Ye daikh ker k chup gai bijli sohaab mein

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
faypal
-
-
Posts: 28
Joined: Thu Aug 23, 2007 12:35 pm
Location: Pakistan
Contact:

Ye daikh ker k chup gai bijli sohaab mein

Post by faypal »

Image
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Faypal saaHib aadaab!

kaese mizaaj haiN ammeed keh kheriyat se hooN ge.
Aap kee Ghazal dekhee jo keh jadeed aor munfarid ma'loom hoee. na'ee sooch aor fikr daaman-e-sukhan ko waseea' karne kaa maojab bantee haiN. aap ka munfarid andaaz-e-Ghazal dilkash hai. aor qaadil-e-daad bhee.

meree janib se is kamyaab koshish par dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
ummassad
-
-
Posts: 695
Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm

Post by ummassad »

bahout khoub faypal sahib kiya kahney.
faypal
-
-
Posts: 28
Joined: Thu Aug 23, 2007 12:35 pm
Location: Pakistan
Contact:

Post by faypal »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:moHtaram Faypal saaHib aadaab!

kaese mizaaj haiN ammeed keh kheriyat se hooN ge.
Aap kee Ghazal dekhee jo keh jadeed aor munfarid ma'loom hoee. na'ee sooch aor fikr daaman-e-sukhan ko waseea' karne kaa maojab bantee haiN. aap ka munfarid andaaz-e-Ghazal dilkash hai. aor qaadil-e-daad bhee.

meree janib se is kamyaab koshish par dilee daad qubool keejiye.
Wassalam
Muzaffar A Muzaffar
Thanks.........May God bless you with His special pleasures and treasures.
faypal
-
-
Posts: 28
Joined: Thu Aug 23, 2007 12:35 pm
Location: Pakistan
Contact:

Post by faypal »

ummassad wrote:bahout khoub faypal sahib kiya kahney.
Thanks..........God bless you.
faypal
-
-
Posts: 28
Joined: Thu Aug 23, 2007 12:35 pm
Location: Pakistan
Contact:

Post by faypal »

sara_j wrote:adaab arz hai.

sabse pehle urdubandhan per khushamdeed!!

aapki inayatkarda ghazlei.n mehfil-e-urdubandhan

ki rounaq mei.n khoobsurat izafa hain.

ghazal ka mat'la, shiar # 2 aur 3 bohat khoob hai.n !!


"bheja hai kisne jaam ye khat mei.n lapait ker?
bheege hue hain lafz bhi saare sharaab mei.n"


waah! bohat khoob!

chan chan ke aa rahi hai jo aangan mein chandni
lipta houa hai chaand ka chehraa naqaab mei.n!!


awesome!!........shair ko paRhte hue kuch haseen manzar
aankhon mein dekh rahi thi waah!!


mai.n jisko dhoondta raha baagho.n mein aaj tak
voh phool kaun rakh gaya meri kitaab mei.n?


kya kehne janaab!! bohat khoob!

taaro.n se likh ke main ne bhi bheja tha khat use
bheji hai jisne chandni khat ke jawaab mein.


kya kehne kya kehne!!

baithi hai kitni dair se aanchal pe titliyaa.n
ye kaun rkah gaya hai mera dil gulaab mein

:Afzal: main kya batau.n tira haath dekh ker?
ek din bhi vasl ka nahi tere hisaab mein!!


waah! janaab dili daad aur mubarakbaad qubool keejiye!

umeed ke aap ainda bhi urdubandhan ke liye apne taaza
kalaam nawaazte rahe.nge

mukhlis

sara
Thanks for this inspiration........your each word is sweeter than my whole lyric........may God eternalize your pleasures.
Post Reply