Muntakhab shayari-Baitbaazi-Lafz par Ashaar
-
RAUSHNEE
- -
- Posts: 66
- Joined: Mon Dec 13, 2004 11:32 pm
-
Contact:
Post
by RAUSHNEE »
PK Swami wrote:yaraane mehfil
aadaab.
lafz tamanaa/aarzoo par jo sher mujhe yaad aa rahe haiN, pesh kar rahaa hooN. agar ek se jiyaadaa sher likhnaa munaasib naheeN to maazratkhwaaH hooN.
aapkaa izhaar.e pasandgee mere liye hausalaa afzaaie hogee!
tamanna thee agar apnee to ye thee aakhiree apnee
k tum saahil pe hote aur kishtee dooBtee apnee
tamannaaoN meiN uljhayaa gayaa hooN
khilaune de ke baHlayaa gayaa hooN
kambakht mujhe jee se guzarne nahee detee
jeene kee tamanna mujhe marne nahee detee
koi dil aisaa nazar na aayaa na jisme khwabedaa ho tamanna
ilaaHee tera jahaan kyaa hai, nigaarkhanaa hai aarzoo kaa
jaltaa hee rahaa dil meiN tamannaaoN kaa suraj
aaNkhooN se mere barf pighaltee hee raHee hai
dekh kar dilkashee zamaane kee
aarzoo hai fareb khaane kee
hai husool.e aarzoo kaa naam tark.e aarzoo
maine duniyaa choR dee to mil gayee duniyaa mujhe
jalaa sako to jalaao tum aarzoo ke chirragh
saHar kee raaH na dekho saHar mile na mile
aarzoo teri barqaraar rahe
dil ka kyaa rahaa, rahaa na rahaa
vo teergee hai rah.e butaaN meiN, chiraagh.e rukh hai na shamm.e vadaa
kiran koi aarzoo kee laao, k sab dar.o.baam bujh gaye haiN
Regards to everyone.
PK Swami
Tamam ashaar bohat he khoob thay
mashallah baree achee selection hai aap ki
-
RAUSHNEE
- -
- Posts: 66
- Joined: Mon Dec 13, 2004 11:32 pm
-
Contact:
-
Hashmat Usmani
- -
- Posts: 1173
- Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
- Location: Kitchener, Ontario, Canada
-
Contact:
Post
by Hashmat Usmani »
aaNkheN mujhe talvoN se vo malne nahiiN dete
armaan mere dil kaa nikalne nahiiN dete
Akbar Allahabadi
-
PK Swami
- -
- Posts: 102
- Joined: Wed Jul 06, 2005 2:59 am
- Location: Delhi
-
Contact:
Post
by PK Swami »
har tamanaa pe behissi hotee
har masarrat bujhi bujhi hotee
mauT hotee agar na duniyaa mein
zindgee mauT ban gayee hotee
PK Swami
mujhe dil diyaa to taRap bhee de
jo hooN doosroN kaa sharik.e gham
mujhe aisey dil kee talab naheeN
jo kisii ke kaam na aa sake
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
"tamanna'aoN meiN uljhaayaa gayaa hooN
khiloune de ke behlaayaa gayaa hooN"
Shaad Azeemaabaadi
Nazir.
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
Arz-e-tamanna karte karte rusvaayii tak aa pahonchaa
phir bhii us ne baat na maani, apni zid per qaayim hei.
Nazir.
-
syed bilal armaan
- -
- Posts: 189
- Joined: Mon Jan 17, 2005 12:57 pm
-
Contact:
Post
by syed bilal armaan »
NOTE: is unwan ka waqt katam ho chuka hai.ab pesh hai nay unwan "SAJDA" dekhiye forum par...
-
ummassad
- -
- Posts: 695
- Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm
Post
by ummassad »
agar kuch thi tu bus yh thi TAMMANAaakhri apni
ki tum saahil pe hote aor kashti doobti apni
-
Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
-
Contact:
Post
by Abdullah Nazir »
kabhi manzil ki tamanna meiN qadam baRhte heiN
rouk lete heiN kabhi paaNooN ke chaale mujhko.
