Dosto aur Saathiyo,
Salam-o-Rehmat !!
Ek Choti si ghazal ke saath haazir-e-khidmat hoon. Duaa karein keh jaldi seehatyaab ho jaaon aur phir se urdu anjuman main aane jaane lagoon.
Khuda Haafiz,
Aapka apna,
Munir Armaan Nasimi
Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!
- Attachments
-
- Ghazal-Es-Sehr-Main-Apni.jpg (42.66 KiB) Viewed 271 times
Re: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!
kia kehanay muneeer armaan nasimi sahb
bohut achay ja rahay haiN
daad haazir hay sahb
qubool kijiay
likhtay rahaiN
kehtay rahiN
khairandaish
afzal shah
bohut achay ja rahay haiN
daad haazir hay sahb
qubool kijiay
likhtay rahaiN
kehtay rahiN
khairandaish
afzal shah
- munir-armaan-nasimi
- -
- Posts: 460
- Joined: Sat Feb 04, 2006 8:21 am
- Location: INDIA
- Contact:
Re: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!
afzalshah wrote:kia kehanay muneeer armaan nasimi sahb
bohut achay ja rahay haiN
daad haazir hay sahb
qubool kijiay
likhtay rahaiN
kehtay rahiN
khairandaish
afzal shah
Mere Mohsin o Karam Farma Janab Afzal Shah Saaheb,
Be-shak maayoosi kufr hai. Paanch mahine se ziyadah ho gaye ess ghazal ko POST kiye hoye.. Kisi ek shaks ko yeh ACHCHII nahin lagi aur na hi kisi ne do lafz taareefi (tanqueedi) kehne ki zehmat kii...
Aapne Hausla afzaayi ki main nihaal ho gaya. Mujhe ab meri yeh ghazal achchi lagne lagi hai.
DuaoN main yaad rakhkhein... Insha'Allaha aur achcha kehne ki koshish karoonga.
Taalib-e-dua,
Armaan
-
- -
- Posts: 1258
- Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
- Location: London, England
- Contact:
Re: Ek Ghazal ke Sang... Re-entry !!
moHtaram Armaan SaaHib Aadaab!
ta'ajub hai. keh aap kee yeh Ghazal nigaahooN se aojhal kese rahee. khaer ab sharmindagee to apnee jagah rahe gee hee keh aap kiya sooch rahe hooN ge. aor jo sooch rahe haiN. us kaa iz^haar to khaer aap ne AfZ^al saaHib ke khat^ meN kar hee diya hai.
bahar Haal maiN sharmindah hooN ummeed hai darguzar farma deeN ge.
Ghazal pasand aaee achchee koshish hai. meree dua'a hai keh Allah ta'alaa Zaor-e-qalam ko har lamHah baRhaata rahe. aor aap ka e'lmi qadam apnee taraqqee kee raah meN zeyaadah qawee hota rahe.
aap ne apnee e'laalat ke barah meN bhee likhaa hai. Allah aap ko Sehat-e-kaamilah se nawaze. aor tamaam imtehaanaat se bakhaer-o-khubee guzaar de. [-o<
Muzaffar AHmad Muzaffar