Eid ka din hai!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Eid ka din hai!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!

meree jaanib se tamaam arbaab-e-Anjuman ko dilee Eid Mubarak meree dua'aa hai keh khuda wand aap ko aesee hazaarooN Eidae'een se hamkinaar kare. Aameen! apnee aek naz^m pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah keejiye.

Eid Ka din hai!

Gul-e-muraad khilaao keh eid ka din hai!
reyaaZ^-e-dehr sajao keh eid ka din hai!

suNwaaro Gesu-e-hastee ko aaj jaaN de kar
koee to e'hd nibhaao keh eid ka din hai!

maiN jee raha hooN muHabbat meN khaak-e-paa ho kar
mujhe nah aaj uRaao keh eid ka din hai!

baRhe hee jatee kiyooN z^ulmat-e-shab-e-hijraaN
CharaaGh-e-raah jalao ke eid ka din hai!

rafu-e-Chaak-e-GareebaN kee fikr laazim hai
mujhe gale se lagao keh eid ka din hai!

t^uwaaf-e-kuchah-e-janaN kee a'z^mateeN taobah!
naSeeb apna jagao keh eid ka din hai!

nah beTho aaj ke din maekade meN tashnah lab
jigar kee payaas bujhao keh eid kaa din hai!

e'laaj-e-tangee-e-damaaN ko mere kaafee hai
wafaa ke deep jalao keh e'id ka din hai!

mujhe e'zeez haiN lamHaat-e-talkhee-e-daoraaN
nah mujh peh ashk bahao keh e'id kaa din hai!

maiN khu geya hooN hajoom-e-jahaN meN ae AHmad!
khudara DhoonD ke lao keh e'id kaa din hai!

Muzaffar :AHmad: Muzaffar
User avatar
sbashwar
-
-
Posts: 1654
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:25 pm
Do you know URDU language?: Yes
Location: Hyderabad, India
Contact:

Re: Eid ka din hai!

Post by sbashwar »

Mohtarami Muzaffar Ahmad Muzaffar Saheb
:salaam: o eid mubarak

Takheer ke liye moazirat. Eid par aapka kalaam pasand aayaa.
Dili daad aur mubarakbaad qubool farmayeN.

Mukhlis
Salem Bashwar
سالم احمد باشوار
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Re: Eid ka din hai!

Post by tahira Masood »

mashallah bohat khoooooob

daad haazzir hai
live and let live

Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Re: Eid ka din hai!

Post by Star Mind »

muzaffar bhaa'ii, aadaab !

kaise mizaaj haiN ? :)

muddatoN baa'd is bazm meiN kuchh likhne ka moqa' milaa hai ! dilii masarrat se dochaar hooN ! :)
aap kii Ghazal jii jaan se pasaNd aa'ii ! maiN ne bhii is zameen meiN kabhii aek Ghazal kahii thii ! jis ka maqta' aap ko sunaana chaahoN gaa !

"Khamosh kyooN ho Zia is Khushii ke mauqa' par ?
koii Ghazal hi shunaa'o k Eid ka din hai ! "

shukrita

Zia Baloch
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
User avatar
ismail ajaz
-
-
Posts: 419
Joined: Tue Jan 13, 2009 12:09 pm

Re: Eid ka din hai!

Post by ismail ajaz »

Muzaffar Ahmad Muzaffar wrote:
yaaraan-e-meHfil aadaab-o-tasleemaat!

meree jaanib se tamaam arbaab-e-Anjuman ko dilee Eid Mubarak meree dua'aa hai keh khuda wand aap ko aesee hazaarooN Eidae'een se hamkinaar kare. Aameen! apnee aek naz^m pesh-e-khidmat hai. mulaHiZ^ah keejiye.

Eid Ka din hai!

Gul-e-muraad khilaao keh eid ka din hai!
reyaaZ^-e-dehr sajao keh eid ka din hai!

suNwaaro Gesu-e-hastee ko aaj jaaN de kar
koee to e'hd nibhaao keh eid ka din hai!

maiN jee raha hooN muHabbat meN khaak-e-paa ho kar
mujhe nah aaj uRaao keh eid ka din hai!

baRhe hee jatee kiyooN z^ulmat-e-shab-e-hijraaN
CharaaGh-e-raah jalao ke eid ka din hai!

rafu-e-Chaak-e-GareebaN kee fikr laazim hai
mujhe gale se lagao keh eid ka din hai!

t^uwaaf-e-kuchah-e-janaN kee a'z^mateeN taobah!
naSeeb apna jagao keh eid ka din hai!

nah beTho aaj ke din maekade meN tashnah lab
jigar kee payaas bujhao keh eid kaa din hai!

e'laaj-e-tangee-e-damaaN ko mere kaafee hai
wafaa ke deep jalao keh e'id ka din hai!

mujhe e'zeez haiN lamHaat-e-talkhee-e-daoraaN
nah mujh peh ashk bahao keh e'id kaa din hai!

maiN khu geya hooN hajoom-e-jahaN meN ae AHmad!
khudara DhoonD ke lao keh e'id kaa din hai!

Muzaffar :AHmad: Muzaffar


janaab Muzaffar :AHmad: Muzaffar SaHab

masha Allah

kya khoobSoorat soch hai kya khoobSoorat likhte haiN aap

Daad Haazir hai

Ismail ajaz khayaal

محبّتوں سے محبّت سمیٹنے والا
خیالؔ آپ کی محفل میں آج پھر آیا

muHabbatoN se muHabbat sameTne waalaa
Khayaal aap kee maiHfil meN aaj phir aayaa

Ismail Ajaz Khayaal

(خیال)
Post Reply