moHtaramaat-o-moHtarameen-e-meHfil, aadaab :)
is se qabl k Ghazal paish karoN , is ka pas manzar bataana zaroori samajhtaa hoN !! :mrgreen:
dar aSl howaa youN ki maiN ne aek dosre forum par apni aek Ghazal "zindagee jis ka naam hai pyaare !" paish kii thee , jis key aek shea'r maiN , maiN ne baa-zauq aHbaab k marGhoob shaai'r janaab Raj Kumar Qais SaaHib ko manzoom khiraaj-e-a'qedat paish kartey howe kahaa thaa k
"Mere qalb-o-dimaaGh ki farHat
:Qais: Teraa kalaam hai pyaare!" :)
jis par tabSira karte howe mauSoof ne is had darja inkesaarii se kaam lete howe farmaayaa k janaab-e-Qais ko to baat karni nahiN aati, phir bhala woh kalaam kyoN kar kaheNge ??


to jawaabi comments maiN , mujh se aek aur shea'r sarzad hoaa , jo kuch youN thaa k
":Qais: kyaa jaane :Qais: ka rutbaa !!
Ham se pochoo ! k ham haiN saHraaii !!" 8)
phir kyaa thaa , chand hi minutes maiN Ghazal sarzad hogayee , jo paish-e-Khidmat hai, umeed hai k asaatiza-e-bazm maiN iSlaaHi tabSira farmaayeNge , aur deegar aHbaab himmat-afzaaii farmaayeNge !! :mrgreen: .
to lejeye Ghazal Haazir-e-Khidmat hai !
:::Urdu Version:::

:::Roman Version:::
11.
maiN ne phir jhoom kar Ghazal gaaii
dil pe jab i'shq kii ghaTaa chaaii !! :P
2.
log kehtey haiN jis ko tanhaaii
dar Haqeeqat hai meri parchaaii

3.
chaar soo , waHshatoN ka Deraa hai

zindagee ! mujhko tuu , kahaaN laaii ?

4.
maiN rah-e-i'shq ka musaafir hoN

Husn kartaa hai, raah-paimaaii ! 8)
5.
jaise taSveer ban gayaa hoN maiN

aur taqdeer hai tamaashaaii !!

6.
i'shq sey maiN na baaz aaoNgaa

mujhey manzoor hai ye ruswaaii !

7.
i'shq ko khail mat samajh pyaarey !!
is maiN jaai'z nahiN hai paspaaii !

8.
kon rehtaa hai andaroN mere

dil ? k dil dil ki Dasti tanhaaii ?

9.
:Qais: kyaa jaane :Qais: kaa rutbaa ?

ham se pochoo ! k ham haiN SaHraaii ! :mrgreen:
10.
chashm-e-nam sey Tapak lahoo ban kar

aye mire aaNsovoN ki gihraaii !! :)
11.
aao yaaro ! :Zia: se miltey haiN ! :)
kehte haiN , ban gayaa hai suadaaii !

shukriya
moKhliS : Zia Baloch 8)