Hasil qafas mai-n garya ki rahat nahi-n mujhe

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Noor-al-sabah
-
-
Posts: 2
Joined: Fri Aug 24, 2007 2:10 pm

Hasil qafas mai-n garya ki rahat nahi-n mujhe

Post by Noor-al-sabah »

hasil qafas main garya ki rahat nahi-n mujhe

main ro-u-u-n aashiya-n ko ijazat nahi-n mujhe


milta hai roz mujh se yeh duhrane bar bar

kaise kahu-n ke tum se mohabbat nahi-n mujhe


aata tera khayal hai har ek khayal mai-n

juz tere ab to koi bhi adat nahi-n mujhe


nairangi-e hayat ne kya kuchh dikha diya

ab to kisi bhi baat pe hairat nahi-n mujhe


ankho-n se kyu-n guhar woh lutaey mre liye

mai-n in ka taj pehnu-n fazilat nahi-n mujhe


tu ne gham-e hayat se begana kar diya

duniya mai-n ab kisi se shikayat nahi-n mujhe


be ghar hue bhi Noor zamana guzar gaya

deewar-o-dar ki ab koi hajat nahi-n mujhe

Noor-al-sabah
Attachments
hasil qafas 6.jpg
hasil qafas 6.jpg (160.69 KiB) Viewed 129 times
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Noor-ul-sabaa SaaHib/SaaHibah aadaab-o-tasleemaat!

Aap ko tamaam mimbaraan-e-urdu bandhan kee najib se dilee khush aamdeed kahaa jataa hai. inshAllah aap ko yahaaN aek sanjeedah adabee maHool mile gaa. hameeN ummeed hai keh aap kee tashreef aawaree ham sab ke liye mubarak caabit ho gee.

Aap kee Ghazal aek khubSurat aor kaamyaab adabee koshish hai. Allah aap ke Zaor-e-qalam ko baRhataa chalaa jaeY.
meree janib se aap Ghazal kee pesh kash par dilee mubarak qubool keejiye.

khush raheeN.
faypal
-
-
Posts: 28
Joined: Thu Aug 23, 2007 12:35 pm
Location: Pakistan
Contact:

Post by faypal »

Esteemed noor.........main ne aapka jitna bhi kalaam daikha us mein se sub se zaiyada ye ghazal pasand aai.........yaqeenun lajawaab hai........bahut khoob.yehi rung doosre kalaam ko bhi daine ki koshish kerain.
Post Reply