Ghazal
Ahmad Ali Barqi Azmi
Ham fareb e husn yunhi khaein kya
Ab tumhari bazm se uth jayein kya
De chuke tum jitna dena tha fareb
Bar bar ab tum se dhoka khayein kya
Hijr mein ham hai tumhare jaan balab
“Aks hain hum aaina dikhlaein kya”
Kab tak aaoge batate kyon nahin
Yunhi ab ghut ghut ke ham mar jayein kya
Saaf do is baat ka meri jawaab
Dekhte ho tum yeh dayein baayein kya
Sabr ki hoti hai aakhir ek had
Rang apna hum tumhein dikhlayein kya
Hamko hai malhooz hifz e aabroo
Bar sar e mahfil tumhein jhutlaein kya
Apna wada hum nibhayein ge zaroor
Hum bhi ab wada shikan kahlayein kya
Gamzan hain aur raheinge gamzan
Hum tumhare kahne se ruk jayein kya
Hai ghazal BARQI yeh sahl e muntan’a
Jauhar e husn e bayaan dikhlayein kya
طرحی غزل برای مشاعرہ اردو انجمن
Ahmad Ali Barqi Azmi
Ham fareb e husn yunhi khaein kya
Ab tumhari bazm se uth jayein kya
De chuke tum jitna dena tha fareb
Bar bar ab tum se dhoka khayein kya
Hijr mein ham hai tumhare jaan balab
“Aks hain hum aaina dikhlaein kya”
Kab tak aaoge batate kyon nahin
Yunhi ab ghut ghut ke ham mar jayein kya
Saaf do is baat ka meri jawaab
Dekhte ho tum yeh dayein baayein kya
Sabr ki hoti hai aakhir ek had
Rang apna hum tumhein dikhlayein kya
Hamko hai malhooz hifz e aabroo
Bar sar e mahfil tumhein jhutlaein kya
Apna wada hum nibhayein ge zaroor
Hum bhi ab wada shikan kahlayein kya
Gamzan hain aur raheinge gamzan
Hum tumhare kahne se ruk jayein kya
Hai ghazal BARQI yeh sahl e muntan’a
Jauhar e husn e bayaan dikhlayein kya
طرحی غزل برای مشاعرہ اردو انجمن