aap kee naz^m shaa,i'ree naheeN bal.k izhaar-e-Haqeeqat hai. ham logoN kaa to yeh Haal hai keh marne ke ba'd to kyaa zindagee meN hee kisee ko naheeN poochhte. kaise kaise baa-kamaal aaYe aur is dunyaa se kooch kar gaYe lekin unheN koyee naheeN jaantaa. nayee nasl kaa to Haal hee a'jeeb hai. woh to apne buzurgoN se aur apnee adabee meeraac se aisee naa-balad hai keh Allah-o-Akbar! bohat afsos hotaa hai lekin is kaa i'laaj koyee naheeN naz^ar aataa. logoN ko is kaa eHsaas hee naheeN hai keh jo qaum yaa nasl apne maaZ^ee kaa idraak naheeN rakhtee us kaa Haal aur mustaqbil donoN hee taareek hote haiN. jin baRe idaaroN kaa aap ne Zikr kiyaa hai unhoN ne kuan saa kaarnaamah anjaam diyaa hai? Urdu ab bhee gumnaam aur be-naam zabaanoN meN shumaar hotee hai. yeh idaare kuchh logoN kee naamwaree aur :Halwe-maaNDe: kaa dhandaa ho kar reh gaYe haiN. aap ke saath Delhi meN Ghalib Academy dekh aayaa hooN. wahaaN Ghalib par koyee baRaa kaam kabhee naheeN huwaa. maGhrib meN log Ghalib ke naam se agar thoRaa saa waaqif haiN to woh Frances Pritchett kee qism ke Ghair-mulkiyoN kee koshishoN kaa nateejah hai.
ek achhee naz^m par daad qubool keejiYe.
Sarwar Alam Raz :Sarwar:
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa