طرحی غزل برای مشاعرہ اردو انجمن

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

طرحی غزل برای مشاعرہ اردو انجمن

Post by aabarqi »

Ghazal
Ahmad Ali Barqi Azmi
Ham fareb e husn yunhi khaein kya
Ab tumhari bazm se uth jayein kya

De chuke tum jitna dena tha fareb
Bar bar ab tum se dhoka khayein kya

Hijr mein ham hai tumhare jaan balab
“Aks hain hum aaina dikhlaein kya”

Kab tak aaoge batate kyon nahin
Yunhi ab ghut ghut ke ham mar jayein kya

Saaf do is baat ka meri jawaab
Dekhte ho tum yeh dayein baayein kya

Sabr ki hoti hai aakhir ek had
Rang apna hum tumhein dikhlayein kya

Hamko hai malhooz hifz e aabroo
Bar sar e mahfil tumhein jhutlaein kya

Apna wada hum nibhayein ge zaroor
Hum bhi ab wada shikan kahlayein kya

Gamzan hain aur raheinge gamzan
Hum tumhare kahne se ruk jayein kya

Hai ghazal BARQI yeh sahl e muntan’a
Jauhar e husn e bayaan dikhlayein kya



طرحی غزل برای مشاعرہ اردو انجمن
Attachments
ghazal-kya.gif
ghazal-kya.gif (33.37 KiB) Viewed 128 times
http://www.drbarqiazmi.com
Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
-
Posts: 1258
Joined: Sun Feb 12, 2006 1:40 pm
Location: London, England
Contact:

Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو انجمن

Post by Muzaffar Ahmad Muzaffar »

moHtaram Dr, Ali AHmad Barqi SaaHib aadaab-o-tasleemaat!

meHfil meN aap kee t^arHee Ghazal dekh kar jee khush ho geya. jis meN rang-e-taGhazzul kee chaashanee ne khub lut^f pedah kiya hai. jaesa ke maqt^a' meN bhee mazkoor hai keh yeh sehl-e-mumtina' hai. so baa eeN hamah :jaohor-e-Husn-e-bayaaN: ke bhar poor namune liye huwe hai. jo qaabil Sad daad hai. so meree jaanib se dilee daad HaaZ^ir hai.

Ghazal
Ahmad Ali Barqi Azmi
Ham fareb e husn yunhi khaein kya
Ab tumhari bazm se uth jayein kya

Waah Waah!

De chuke tum jitna dena tha fareb
Bar bar ab tum se dhoka khayein kya

Waah Waah!

Hijr mein ham hai tumhare jaan balab
“Aks hain hum aaina dikhlaein kya”

Kiya baat hai!

Kab tak aaoge batate kyon nahin
Yunhi ab ghut ghut ke ham mar jayein kya

Waah!

Saaf do is baat ka meri jawaab
Dekhte ho tum yeh dayein baayein kya

Waah!

Sabr ki hoti hai aakhir ek had
Rang apna hum tumhein dikhlayein kya

BOhot khoob!

Hamko hai malhooz hifz e aabroo
Bar sar e mahfil tumhein jhutlaein kya

Waah!

Apna wada hum nibhayein ge zaroor
Hum bhi ab wada shikan kahlayein kya

Kiya baat hai Wah!

Gamzan hain aur raheinge gamzan
Hum tumhare kahne se ruk jayein kya

Waah!

Hai ghazal BARQI yeh sahl e muntan’a
Jauhar e husn e bayaan dikhlayein kya

Waah!

Muzaffar AHmad Muzaffar
User avatar
aabarqi
-
-
Posts: 596
Joined: Tue Oct 07, 2008 11:09 am
Location: New Delhi
Contact:

Re: طرحی غزل برای مشاعرہ اردو انجمن

Post by aabarqi »

Mohtaram M.A.Muzaffar Marjah e ahl e nazar
Daad o taseen aapki mere liye hai ganj e zar

Aapki tashveeq e paiham ka nehayat shukriya
Qaaeim o daaeim rahe yeh aapka husn e nazar

Neyazmand
Ahmad Ali Barqi Azmi

http://aabarqi.webs.com
http://draabarqi.tripod.com
http://www.drbarqiazmi.com
Post Reply