Tarahee Ghazal mushairah Urduduniya.com

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Tarahee Ghazal mushairah Urduduniya.com

Post by jawaid badauni »



ik bhikari kah raha tha tera kya reh jayega

jo faqeeroN ko diya bus woh bachaa reh jayega



kis meN dum hai waqt ki aaNdhee kare gee faiSlah

"jis diye meN jaan ho gee woh diyaa reh jaaeY gaa"



Khoon.e Haq taareeKh ke auraaq se miT’ta nahiN

muddatoN tak daagh SafHoN per laga reh jayega



yeh makaN yeh gaaRiyaaN yeh teri ooper ki kamaii

tou chala jayega sub ka sub dhara reh jayega



beTiyaN pehneNgee aglee nasl ki aisa libaas

baap bechara bus un ko dekhta reh jayega



ai musafir humsafar hoN ge nah rehbar tere sath

Khaar rah jayeNge purKham rasta rah jayega



kaise ai :Jawaid: unke Gham ka daman choR dooN

zindage meN meri phir jine ko kya reh jayega



aapki giraNqadr aara ka muntazir,



Jawaid Badauni
User avatar
muhammad_19k
-
-
Posts: 540
Joined: Wed Nov 22, 2006 8:36 am
Location: Lahore
Contact:

Post by muhammad_19k »

Jawaid SaHeb,

kaafi 'arSaa ke b'aad Haazir huwaa hooN. laikin yaqeen hai ke meN ab bhi aap ki duaooN men hooN ga.

ghazal bohat achhchi hai aor maqta' shaandaar. daad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
+92 321 4435273

938-C-Faisal Town, Lahore.
Pakistan.
+92 42 111516516
muhammad_19k@hotmail.com
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Post by sbashwar »

Jawaid Saheb
:salaam:

ik bhikari kah raha tha tera kya reh jayega
jo faqeeroN ko diya bus woh bachaa reh jayega

Sheir haqeeqat par mubni hai. Wah

kis meN dum hai waqt ki aaNdhee kare gee faiSlah
"jis diye meN jaan ho gee woh diyaa reh jaaeY gaa"

Bohat khoob

Khoon.e Haq taareeKh ke auraaq se miT’ta nahiN
muddatoN tak daagh SafHoN per laga reh jayega

Bohat achcha sheir hai. Wah

yeh makaN yeh gaaRiyaaN yeh teri ooper ki kamaii
tou chala jayega sub ka sub dhara reh jayega

Kash hamari ankhein khuli. Wah

beTiyaN pehneNgee aglee nasl ki aisa libaas
baap bechara bus un ko dekhta reh jayega

Allah hidayat de hamari nayi nasl ko. Wah

ai musafir humsafar hoN ge nah rehbar tere sath
Khaar rah jayeNge purKham rasta rah jayega

Wah

kaise ai :Jawaid: unke Gham ka daman choR dooN
zindage meN meri phir jine ko kya reh jayega

Wah Wah.

Har sheir qabil-e-daad. Meri dili mubarakbaad qubool kijiye.
سالم احمد باشوار
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

muhammad_19k wrote:Jawaid SaHeb,

kaafi 'arSaa ke b'aad Haazir huwaa hooN. laikin yaqeen hai ke meN ab bhi aap ki duaooN men hooN ga.

ghazal bohat achhchi hai aor maqta' shaandaar. daad qubool kijiaye.

mukhliS,

Bhaii jahaN tak ho sake aate jaate raha kareN. Allah aap ko Khush rakhkhe.

Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

sbashwar wrote:Jawaid Saheb
:salaam:

ik bhikari kah raha tha tera kya reh jayega
jo faqeeroN ko diya bus woh bachaa reh jayega

Sheir haqeeqat par mubni hai. Wah

kis meN dum hai waqt ki aaNdhee kare gee faiSlah
"jis diye meN jaan ho gee woh diyaa reh jaaeY gaa"

Bohat khoob

Khoon.e Haq taareeKh ke auraaq se miT’ta nahiN
muddatoN tak daagh SafHoN per laga reh jayega

Bohat achcha sheir hai. Wah

yeh makaN yeh gaaRiyaaN yeh teri ooper ki kamaii
tou chala jayega sub ka sub dhara reh jayega

Kash hamari ankhein khuli. Wah

beTiyaN pehneNgee aglee nasl ki aisa libaas
baap bechara bus un ko dekhta reh jayega

Allah hidayat de hamari nayi nasl ko. Wah

ai musafir humsafar hoN ge nah rehbar tere sath
Khaar rah jayeNge purKham rasta rah jayega

Wah

kaise ai :Jawaid: unke Gham ka daman choR dooN
zindage meN meri phir jine ko kya reh jayega

Wah Wah.

Har sheir qabil-e-daad. Meri dili mubarakbaad qubool kijiye.



Azeezi Salem Saahab, aadaab

aap ki daad himmat afzaaii ka sabab banee. Bohat bohat shukriya.

Pahle aap hameN Nazir SaaHab ki siHat ka Haal batate rehte thE aur unki Khairiyat se aagaah rakhte thE magar ab woh silsilah bhi aap ne jari nahiN rakhkha. Unse kahiye aap phir aana jana shuroo kar den unki kami bohat meHsoos hoto hai.

Ek baar phir aap ka shukriya.

MuKhliS

Jawaid
rukhsar
-
-
Posts: 40
Joined: Wed Jul 25, 2007 1:15 am
Location: Bahrain
Contact:

Post by rukhsar »

jawaid badauni
sahib AADAB
aapki ek aur mea,ari ghazal ka muta.alaa kia
wah sahib waaaaaaaah bhut achchay ash,aar nikaalay hain

*
beTiyaN pehneNgee aglee nasl ki aisa libaas
baap bechara bus un ko dekhta reh jayega

bhut achcha sher hay waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
daad qubool farmaaey
rukhsar
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

rukhsar wrote:jawaid badauni
sahib AADAB
aapki ek aur mea,ari ghazal ka muta.alaa kia
wah sahib waaaaaaaah bhut achchay ash,aar nikaalay hain

*
beTiyaN pehneNgee aglee nasl ki aisa libaas
baap bechara bus un ko dekhta reh jayega

bhut achcha sher hay waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
daad qubool farmaaey
rukhsar

Aapki purKhulooS daad se meri himmat afzaai huuwee. Behud mamnoon hoon aap ka.

Ummid hai aaindah bhi rabt qaaiim rahega.

MuKhliS

Jawaid

Post Reply