Shaayer: Abdullah Nazir.
Nazir,
-
zmufti
- -
- Posts: 594
- Joined: Fri Apr 08, 2005 6:28 am
- Location: lahore
-
Contact:
Post
by zmufti »
ab harf-e-tamanna ko sama'at na mile gi
baicho ge agar khawab to qeemat na mlie gi
-
ummassad
- -
- Posts: 695
- Joined: Tue Nov 08, 2005 3:24 pm
Post
by ummassad »
tujhey jhair ki tamanna mujhey terey aarzu hey.
terey dil main ghum hi ghum hey merey dilmain tu hi tu hey.
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
PK Swami wrote:yaraane mehfil
aadaab.
lafz tamanaa/aarzoo par jo sher mujhe yaad aa rahe haiN, pesh kar rahaa hooN. agar ek se jiyaadaa sher likhnaa munaasib naheeN to maazratkhwaaH hooN.
aapkaa izhaar.e pasandgee mere liye hausalaa afzaaie hogee!
tamanna thee agar apnee to ye thee aakhiree apnee
k tum saahil pe hote aur kishtee dooBtee apnee
tamannaaoN meiN uljhayaa gayaa hooN
khilaune de ke baHlayaa gayaa hooN
kambakht mujhe jee se guzarne nahee detee
jeene kee tamanna mujhe marne nahee detee
koi dil aisaa nazar na aayaa na jisme khwabedaa ho tamanna
ilaaHee tera jahaan kyaa hai, nigaarkhanaa hai aarzoo kaa
jaltaa hee rahaa dil meiN tamannaaoN kaa suraj
aaNkhooN se mere barf pighaltee hee raHee hai
dekh kar dilkashee zamaane kee
aarzoo hai fareb khaane kee
hai husool.e aarzoo kaa naam tark.e aarzoo
maine duniyaa choR dee to mil gayee duniyaa mujhe
jalaa sako to jalaao tum aarzoo ke chirragh
saHar kee raaH na dekho saHar mile na mile
aarzoo teri barqaraar rahe
dil ka kyaa rahaa, rahaa na rahaa
vo teergee hai rah.e butaaN meiN, chiraagh.e rukh hai na shamm.e vadaa
kiran koi aarzoo kee laao, k sab dar.o.baam bujh gaye haiN
Regards to everyone.
PK Swami
PK saaHib, aadab!
eik muddat k baad aap se mulaaqaat ho rahii hai, ummid hai k khair-o-aafiyat se hoN ge?!
is unvaan par aap k zehn nasheeN tamaam ash'aar behad pasaNd aaye, khaas kar yeh she'r:
jaltaa hee rahaa dil meiN tamannaaoN kaa suraj,
aaNkhooN se mere barf pighaltee hee raHee hai!
aapnii is khubsoorat ataa par merii jaanib se shukriyah qubool keejiYe, aur hamesha isii tarah hameN achhe ash'aar se navaazte rahiYe!
Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
hassan_bashir
- -
- Posts: 436
- Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
- Location: Kuwait
-
Contact:
Post
by hassan_bashir »
kaaT kar phaiNk do is nakhl-e-tamanna ko :Ameer:
phul kambakht pe aaya na kabhii phal aaaayaaaa!!
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
-
rukhsar
- -
- Posts: 40
- Joined: Wed Jul 25, 2007 1:15 am
- Location: Bahrain
-
Contact:
Post
by rukhsar »
hay tamanna harf _ e gham lykar tamaam
ek ghazal main meer say bataiN karaiN
...............
-
munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
-
Contact:
Post
by munir-armaan-nasimi »
Ess Dil mein Armaan Bohat Hain
Ek hai Ghar Mehmaan Bohat Hain
(Munir Armaan Nasimi)