hasil qafas main garya ki rahat nahi-n mujhe
main ro-u-u-n aashiya-n ko ijazat nahi-n mujhe
milta hai roz mujh se yeh duhrane bar bar
kaise kahu-n ke tum se mohabbat nahi-n mujhe
aata tera khayal hai har ek khayal mai-n
juz tere ab to koi bhi adat nahi-n mujhe
nairangi-e hayat ne kya kuchh dikha diya
ab to kisi bhi baat pe hairat nahi-n mujhe
ankho-n se kyu-n guhar woh lutaey mre liye
mai-n in ka taj pehnu-n fazilat nahi-n mujhe
tu ne gham-e hayat se begana kar diya
duniya mai-n ab kisi se shikayat nahi-n mujhe
be ghar hue bhi Noor zamana guzar gaya
deewar-o-dar ki ab koi hajat nahi-n mujhe
Noor-al-sabah
Hasil qafas mai-n garya ki rahat nahi-n mujhe
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 2
- Joined: Fri Aug 24, 2007 2:10 pm
Hasil qafas mai-n garya ki rahat nahi-n mujhe
- Attachments
-
- hasil qafas 6.jpg (160.69 KiB) Viewed 131 times
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
moHtaram Noor-ul-sabaa SaaHib/SaaHibah aadaab-o-tasleemaat!
Aap ko tamaam mimbaraan-e-urdu bandhan kee najib se dilee khush aamdeed kahaa jataa hai. inshAllah aap ko yahaaN aek sanjeedah adabee maHool mile gaa. hameeN ummeed hai keh aap kee tashreef aawaree ham sab ke liye mubarak caabit ho gee.
Aap kee Ghazal aek khubSurat aor kaamyaab adabee koshish hai. Allah aap ke Zaor-e-qalam ko baRhataa chalaa jaeY.
meree janib se aap Ghazal kee pesh kash par dilee mubarak qubool keejiye.
khush raheeN.