:: aao yaaro ! Zia se miltey haiN :-)

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

:: aao yaaro ! Zia se miltey haiN :-)

Post by Star Mind »


moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :)


is se qabl k Ghazal paish karoN , is ka pas manzar bataana zaroori samajhtaa hoN !! :mrgreen:

dar aSl howaa youN ki maiN ne aek dosre forum par apni aek Ghazal "zindagee jis ka naam hai pyaare !" paish kii thee , jis key aek shea'r maiN , maiN ne baa-zauq aHbaab k marGhoob shaai'r janaab Raj Kumar Qais SaaHib ko manzoom khiraaj-e-a'qedat paish kartey howe kahaa thaa k

"Mere qalb-o-dimaaGh ki farHat
:Qais: Teraa kalaam hai pyaare!" :)


jis par tabSira karte howe mauSoof ne is had darja inkesaarii se kaam lete howe farmaayaa k janaab-e-Qais ko to baat karni nahiN aati, phir bhala woh kalaam kyoN kar kaheNge ?? :roll: :evil:

to jawaabi comments maiN , mujh se aek aur shea'r sarzad hoaa , jo kuch youN thaa k

":Qais: kyaa jaane :Qais: ka rutbaa !!
Ham se pochoo ! k ham haiN saHraaii !!" 8)


phir kyaa thaa , chand hi minutes maiN Ghazal sarzad hogayee , jo paish-e-Khidmat hai, umeed hai k asaatiza-e-bazm maiN iSlaaHi tabSira farmaayeNge , aur deegar aHbaab himmat-afzaaii farmaayeNge !! :mrgreen: .

to lejeye Ghazal Haazir-e-Khidmat hai !

:::Urdu Version:::
Image
:::Roman Version:::

11.
maiN ne phir jhoom kar Ghazal gaaii
dil pe jab i'shq kii ghaTaa chaaii !! :P

2.
log kehtey haiN jis ko tanhaaii
dar Haqeeqat hai meri parchaaii :idea:

3.
chaar soo , waHshatoN ka Deraa hai :roll:
zindagee ! mujhko tuu , kahaaN laaii ? :shock:

4.
maiN rah-e-i'shq ka musaafir hoN :idea:
Husn kartaa hai, raah-paimaaii ! 8)

5.
jaise taSveer ban gayaa hoN maiN :roll:
aur taqdeer hai tamaashaaii !! :evil:

6.
i'shq sey maiN na baaz aaoNgaa :!:
mujhey manzoor hai ye ruswaaii ! :twisted:

7.
i'shq ko khail mat samajh pyaarey !!
is maiN jaai'z nahiN hai paspaaii ! :evil:

8.
kon rehtaa hai andaroN mere :?:
dil ? k dil dil ki Dasti tanhaaii ? :roll:

9.
:Qais: kyaa jaane :Qais: kaa rutbaa ? :evil:
ham se pochoo ! k ham haiN SaHraaii ! :mrgreen:

10.
chashm-e-nam sey Tapak lahoo ban kar :!:
aye mire aaNsovoN ki gihraaii !! :)

11.
aao yaaro ! :Zia: se miltey haiN ! :)
kehte haiN , ban gayaa hai suadaaii ! :-x

shukriya

moKhliS : Zia Baloch 8)
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
fatimah
-
-
Posts: 71
Joined: Sun Jan 02, 2005 6:58 am
Location: doha qatar
Contact:

Post by fatimah »

Fatima wrote:aslaam_u_alikam

lekin hum to mil chukey hain ji ;)

koii baat nahin dubaraa mil letey hain

kesey hain zia sahib aap?

aap ka yeh kalam bhi bohat pasand aayaa. :)



maiN ne phir jhoom kar Ghazal gaaii
dil pe jab i'shq kii ghaTaa chaaii !!


hmmmmmmmmmmmmmmm ;)

log kehtey haiN jis ko tanhaaii
dar Haqeeqat hai meri parchaaii :

:shock: :shock:

chaar soo , waHshatoN ka Deraa hai
zindagee ! mujhko tuu , kahaaN laaii ?


waah ji bohat khub


jaise taSveer ban gayaa hoN maiN
aur taqdeer hai tamaashaaii !!


yeh sher bhi bohat achaa lagaa daad qubool karo


i'shq sey maiN na baaz aaoNgaa !
mujhey manzoor hai ye ruswaaii !


bohat galat baat hey achey bachey esii baatein nahin kertey

i'shq ko khail mat samajh pyaarey !!
is maiN jaai'z nahiN hai paspaaii !


yeh to phir hey ji


Qais: kyaa jaane :Qais: kaa rutbaa ?
ham se pochoo ! k ham haiN SaHraaii !



waah ji bohat khub

chashm-e-nam sey Tapak lahoo ban kar !
aye mire aaNsovoN ki gihraaii !!



zabardast ji

aao yaaro ! :Zia: se miltey haiN !
kehte haiN , ban gayaa hai suadaaii !


hainnnnnnnnnnnnnnn kab :shock: ;)

dheroN daad qubool kijiye is khubsoorat gazal per :)

shukriya
Image
Post Reply