Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!

Post by munir-armaan-nasimi »

Dosto aur Saathiyo,

Salam-o-Rehmat !!

Ek Choti si ghazal ke saath haazir-e-khidmat hoon. Duaa karein keh jaldi seehatyaab ho jaaon aur phir se urdu anjuman main aane jaane lagoon.

Khuda Haafiz,

Aapka apna,

Munir Armaan Nasimi
Attachments
Ghazal-Es-Sehr-Main-Apni.jpg
Ghazal-Es-Sehr-Main-Apni.jpg (42.66 KiB) Viewed 273 times
afzalshah
-
-
Posts: 30
Joined: Wed Oct 22, 2008 1:09 am

Re: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!

Post by afzalshah »

kia kehanay muneeer armaan nasimi sahb
bohut achay ja rahay haiN
daad haazir hay sahb
qubool kijiay
likhtay rahaiN
kehtay rahiN

khairandaish
afzal shah
User avatar
munir-armaan-nasimi
-
-
Posts: 460
Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
Location: INDIA
Contact:

Re: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!

Post by munir-armaan-nasimi »

afzalshah wrote:kia kehanay muneeer armaan nasimi sahb
bohut achay ja rahay haiN
daad haazir hay sahb
qubool kijiay
likhtay rahaiN
kehtay rahiN

khairandaish
afzal shah

Mere Mohsin o Karam Farma Janab Afzal Shah Saaheb,

Be-shak maayoosi kufr hai. Paanch mahine se ziyadah ho gaye ess ghazal ko POST kiye hoye.. Kisi ek shaks ko yeh ACHCHII nahin lagi aur na hi kisi ne do lafz taareefi (tanqueedi) kehne ki zehmat kii...

Aapne Hausla afzaayi ki main nihaal ho gaya. Mujhe ab meri yeh ghazal achchi lagne lagi hai.

DuaoN main yaad rakhkhein... Insha'Allaha aur achcha kehne ki koshish karoonga.

Taalib-e-dua,

Armaan
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Armaan SaaHib Aadaab!

ta'ajub hai. keh aap kee yeh Ghazal nigaahooN se aojhal kese rahee. khaer ab sharmindagee to apnee jagah rahe gee hee keh aap kiya sooch rahe hooN ge. aor jo sooch rahe haiN. us kaa iz^haar to khaer aap ne AfZ^al saaHib ke khat^ meN kar hee diya hai. :-)

bahar Haal maiN sharmindah hooN ummeed hai darguzar farma deeN ge.

Ghazal pasand aaee achchee koshish hai. meree dua'a hai keh Allah ta'alaa Zaor-e-qalam ko har lamHah baRhaata rahe. aor aap ka e'lmi qadam apnee taraqqee kee raah meN zeyaadah qawee hota rahe.

aap ne apnee e'laalat ke barah meN bhee likhaa hai. Allah aap ko Sehat-e-kaamilah se nawaze. aor tamaam imtehaanaat se bakhaer-o-khubee guzaar de. [-o<

Muzaffar AHmad Muzaffar
Post Reply