Urdu Duniya
munir-armaan-nasimi wrote:jawaid badauni wrote:

KYA MAQTA' KAHA HAI AAP NE..... QADR GAIRON KI BARH GAYI...... WAH WAH..... BAHUT KHOOB... DAAD KE PHOOL PESH-E KHIDMAT HAIN.... QOBOOL KAREIN.turk-e ulfat ka phir bhi Gham hai unheN
waise yeh baat tou Khushee ki hai
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
Azeezi Munir Armaan SaaHab
aadaab
Aap ne behud purKhuloos andaaz se daad dee hai aur nihayat umdah tabsare se nawazah hai jiske liye aap ka behud mamnoon hooN.
Bhaai aap ne kuch iss tarah "type" kiya tha keh aap ke tabsarey mere sheroN meN shamil ho gaye thEy. MaiN ne unheN bhi alag alag kar diya hai. Yeh bohat asaan kaam hai. Pahle puree post lo "quote" kar deN phir jis sher per tabasara karna hai usko phir "quote" karden aur type karte chale jaaiye. "Quote" ki "sign" doosree line meN doosre number per hai jahaN "bold" wa deegar "signs" dee gaii haiN. Ummid hai yeh Tareeqah aap ki samajh meN aa gaya hoga. Ek baar koshish karke dekhiyega.
Aapka MuKhliS
Jawaid
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
muhammad_19k wrote:woh jo kahta tha buzdili hai Haram
aaj usne hi Khud kushee ki hai
ahaa haa. bohat khoob janab. bohat hi khoob.
dar Haqeeqat jaise jaise is sh'er par sochtaa hooN nayee se mazmoon ka diaraa kaar wasee' hi hotaa nazar aaraa hai. idhar sochtaa hooN ke is meN bashri taqazoN ke teHt honay wali ghalati ka eHaata kiyaa gyaa hai to saath hi un qol o fa'el meN tazaad par tanz nazar aa jaataa hai. aor aglay hi lamHay insaaN ki majboorioN ki taSveer ban jaati hai ke Haalaat usay us moR par lay aateN haiN ke ussa woh sab kuch kanraa paRhtaa jisay woh buraa jaantaa hai. yaqeenun mairi quwaat e goyaaee aisi naheeN ke is sher ki daad ka SaHeeH Haq adaa kar sakooN so sirf bohat khoob par hi iktifaa kartaa hooN.
is ghazal ke darj zail ashaar bhi bohat pasand aa-aye,
sher duniya ko Khud bataa deNge
yeh Ghazal kaun see Sadee ki hai
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
aik aor shaandaar ghazal kehne par mubaarakbaad qubool kijiaye.
mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui
Azeezi wa moHibbee Khawar MiyaaN
Aapki purkhuloos daad ke liye aap ka mamnoon hooN.
Ek sher per aap ne KhuSooSan bohat ziyadah daad de hai. Yeh apni apni pasaNd ki baat hoti hai. Kisi ko koii sher pasaNd aata hai tou kisee ko wohee sher itna ziyadah achcha nahiN lagta. Aap ne deegar ashAAr ki bhi tAAreef ki hai. Ghazal ki pazeeraaii ke liye ek baar phir aap ka shukriya.
MuKhliS
Jawaid
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Urdu Duniya
is muracca ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeNjawaid badauni wrote:Dosto!
Aadaab
jawaid bhai saahib
Urdu Duniya ke mahana tarahee mushaireh ke liye maiN ne bohat
sada see ghazal kahee hai jo aap ki nazr bhee kar raha hooN.
'ata keejiye
Ummid hai apni aara se nawazeNge.
insha allah.
Aapka MuKhliS
Jawaid
bunke raihbar jo rahzanee ki hai
tum ne tauheen.e raihbaree ki hai
bahut accha sher hai.masha allah
shairee per nah kyuun ho naaz mujhe
“Meer.o.Ghalib” ki pairawee ki hai
kya kehnay....waah waah.
woh jo kahta tha buzdili hai Haram
aaj usne hi Khud kushee ki hai
bahut khoob
dil meN jo Gham chhupa ke rakhkha hai
yeh amaanat bhi aap hi ki hai
kyaa baat hai
jaadaa-e ishq ke haiN raihro hum
“har qadam hum ne aashiqui ki hai”
bahut acche girah hai........
sher duniya ko Khud bataa deNge
yeh Ghazal kaun see Sadee ki hai
bilkul sahi .......
turk-e ulfat ka phir bhi Gham hai unheN
waise yeh baat tou Khushee ki hai
waah.....
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
aik talkh haqeeqat.bahut khoob
--------------------------------------------------------------
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tarahee Ghazal Urdu Duniya
haamidbaaqri wrote:is muracca ghazal per hamaari dilee daad aur mubaarakbaad qubool farmaayeNjawaid badauni wrote:Dosto!
Aadaab
jawaid bhai saahib
Urdu Duniya ke mahana tarahee mushaireh ke liye maiN ne bohat
sada see ghazal kahee hai jo aap ki nazr bhee kar raha hooN.
'ata keejiye
Ummid hai apni aara se nawazeNge.
insha allah.
Aapka MuKhliS
Jawaid
bunke raihbar jo rahzanee ki hai
tum ne tauheen.e raihbaree ki hai
bahut accha sher hai.masha allah
shairee per nah kyuun ho naaz mujhe
“Meer.o.Ghalib” ki pairawee ki hai
kya kehnay....waah waah.
woh jo kahta tha buzdili hai Haram
aaj usne hi Khud kushee ki hai
bahut khoob
dil meN jo Gham chhupa ke rakhkha hai
yeh amaanat bhi aap hi ki hai
kyaa baat hai
jaadaa-e ishq ke haiN raihro hum
“har qadam hum ne aashiqui ki hai”
bahut acche girah hai........
sher duniya ko Khud bataa deNge
yeh Ghazal kaun see Sadee ki hai
bilkul sahi .......
turk-e ulfat ka phir bhi Gham hai unheN
waise yeh baat tou Khushee ki hai
waah.....
qadr GairoN ki baRh gaii “Jawaid”
jab bhi apnoN ne dushmanee ki hai
aik talkh haqeeqat.bahut khoob
--------------------------------------------------------------
allah(sbhnwt)karay zoray qalam aur ziyaadah
aapka apna
haamidbaaqari
Azeezi Haamid Baaqri SaaHab,
Salame Masnoon
Der aayad durust aayad.
Aapki purkhulooS daad wa giraaNqadr tabsaroN ke liye aap ka
behud mamnoon hooN.
Khoosh raheN!
Aapka MuKhliS
Jawaid Badauni